Wednesday 28 May 2014

Gull-O-Gulzaar Gawahi Dain Gay.

Gull-O-Gulzaar Gawahi Dain Gay.
Teri Galiyan Tere Bazaar Gawahi DaiN Gay.

Kitne TarPe Hain Teri MuhabbaT Me Hum.
Mere Ghar K Dar-o-Deewar Gawahi Dain Gay.

Mere JazbOn Meri Sochon Pe Musallat Hai To.
Meri Nazmain Mere Ashaar Gawahi Dain Gay.

Dunya Me Sirf Tum Se MohaBBat Ki Hai.
Es Pe So Baar Mere Yaar Gawahi Dain Gay.

TumHein Paany Ki Jahaan Me ne Duayein Maangi.
Wo MasJiDain Wo Darbaar Gawahi Dain Gay.

Doctor Mariz K Moaina K Bad

Doctor Mariz K Moaina K Bad
Ye Purani Bemari Hai Jo Apki Sehat Aur Zehni Sukon Ko Tabah-O-Brbad Kar Rhi Hy...!
.
Marez Ahista Boliye, Wo Baher Hi Bethi Hai...

NURSERY k student ne Exam sheet pe SUSU kar Diya.

NURSERY k student ne Exam sheet pe SUSU kar Diya.
.
TEACHER-Ye kya kiya hy..?
.
STUDENT- Mammi ne kaha tha k Pehle jo Aa Raha ho wohi karna.

AiSa Koi t0 AaYa hY Teri ZinDaGi Mei..!!

AiSa Koi t0 AaYa hY Teri ZinDaGi Mei..!!

Jo TjhY Meri YaaD Ka MoQa B Nahin Deta...

Tuesday 27 May 2014

Apni Wehshat ko Hamsafar kar k,

Apni Wehshat ko Hamsafar kar k,
Youn Bhi Dekha Guzar Basar kar k,

Aaj Bhi Aik Ghar ki khahish Ny,
Hum ko Rakha Hai Dar Badar kar k,

Kis ko Fursat Hai Hum Sy Milny ki,
Kon Aaye Ga Ab Safar kar k,

Aik Nasha Hai Is Amal My Bhi,
Koi Dekhy To Darguzar kar k,

Dil ko Lutna Tha Lut Gaya Aakhir,
kya kisi ko karen khabar kar k,

Us ki Janib Sy Hai Bohat Ye Bhi,
Kuch To Bola Agar Magar kar k,

Kitny Sar Sabz Ho Gaye ArYaaN,
Aik Poday ko Tum Shajar kar k

Sunday 25 May 2014

Ye jo sargashta se phirte hain kitabon wale

Ye jo sargashta se phirte hain kitabon wale
In se mat mil k inhe rog hain khwabon wale

Ab mah-o-saal ki mohlat nahi milne wali
Aa chuke ab to shab-o-roz azabon wale

Ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban bolte hain
Ab kahan log wo mohabat k nisabon wale

Jo dilon par hi kabhi naqab zani karte the
Ab gheron tak chale aaye wo naqabon wale

Zinda rehne ki tamanna ho to ho jate hain
Fakhtaon k b kirdar yahan aqabon wale

Na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina
Ab k mosam hi nahi aaye gulabon wale

Yun to lagta he k qismat ka sikndar he wo
Magar andaz hain sab khana kharabon wale...

Tajdeed-e-raah-o-rasm k qabil na tha magar

Tajdeed-e-raah-o-rasm k qabil na tha magar
Masoom dil ka hukm tha tameel kar dia

Hum mar gaye k mitt gaye jaan se guzar gaye
Wada kisi b tarha se takmeel kar dia

Ehed-e-wafa suroor-e-muhabat khumar-e-ishq
Gard-o-ghubar-e-waqt ne tehleel kar dia

Nazuk mizaj thay kabhi phoolon ki tarha hum
In hadsaat-e-waqt ne tabdeel kar dia.

▼▼▼▼▼▼ Dushman ko bhi seeny se lagana nhi bhoolay,▼▼▼▼▼▼

Dushman ko bhi seeny se lagana nhi bhoolay,
hum apny Buzurgon ka zamana nhi bhooly,

tum aankhon ki Barsaat bachaaye howy rakhana,
kuch log abhi Aag Lagana nhi bhoolay,

ye baat alag haath qalm ho gaye apny,
Hum aap ki Tasveer Banana nhi bhoolay,

ik umer howi main to hansi bhool chuka hun,
tum ab bhi mery dil ko dukhana nhi bhoolay.

