Showing posts with label Religious Message. Show all posts
Showing posts with label Religious Message. Show all posts

Sunday, 25 May 2014

Tumhara Maal Aur Tumhari Aulaad to Aazmaish Hai,

Al_Quran:
Tumhara Maal Aur Tumhari Aulaad to Aazmaish Hai,
Aur ALLAH Kay Haan Bara Ajar Hai
(Surah At Taghabun,Ayat#15)

Wednesday, 21 May 2014

Yeh ALLAH Ka Fazal Hay Jisay Chahta Hay,

Al_Quran:
Yeh ALLAH Ka Fazal Hay Jisay Chahta Hay,
Ataa Karta Hay,
Aur ALLAH Baray Fazal Ka Malik Hay
(Surah Al Jumma,Ayat#4)

Monday, 19 May 2014

When You Trust ALLAH,

When You Trust ALLAH,
Difficulties Come To Develop Us,
Every Problem Is A School,
Every Trial A Teacher Every Experience Is An Education..

Aur WOHI Tou Hay Jis Nay Tum Ko Zameen Mein Paida Kiya,

Al_Quran:
Aur WOHI Tou Hay Jis Nay Tum Ko Zameen Mein Paida Kiya,
Aur Ussi Ki Taraf Tum Jama Ho Kar Jao Gay

(Surah Al Mominoon,Ayat#79)

Sunday, 18 May 2014

Sometimes ALLAH Closes All The Doors

Sometimes ALLAH Closes All The Doors And Locks All The Windows, Because There's A 
Storm 0utside And ALLAH Wants To Save You"

Wednesday, 14 May 2014

Aasmanon Aur Zamin Ki Badshahat USSI Ki Hai,

Al_Quran: 
Aasmanon Aur Zamin Ki Badshahat USSI Ki Hai, Woh Hi Zindagi Deta Hai Aur Mot Bhi Aur Wo Her Cheez Per Qadir Hai 
(Hadeed,Ayat#2)

Apny Nafs Ki Tarbiat

Apny Nafs Ki Tarbiat Kay Liye Itna He Kafi Hay K Aap Un Cheezon Se Dori Ikhtiyar Karein Jo Ap Ko Dosron Me Buri Lagti Hain...!!!

Sood Me 70 Gunaah Hein

AL-Hadees: 
Sood Me 70 Gunaah Hein Sub Se Halka Gunaah Aese Hai Jaisa Mard Apni Maa Se Zanaa Kray. 
Ref: 
(Book, 
IbNe-Maja, 
Jild:2, 
Hadees:432)

A MUSLIM With ALLAH,

A MUSLIM With ALLAH, is Always The Strongest. 
No Matter What Calamity Comes His Way, 
He Will Be Always Helped And Guided By ALLAH...

Saturday, 10 May 2014

Aur Nasehat Karte Raho,

Al_Quran: 
Aur Nasehat Karte Raho, 
Ke Nasehat Mominon Ko Nafa Deti Hai. 

(Surah Zaariyaat#51, Ayat#55)

Thursday, 8 May 2014

K Tarazu Se Tolnay Mein Had Se Tajawaz Na Karo,

Al_Quran: 
K Tarazu Se Tolnay Mein Had Se Tajawaz Na Karo, 
Aur Insaf Kay Sath Thek Tolo, 
Aur Tol Kam Mat Karo. 

(Surah Rahaman,Ayat#8Aur 9)

Al_Hadees:

Al_Hadees: 
Suraj Or Chaand Dono ALLAH Ki Nishani'yan Hein Or Kisi Ki Moat-o-Hayaat Say in Me Garehan Nahi Lagta. 

Ref: 
(Bukhari, H:1048)

Insan uss dolat par itna Takabur Q karta hai?

Aj Ki Bat" 
Insan uss dolat par itna Takabur Q karta hai? 
Jo agar "HALAL" ho to "HISAB" dena parega Aur Agar "HARAM" ho to AZAB sehna parega,

aj ki achi Baten

aj ki achi Baten 
KAbi kisi ek ka ghusa us p na nikalo jis ka Qasoor na ho. 

agar tumhen ek shakhs dhoka de 
To sub ko bura na samjho. 

kabi kisi aise shakhs ko ahista ahista kar k na choro jis pe tumhare ehsan ziyada h0n lekin us k pas tumhen dene k liye kuch na ho. 

jis ki madad karo phir use taana na do agar wo tumhari madad na kar sakay. 

Neki karne me kabi takheer na karo. 

jis ne tumhen tumhare aib bataye agar tumhen aqal hy to us ne tum pe ehsan ki inteha kar Di.

Aur Beshak Hum Ne

Al_Quran: 
Aur Beshak Hum Ne Quran Ko Samjhne Kay Liye Aasaan Kar Diya Hai, 
Tou Koi Hai Ke Sochay Samjhe? 
(Surah Al Qamar #54, Ayat#17)

Yehi Maqam Hai Momin Ki Quwwaton Ka Ayar,,

Yehi Maqam Hai Momin Ki Quwwaton Ka Ayar,, 

Issi Maqam Se Adam Hai Zil-e-Subhani..! 

AllamaIQBAL 
Zarb-e-Kaleem

T0day Golden Words

T0day Golden Words 

Buland Hoslah Insan Kay Hathon Mein Aa Kar MITTI bhi SONA Ban Jati Hai"

ALLAH Jo Nihayat Mehrban Ussi Ne Quran Ki Taleem Farmai,

AL-QURAN: 
ALLAH Jo Nihayat Mehrban Ussi Ne Quran Ki Taleem Farmai, 
Ussi Ne Insan Ko Paida Kya, 
Aur Ussi Ne Bolna Sikhaya 
(Rahman,A#1,2,3,4)

Hamesha Us Wqt Bolain,

Aj ki Bat" 
Hamesha Us Wqt Bolain, Jab Ap Ko Ihsass Ho Ke Ap K Alfaaz Jo Aap Kehne Jaa Rahe Hain, Aap Ki Khamoshi Se Ziyada Khoobsorat Hain"

Saturday, 3 May 2014

Qayamat K Din Hum Thek Thek Tolnay Wale Tarazu Rakhy Gay,

AL-Quran: 
Qayamat K Din Hum Thek Thek Tolnay Wale Tarazu Rakhy Gay, 
Phir Kisi Pr Kuch Bi Zulam Na Kiya Jaay Ga. 

Ref: 
(Al-Anbiya, Aayat:47)