Friday, 6 June 2014

Umer Raaigaan Kardi Tab Ye Baat Maani Hy

Umer Raaigaan Kardi Tab Ye Baat Maani Hy
Mout Aur Mohabbat Ki Ek He Kahani Hy

Khail Jo B Tha Jaana Ab Hisaab Kya Karna
Jeet Jis Kisi Ho Ham Ne Haar Maani Hy

Vasl Per B Naadim Thay Hijr Per B
Sharminda
Wo B Raaigaani Thi Ye B Raaigaani Hy

Ye Mera Hunar Teri Khusbuoun Se Waabasta
Mere Saaray Lafzon Per Teri Hukmarani Hy

Janay Kon Shehzaada Kab Chura Ke Le Jaaye
Wo Jo Apne Aangan Me Khushbuoun Ki Rani Hai

Humari Istiqamat Se Zamana kho0b Waqif Hai..!

Humari Istiqamat Se Zamana kho0b Waqif Hai..!

Na Hum Ne Manzilein Badlin, Na Hum Ne Yaar Badlay Hain..

Bijli say tang awam ne kaha:

Bijli say tang awam ne kaha:
Sun raha hai na t0 r0 rahy hen hum"

Bijli nay jawab diya:
Bhula dena muje,
hai alvida tuje, tuje jena he mere bina"

F0rm PakIstani "Ashiqui 3"

Thursday, 5 June 2014

Ishq ki raah me mar jaane de

Ishq ki raah me mar jaane de
Kaam aasan hai kar jaane de

Ay hawa apni nahi fikar mujhy
Inn parindon ko to ghar jaane de

Abar e purnam tujhe jaldi kia hai
Meri aankhen bhi to bhar jaane de

Kese sunn paaun ga aawaz teri
dil ki dharkan to theher jaane de

Haath matt rok hawa ka Jamshaid
Zulf chehre pe bikhar jaane de

Udasiyon ka hunar ikhtiyar karty hain.

Udasiyon ka hunar ikhtiyar karty hain.
Khushi ko zard ruton me shumar karty hain.

Faqat wisaal ko kehty hain zindagi hum log,
Firaaq k kahan lamhy shumaar karty hai.

Nishaany un k kabi chukty nahi dekhy,
Bohat kareeb se jo log waar karte hain.

Ye mosmon se shikayat si kun hoi hum ko,
Ye zikr kis ka bhala baar baar karty hain.

Ye chaand shab se sehar tak hai kis ka mutalaashi,
sitary kis ka bhala intazar karty hain.

Buland hausly hoty hain wo bala k Batøol,
jo apny hathon se kismat ko daar karty hain.

Gham-naak Samandar Mein Kinare Na Bichartey

Gham-naak Samandar Mein Kinare Na Bichartey
Tum Bichrey Thay Yaadon Ke Sahare Na Bichartey

Main Teri Judai Ka Sitm Jhail Hi Leta
Us Raat Agar Chand Sitare Na Bichartey

Ik Doojey Se Kuch Dard Ki Taqseem To Rehti
Jeewan Mein Agar Dard Ke Maare Na Bichartey

Har Rang Mein Hai Illat-o-Maalool Zaroori
Ankhen Na Bicharteen To Nazare Na Bichartey

Issi Torr Se Yaadon Ki Bhi Surat Nikal Aati
Hum Bhool Gaye Hote Jo Pyaare Na Bichartey

Usay Kehna K Haqiqat Men Tanha Zindagi Ka Bhi Apna Hi Maza Hai

Usay Kehna K Haqiqat Men Tanha Zindagi Ka Bhi Apna Hi Maza Hai

Na Kisi Kay Aany Ki Khushi Na Kisi Kay Janay Ka Gham.