Mujhe Laakh ho Bharosa mere dil ka kya
Thakaana.
Kabhi Be-Niqaab ho kar mere Samne na aana.
Sar-e-Bazm tum khuda-raa mujhe yun na
azmana.
Meri simt Asi adda se kabhi ab na Muskurana.
Gam-e-Zindagi se mumkin na huwa Nabhana
mera.
Ye karam hai tere gham ka mujhe ajnabi na
jana.
Tere raaz ka Ta'hafaz mere bas me ab nahi
hai.
K Nikhar k ho gai hai meri her Nazar faana.
Ye hanssi hanssi nahi hai ye Faraib hai hansi
ka.
Na is se samjh saky tum na samjh saka
zamana.
Koi taza haadsa phir meri rah tak raha hai.
Meri simt uth rahi hia wo Nigah-e-DilBar'anna.
Tere zakham ki yaad gheeriyan mere shair
meri gazlein.
Teri ek nazer ka haasil mera zooq-e-shayrana.