▼▼▼▼▼▼ Mein kese chor dun Jeena ßari Mushkil se Seekha hy▼▼▼▼▼▼

Mein kese chor dun Jeena ßari Mushkil se Seekha hy
Pi liya zehr bhi,
Peena ßari Mushkil se Seekha hy

Nahi ye Ho nahi sakta Mein nafrat bhi karun Tum se
K Mene pyar hi krna ßari Mushkil se Seekha hy

Bara nazuk hy Dil Mera
Is ka Aitbar Zara karlo
Tumhare Dard ko Sehna ßari Mushkil se Seekha hy

Mein Sab k Saamne kese keh dun Mujhe Tum Se Muhabat hy
Tumhare Samne kehna ßari Mushkil se Seekha hy.

Kuch Khushi K Saye Me, Or Kuch Ghamon K Sath Sath,

Kuch Khushi K Saye Me,
Or Kuch Ghamon K Sath Sath,
Zindagi kat hi rahi Ha,
Uljhanon K Sath Sath,

Kis Tarha Khaya Hai dhOka,
Kya Bataon Me TumhE,
Apnon K Mashwary Thy,
Sazishon K Sath Sath,

Kis Tarha Rakhy Huwey Hain,
Chaand Suraj Aik Jagah,
Nafraten Bhi Pal Rahi Hain,
Chahaton K Sath Sath,

Is Dafa Saawan Main,
Teri Yaad K Badal Rahy,
Is Dafa Main KhOob Roya,
Barishon K Sath Sath,

Wo JinhEin Main Apna Kehta Tha,
Barray Hi Maan Sy,
Suf-Ba-Suf Wo Bhi Khary Thy,
Dushmanon K Sath Sath,

Kaash Phir Sy Loat Aaein,
Phir Wohi Bachpan K Din,
Hans Bhi Dety Thy Jahan Hm Ansoun K Sath Sath...

Use Kahna

Use Kahna
Kitab-E-Mazi kabi Jo kholo Tu Batana..!!

Kya Yaad krny k Wady Sirf Mere Hi Thay...

Wo HumSafar Tha

Agar Insan Apni Ungliyon Ka Istimal Apni Hi Ghaltiyon Ko Ginne Kay Liye Kare,

Agar Insan Apni Ungliyon Ka Istimal Apni Hi Ghaltiyon Ko Ginne Kay Liye Kare,
To DosRon Pe UnGli Uthane Ka Waqt Hi Na Milay."

Tumhara Maal Aur Tumhari Aulaad to Aazmaish Hai,

Al_Quran:
Tumhara Maal Aur Tumhari Aulaad to Aazmaish Hai,
Aur ALLAH Kay Haan Bara Ajar Hai
(Surah At Taghabun,Ayat#15)

Never Trust The Doubted

Never Trust The Doubted &
Never Doubt The Trusted One.
ALLAH Has Given Us REAL EYES
To REALISE The REAL LIES"

Beautiful Lines

Beautiful Lines
Sirf DIL hi he jo bina aram kiye saalon kaam karta hy.
isko hamesha khush rakho.
Chahy ye AP ka apna ho ya
ap k Apnon ka...!

Shauq Apne Bhi Kiya Niraaley Hain..

Shauq Apne Bhi Kiya Niraaley Hain..

Aasteenon Mein Saanp Paaley Hain...!!

Saturday 24 May 2014

Wo aik larki,

Udas logo ki bastiyon mai.
Wo titliyon ko talash karti.
Wo aik larki,
Wo gol chehra,
Wo gehri ankhein,
Jo karti rehti hazar batein.
Mizaj sada,
Wo dil ki achhi,
Wo aik larki,
Wo aik larki,
Sab batain wo dil ki manay.
Wo hi kare wo,
Jo dil mai thany,
Koi na jane,
Kia uski marzi,
Wo aik larki,
Wo aik larki,
Wo dosti k nisab jane,
Wo janti hai ehad nibhane,
Wo sachi dost,
Wo achhi sathi,
Wo aik larki,
Wo aik larki,
Wo jam chahat ka pina chahay,
Wo apni marzi se jina chahay,
Magar hai darti,
Magar hai darti,
Wo 1 larki,
Wo 1 larki,
Muhabton ka jo falsafa hy,
Wo janti hai,
Usay pata hai,
Wo phir b rehti hai dari dari c,
Wo 1 larki,
Wo 1 larki,
Wo jhute logo ko sacha samjhe,
Wo sari dunia ko achha samjhe,
Wo kitni sadi,
Wo kitni pagli,
Wo 1 larki,
Wo 1 larki,

Wo jo roop zar.e.naqab tha.

