Saturday, 15 February 2014

kash main teray haseen hath ka kangan hota

kash main teray haseen hath ka kangan hota

kash main teray haseen hath ka kangan hota
tu baray piyar say chao say baray man kay sath
apni nazuk see kalaee main charhaty mujh ko
aur betaby say furqat kay khiza lamhon main
tu kisi soch main doby jo ghumaty mujh ko
main teray hath ki khushbu say mehak sa jata
jab kabhi mood main akar mujhay chuma karti
teray honton ki main hiddat say dehak sa jata
rAat ko jab bhi tu nindo kay safar pay jati.
marmarin hath ka eik takiya banaya karti
main teray kan say lag kar kai batain karta
teri zulfon ko teray gal ko chumaa karta
mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri roh kay gulshan main mehakta rehta
main teray jism kay angan main khanakta rehta
kuch nahin tu yehi benam sa bandhan hota
kash main teray hansee hath ka kangan hota

kash mein teri Aankh ka Aansoo hota

kash mein teri Aankh ka Aansoo hota

Kash Mein teri ankh ka ansoO hota....
kam say kam tujh mein rehna to naseeb hota...
Lakh bhallay log kehtay kay wo teray Qareeb hain
magar mein teri roOh mein mojood hota....

Youn machal kar girta mein teri ankh say
bigho jata mein teray daman ko ...
girati jab tu mujhay apni ankh say .
mujhay teary rukhsar ka bosa naseeb hota...

tarapti jab tu kisi yaad mein ...
teri Mohabbat ka gawah hota
ek hasrat hi rahi dil mein
kash mein teri Aankh ka Aansoo hota

Oojhal Sahi Nigaho Se, Dooba Nai Hon Men,

Hon Men,

Oojhal Sahi Nigaho Se,
Dooba Nai Hon Men,

Ae Raat khabardar k Hara Nai Hon Men,

Darpesh Subh-o-Sham Yehi kash'makash Hy Ab,

Us Ka Banoon Me Kesy, K Apna Nai Hon Me,

Mujh Ko Farishta Hony Ka Dawa Nai Mgr,

Jitna Bura Samjhty Ho Utna Nai Hon Me,

Iss Tarha Phair Phair K Batein Na kejiye,

Lehjay ka Rukh Samjhta Hon Bacha Nai Hon Me,

Mumkin Nai Hay Mujh Se Ye
Tarz-e-Munafqat,

Duniya Tery Mizaaj Ka Banda Nai Hon Me..

Aur Bharne Do Zara Dil Me Muhabat Us Ki,

Aur Bharne Do Zara Dil Me Muhabat Us Ki,

Aur Kuch Roz Usy Mujh Se Khafa Rehne Do.

Friday, 14 February 2014

Main Lafz Soch Soch Kar Thak Si Gayi.


Main Lafz Soch Soch Kar Thak Si Gayi....!

Wo Phool Dey K Baat Ka Izhaar Kar Geya..!

Muhabbat mein wafaadaari se bachiye


Muhabbat mein wafaadaari se bachiye

JahaaN tak ho adaakaari se bachiye

Har ek soorat bhali lagti hai kuchh din

Lahoo ki sho’bdaa-kaari se bachiye

Sharaafat, aadmiyat, dard – mandi !!

BaRe shahroN mein bimaari se bachiye

Zaroori kya har ek mehfil mein aana

Takalluf ki rawaadaari se bachiye

Bina pairoN ke sar chalte nahi hain

BuzurgoN ki samajhdaari se bachiye

Tumhaara naam bhi sun lun to roushni ho jaye


Ghubaar-e-tab’ mein thoRi bahut kami ho jaye
Tumhaara naam bhi sun lun to roushni ho jaye

Zara khayaal karo! waqt kis Qadar kam hai
MaiN jo Qadam bhi uThaluN woh aakhri ho jaye

QaymaateiN to hameshaa guzartii rahtii haiN
‘azaab us ke liye jis ko aa-gahee ho jaye

Guzar rahe haiN mere raat din laRaayii meiN
MaiN sochta huN K mujh ko shikast hi ho jaye

Ajeeb shaksh hai! tabdeeel hi nahii hotaa!
Jo us ke saath rahe chand din, wohii ho jaye

Meraa naseeb kinaaraa ho yaa samundar ho
Jo hogayii hai to lahroN se dushmani ho jaye

Tamaam umr to doori mein kaT gayi merii!!
Na jaane kya ho? agar uss se dosti ho jaye

Bus aek waqt mein saari balaayeiN TooT paRiN
Agar safar ye kaThin hai to raat bhi ho jaye

MaiN so na jauN, jo aasaaniyaaN muyassar hoN
MaiN mar na jauN, agar khatm tishnagi ho jaye

Nahi zaroor, K ooNchii ho aasmaanoN se!!
Yehi bahut hai zamiiN paoN par khaRi ho jaye

Tamaam umr simaT aayi hai ek lamhay meiN
MaiN chahta hun K hona hai jo abhi ho jaye

Wohi huN maiN! wohi imkaN ke khel haiN Shahzad
Kabhi feraar bhi mumkin na ho, kabhi ho jaye