Friday, 4 July 2014

Phool Shaakh Se Jis Tarah Toot Kar Roya,

Phool Shaakh Se Jis Tarah Toot Kar Roya,
Main Youn Apni Khushiyon Se Rooth Kar Roya,

Har Aik Gham Ki Qismat Mein Ye Tauqeer Kahaan,
Humaarey Gham Mein Aasmaan Bhi Toot Kar Roya,

Sab Ki Nazaron Mein Jo Shakhs Pathar Tha,
Aaj Wo Shakhs Bhi Bahut Phoot Kar Roya,

Qafas-e-Be-Qaraari Mein Tumhaara Deewaana,
Kabhi Geso To Kabhi Chehraa Khasot Kar Roya,

Kiya Bataaon Jab Aik Nadaan Ka Dil Toota,
Kis Tarah Wo Apney Seenay Ko Koot Kar Roya,

Meri Hairat Bajaa Thi in K Rone Pe,
Kiya Koi Lutera Bhi Kabhi Loot Kar Roya,

Kitni Ulfat Thi TABBASUM Ko Mere Hoonto'n Se,
Jo Ye Hoonton K Daaman Se Choot Kar Roya,
Comments
0 Blogger Comments