Wo jo roop zar.e.naqab tha.
Usay dekhna mera khuwab tha.
Jo mila tha hijar ki shakal me.
Meri chahaton ka azab tha.

Ye sawal tha k mila karo.
Na mila karo ye jawab tha.
Jise dekh kar mai tarap utha.
Meri ankh mai wo hajab tha.

Mere pas thi meri tashangi Tere pas jam.e.sharab tha.
Tera pyar tha meri shairy.
Tera ishq meri kitab tha.

When Temptation Nears,

When Temptation Nears,
Take A Step Back And Assess The Situation.
In The Right Frame Of Mind,
You Will See The Logical And SinLess Way...

Wednesday 21 May 2014

Jab Chalna Nahi Ata Tha Koi Girnay Nahi Deta Tha..!!

Jab Chalna Nahi Ata Tha Koi Girnay Nahi Deta Tha..!!

Jub Sy Sambhala hy Khud Ko Qadam Qadam Pay Giraany Ka Sochty Hain Log..!!

Youn Hi Bhula Dety Ho Hadd Karty Ho tum

Youn Hi Bhula Dety Ho Hadd Karty Ho tum

Hum Insan Hain Quaid-e-Azam k 14 Nakaat to nhi.

Ek MehBooB Laaparwah, Ek MohaBBaT Bepanah,,,

Ek MehBooB Laaparwah,
Ek MohaBBaT Bepanah,,,

DoNo Kafi Hain Sukoon Barbaad KaRny k liye...

Andesha Bhi Tha Aur Ehtiyaat Bhi Bohat Ki . .

Andesha Bhi Tha Aur Ehtiyaat Bhi Bohat
Ki . .

Hoty Hoty Wo Shakhs Juda Ho Hi Gaya...

Yeh ALLAH Ka Fazal Hay Jisay Chahta Hay,

Al_Quran:
Yeh ALLAH Ka Fazal Hay Jisay Chahta Hay,
Ataa Karta Hay,
Aur ALLAH Baray Fazal Ka Malik Hay
(Surah Al Jumma,Ayat#4)

Tuesday 20 May 2014

Suno! Ae Mom Ki Gurya,

Suno!
Ae Mom Ki Gurya,
Ab Is Dour K Andar,

Koi Majnu Nahi Banta,
Koi Ranjha Ni Banta,
Qadam Do-Char Chalne Se,
Safar Sanjha Ni Hota,

To In Bekar Sochon Pe,
Suno! Rone ka Dar Kesa?
Jisse Paya Ni Tum Ne..
Usse Khone Ka Dar Kesa?

Monday 19 May 2014

Kitab-E-dil main jo nafrat ka bab rakhta tha,

Kitab-E-dil main jo nafrat ka bab rakhta tha,
Wo chahaton ka mokamal hisab rakhta tha,

Faraib daita raha dil lagi k pardon main,
Wo shakhs chahray pa kitnay niqab rakhta tha,

Us k hathon main pathar dikhai datay hain,
Jo apnay hathon main har dam gulab rakhta tha,

Wo shakhs jo bhatakta dikhai daita hai,
Rah-e-wafa main qadam kamiyab rakhta tha,

Kahan talash karon main us ko,
Jo apni bat main apna jawab rakhta tha...

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey,

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey,
Kisi ko sairaab kare woh kise pyasa rakhey

Umer bhar kaun nibata hai taluk itna
Ae meri jan ke dushman tujhe allah rakhe,

Humko acha nahin lagta koi humnam tera,
Koi tujhsa ho tu phir nam be tujhsa rakhey.

Dil b pagal hai us shaks se wabasta hai,
Jo kise aur ka na hone de na apna rakhey.

