Monday 21 July 2014

Koi Halchal Na Sada Hai Mujh Mein




Koi halchal na sada hai mujh mein
Janay kia toot gaya hai muj mein,

Aina mujh ko dikhanay walay

Tera chehra hi chupa hai mujh mein,

Kitna gehra hai esay parkha huta

Ye jo ek rung-e-wafa hai mujh mein,

Kon mitti ka kharidaar yahan

Usne kia dakh liya hai mujh mein,

Koi halchal na sada hai mujh mein

Janay kia toot gaya hai mujh mein...
Comments
0 Blogger Comments