Guzri hai kal hum pe wo raat ajeeb si

Guzri hai kal hum pe wo raat ajeeb si
Karti rahi wo hum se baat ajeeb si

Mili bhi to kuch aisa samajh sake na hum
Lagti hai uski aaj tak mulaqat ajeeb si

Aur bhi hain dunya me phir mera intekhab kyon
Shikayat usko thi mere sath ajeeb si

Har chehre se dhoka khaana ye muqaddar tha apna
Mili bhi to hum ko ye hayaat ajeeb si

Ab saari umar "Rizwan" tanha hi jeena hoga
Bicharte waqt wo kar gayi ye baat ajeeb si..

Kamaal ki Fankari hai us main

Kamaal ki Fankari hai us main

Waar b Dil pe aur Raaj b Dil pe..!

Dil Dharakne pe Bhi Paabandi Laga Di Jaye,

Dil Dharakne pe Bhi Paabandi Laga Di Jaye,
Lash Ehsaas Ki, Sooli Pe Charrha Di Jaye,

Zehen Ki Jaama Talashi Ka Bna Kr Qanoon
Sochne Walon Ko Mouqe Pe Saza Di Jaye,

Aarzu Jo Kary, Deewano Men Kardo Shamil,
Khwab Jo Dekhay Usay Jail Dikha Di Jaye,

Roz Khud Sozion Se Uthti Hai,
Ham Par Ungli,
Khud Kushi Jo Karay,
Gardan Hi Urra Di Jaye,

Raah Batlaanay,
Madad Karne Ki Aadat Na Pare,
Rasta Poochnay Pe Qaid Barha Di Jaye,

LoG Kushbuon K Taaqub Men Nikal Partay Hen,
Phool Par DekhtaY Hi Goli Chala Di Jaye,

Saans LenY K Bhi Aoqaat Muqrar Kar K
Habs Dar Habs Ko Dozakh Ki Hawa Di Jaye,,

When You Trust ALLAH,

When You Trust ALLAH,
Difficulties Come To Develop Us,
Every Problem Is A School,
Every Trial A Teacher Every Experience Is An Education..

HaLKa Sa TaBaSuM LaB-E-MaYooS Pe La KaR

HaLKa Sa TaBaSuM LaB-E-MaYooS Pe La KaR

BHeeGi HuWi PaLkoN Ko CHuPaNa BHi HuNaR HaI

Aur WOHI Tou Hay Jis Nay Tum Ko Zameen Mein Paida Kiya,

Al_Quran:
Aur WOHI Tou Hay Jis Nay Tum Ko Zameen Mein Paida Kiya,
Aur Ussi Ki Taraf Tum Jama Ho Kar Jao Gay

(Surah Al Mominoon,Ayat#79)

Laakh Karo Guzarishain Laakhon Do Hawalay

Laakh Karo Guzarishain Laakhon Do Hawalay

CHOR He Jatay Hain Aakhir CHOR Janay Walay

Hum D0n0 Mil Bethein Gey To Raat Kh00b Guzrey Gi. .

Hum D0n0 Mil Bethein Gey To Raat Kh00b Guzrey Gi. .

Tanhai Ka Yeh Kehna B0hat Achha Laga Mujhe.!!

Ek bat p0ch0n???

Ek bat p0ch0n???

Mere Sabar Ka Imtehan Letay h0

Yaa...!!
Haqeeqat Mein Meri Yaad Nahi Aati..

Koocha-e-yaar Bhi Sunsaan Nazar aata hai.

Koocha-e-yaar Bhi Sunsaan Nazar aata hai.
DIL mera aaj Pareshaan Nazar aata hai.

Ay Gham-e-Jaan-e-Jahan Door chala ja Mujh se,
Tujhe bass Mera Girebaan nazar aata hai.

Tujh se pehle tu mera ghar meri dunya Thi Mgar,
Ab Mujhe ghar Mera Veeraan Nazar aata Hai.

Ay dam-e-zindagi ab Tere kis pal pe bharosa kar Loon?
To bhi Kuch Waqt ka Mehmaan Nazar aata Hai.

Aaj Kal Log Mujhe Dekh k Kehte Hain.
Jaan tu hai Magar Be- jaan Nazar ata Hai.

Sunday 18 May 2014

Qissa-e-hijar agar tujh ko sunany lag jayen,

Qissa-e-hijar agar tujh ko sunany lag jayen,
Jaan-e-jaan umar nahin is mein zamany lag jayen.

Main ny is khouf sy gham tujh sy chupaye apny,
Mery Aansu teri Aankhon sy na Aany lag jayen.

Kaash aisa ho kabhi main kuch na kahoon tujh sy,
Meri Aankhein mery ehwaal batany lag jayen.

Rat-jagy khilny lagy phir sy meri neendon mein,
Rog mujh ko na kahin phir sy purany lag jayen.

Aisy Aalam mein tujhy bhoolna mumkin hai k jab,
Saary mousam hi teri yaad dilany lag jayen.

Ay dil-e-ishaq zada tujh sy shikayet kesi,
Jab mery khawab hi khud mujh ko jalany lag jayen.

Haan mujhy naaz hai Aashufta sari py apni,
Raah dekhoon ga bhaly tujh ko zamany lag jayen
TuMHeN KIs Ny KaHa THa...?

DopEhar k GarM SuraJ ki TaraF DekhO,
Or Itni DeR Tak DekhO,
k BinAyi PiGhaL jayE,

TuMHeN KIs Ny KAhA ThA...?

AsMan Sy ToOt'Ti AnDhi uLajhTi BijLiyOn Sy
DosTi kaR Lo,
Or ItNi DosTi kaR Lo
k GhaR Ka GhAr He jaL jayE,

TuMhEN KIs Ny KaHa THa...?

Ik AnjaAnY SafaR mEin,
Ik AjnaBi k HamRaH DoOr tak jaO,
Or ItNi DoOr tAk jaO,
k Wo RasTa BadaL jayE,

TuMhEN KiS Ny KAHa ThA..??
PoEt:mOhSiN NaQvi'

Wohi sochain wohi batain wohi andaz ab b hai..

Wohi sochain wohi batain wohi andaz ab b hai..
Boht be-chain lagte ho koi to raaz ab b hai..

Main kese uski yadon or wadon se nigah phairon..
Wo mujh se dor rehne wala mera hamraz ab b hai..

Ye tum ho jo is taaluq par pareshan ho.
Magar is be-lous rishtay pe muje to naaz ab b hai...

Tujh Se Lafzon Ka Nahi, Rooh Ka Rishta Hai Mera..!!

Tujh Se Lafzon Ka Nahi, Rooh Ka Rishta Hai Mera..!!

Tu Meri Sanson Main Tehlil Hai Khushbu Ki Tarha..!!

Dharkany Muskurati Hain Ab Bhi Teri Ahat Par.

Dharkany Muskurati Hain Ab Bhi Teri Ahat Par.
Dard Bh00l Jate Hain Ab Bhi Teri Ahat Par.

Shabnami Sitar0n Me Phol Khilne Lagte Hain.
Chaand Muskurata Hai
Ab Bhi Teri Ahat Par.

Umar Kat Gayi Hai Magar Bachpana Nahi Jata.
Hum Diye Jalate Hain
Ab Bhi Teri Ahat Par.

Ghantiyan C Bajti Hain
Raqs H0ne Lagta Hai.
Dard Jagmgate Hain
Ab Bhi Teri Aahat Par.

Teri Yaad Aye tu Neend Jaati Rehti Hai.
Khwab Toot Jaate Hain Ab Bhi Teri Ahat Par.

Laa prwaa hy wo Zamany Bhar ka

Laa prwaa hy wo Zamany Bhar ka

Phir Bhe achha lgta hy Zamany bhar say.

Hain na Mery khuwab jhooty..??

Hain na Mery khuwab jhooty..?? 

K jab b dekha tujhy Apny Sath dekha..!!!

Us k Baghair is m0sam Mein w0 Maza Kahan..??


Us k Baghair is m0sam 
Mein w0 Maza Kahan..?? 

Kaant0n ki Tar' ha Chubhti hen Dil main Baarish ki Bo0nden...!!

Kabhi Socha Bhi Nahe Ho Gaa Tu NeY...!

Kabhi Socha Bhi Nahe Ho Gaa Tu NeY...! 

K Ik Ziddi Sa Shakhs 
TerY Har Hukam Ki Tameel Karta Tha.

Kabi Ulfat Bhara Lehja, Kabi Utra Hoa Chehra,

Kabi Ulfat Bhara Lehja, Kabi Utra Hoa Chehra, 
Samajh Mein kuch Nahi Aata, Bata Mera Gunah kia Hay? 

Meri Uljhan Mita To Day, Mujhay Itna Bata To Day, 
Main Mujrim Hon, Ya Mehram Hon, Saza Kia Hay, Jazaa Kia Hay? 

Meri Sansain To Chalti Hain, Teri Yaadon Say Aey Humdum, 
Nahi Fursat k Ye Sochoon, Fanaa kiya Hy, Baqaa Kia Hay? 

Mera Ye Dil, Meri Dharkan, Meri Saansain, Ye Sab, 
Mohsin 
Ye Sab kuch Naam Teray Hain Bata Peechay Bacha Kia Hay..

KhoSHBoyOn Ki UDaS SheHZaDi,


KhoSHBoyOn Ki UDaS SheHZaDi, 

RaaT MujH Ko MiLi DaraKhToN MeiN...

Teacher: kal tum ne chutti q ki?

Teacher: 
kal tum ne chutti q ki? 

Student: 
Sir! Ghar me bohat zarori kaam tha 

Teacher: 
O I C..! 

Student: 
Allah di Qasmy, O nei i C... 
Men gaya c...

Sometimes ALLAH Closes All The Doors

Sometimes ALLAH Closes All The Doors And Locks All The Windows, Because There's A 
Storm 0utside And ALLAH Wants To Save You"

Main tere wasl ki sorat sy ashna nahi hon:



Main tere wasl ki sorat sy ashna nahi hon: 
Kya aik arsa hoa khwaab dakhta nahi hon: 

Tou manzilon ky liye mere sath chal para hai: 
magar main aik masafir hon rasta nahi hon: 

Bass aik khami hai jis ky sabab akela hon: 
Jo ja raha ho kabi us ko rokta nahi hon: 

Tera khyal phiraata hai dasht dasht muje: 
Tera pata main kisi sy bhi pochta nahi hon: 

Yonhi ye aks tera mujh main aa gaya Qaisar: 
Tou mujh ko dakh ly choo kar main aiyna nahi hon.

Saturday 17 May 2014

If a Chinese has a wife and a girlfrnd

If a Chinese has a wife and a girlfrnd, he will love his wife more. 

A black man has many wives,but he will love his 1st wife more. 

A white man has 1 wife and many grlfrnds, he will love his grlfrnds more. 

A Pakistani man has 4 wives and many grlfrnds bt he still love his 
. 
. 
. 
. 
. 
Ammi G;-) 
Ami tusi kaho te peeno dee zaban cut deyan:-P

Tere karam k mamle ko tere karam pe he chora,

Tere karam k mamle ko tere karam pe he chora, 

mEri khataen shumar kar le meri saza ka hisab kar dy.

Friday 16 May 2014

Mosam-e-Gul mein agar Shaakh sy Tooty hoty,



Mosam-e-Gul mein agar Shaakh sy Tooty hoty, 
Kuch Shagoofy b Us Shaakh sy Phootay hoty. 

Dil bara Sakht tha har Sang-o-Balla jhel gaya, 
Warna hum 
Shiddat-e-Ehsaas sy Tooty hoty. 

Tum ko jana tha to pehly hi Juda ho jaty, 
Is tarah Roz k marny sy to Chhooty hotay. 

Hount Chup Chaap sahi Aankh hi kuch keh jati, 
Roothnay walay Saleeqay sy to roothy hoty. 

Hum ny Hans Hans k Bharam Ehl-e-Wafa rakha he, 
Hum b ro detay agar ishiq mein Jhootay hoty..

Koi Talabgaar Tareef ka, koi Poojari Hawwas ka . .

Koi Talabgaar Tareef ka, koi Poojari Hawwas ka . . 

Ishq Tou Badnaam Ho Gaya Insaan k Hath Lag k .

Wednesday 14 May 2014

Dil maseeha hai samajta hai tabiyat uski..

Dil maseeha hai samajta hai tabiyat uski.. 
Naram guftaar sahi, talkh hai Aadat uski.. 

Tum zara pyar se pocho K ye qissa kya hai..? 
Q bhala chaand ne orhi hai shabahat uski.. 

Husan bikne pe jo Aaya to tawaaif ban kar.. 
Ik tamashai ne tay ki thi ye Qismat uski.. 

Log itne B tere sheher K sachay to nahi.. 
Sun to leni thi zara dair wazahat uski.. 

Dil ye kehta hai K Loat chalen us K nagar.. 
Yaad aati hai sar-e-shaam Rafaqat uskI...!