Showing posts with label Sad Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Sad Ghazals. Show all posts

Sunday, 20 July 2014

Kiya Mila Mohabbat Say




Kiya Mila Mohabbat say?
Khuwab ki Musafat say,

Wesal ki tamazat say

Roz-o-shab Riyazat say,
Kiya mila "MOHABBAT" say?

Ek Hijar ka Sehra...

Ek Sham Yadoo ki....

Ek Thka huwa AANSOO...

Kiya Mila "MOHABBAT" Say...???

Wednesday, 16 July 2014

Sad Urdu Shayari Ghazal Ham Nafas Ik Teri Aarzoo Aur Main

Sad Urdu Shayari Ghazal Ham Nafas Ik Teri Aarzu Aur Main



Ham nafas.. ik teri aarzu aur main,

Koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahin
Aaina hai mere rubaru aur main,

Jugnuon ki talab ka sila yeh mila
Teergi hai mere chaar su.. aur main,

Khwaab ki titliyan jab ureen aankh say
Reh gai khwahish-e-rang-o-bu.. aur main,

Raat bhar jaagtay hain sitaron talay
Tera lehja.. teri guftagu.. aur main,

Aankh main khwaab ki kirchiyan reh gayeen
Hath main qismaton ka lahu.. aur main,

Sochti hoon, kahan jaoon, kis say kahoon
Shehr dushman.. Faza bhi adu.. aur main,

Ik mere ishq ki tishnagi.. aur tu
Ik tere hijr ki aabju.. aur main,

Daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
Ro diye hain.. teri aarzu.. aur main,

Raig-e-sehra huwe hain tere ishq main
Mere aihsaas ki aabru.. aur main,

Mere saahir.. bichartay samay reh gayeen
Teri aankhain mere chaar su.. aur main,

Kaash aisa ho.. saahil kanaaray kabhi
Aur koi na ho.. sirf tu.. aur main,

Aks-e-janan kii khair ho rabba
Khawab aankhon samait toota hay...!!!

Sad Tanhai Urdu Shayari Ghazal Bta Rah-e-Mohabbat Me Chalon Main Kis Tarah Tanha

Sad Tanhai Urdu Shayari Ghazal Bta Rah-e-Mohabbat Main Chalon Main Kis Tarah Tanha

Bta Rah-e-Mohabbat me
Chalon main kis tarah tanha,

Bina terey mere humdum
Chala mujh se nahi jata,

Meri khushio'n k sab khaakay
Tumharay bin adhooray hein,

Mere sapnay, meri ratein
Mere sab din adhooray hein,

Mera sapna jo haqiqat main
Jo youn tabdeel ho jaye,

Agar tum aa milo mujh se
Meri Takmeel Ho Jaye...!!!

Tuesday, 15 July 2014

Sad Urdu Love Ghazal Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhuu Aaye


Jub tasawwur mera chhupkay se tujhe chhuu aaye
Apni har saans se mujh ko teri khushbuu aaye,

Mashgala ab hai mera chaand ko taktay rehna
Raat bhar chain na mujh ko kisi pehluu aaye,

Jub kabhi gardish-e-doura­an ne sataaya mujh ko
Meri jaanib tere phailay hooway bazoo aaye,

Jub bhi socha ke shab-e-hijr na hogi roshan
Mujh ko samjhanay teri yaad ke jugnuu aaye,

Mujh se milnay ko sar-e-shaam koi saaya sa
Tere aangan se chalay aur lab-e-juu aaye,

Os ke lehjay ka asar tou hai badi baat "Qateel"
Wo tou aankhon se bhi karta hoowa jadoo aaye...!!!

Sad Death Urdu Ghazals Shayari Chahay Jitna Bulaao Gay Wapas Na Aaon Gi Main



Chahay jitna bulaao gay wapas na aaon gi main
Aasmaan ki banhoon mai sama jaaon gi main,

Dekhna younhi hanstay khailte younhi muskuratay hooye
Kisi rooz chup chaap si chali jaaon gi main,

Na jaane mujhe yaad keray gaa bhe koi ke nahin
Na maloom kisi ko yaad aaon ke na yad aaon gi main,

Shayad ke hoo jaye meray liye bhe koi aankh pur num
Shayad kisi ko ashkoon ka tuhfa day jaaon gi main,

Boohat tadpi hoon mai sab ke kareeb reh reh kay
Ab door jaa ke sab ko tadpaaon gi main,

Zara zara si baat pe ye rooth jaata hay mujh se
Dekhna kisi rooz zindage se rooth jaaon gi main...!!!

Sad Hindi Judai Ghazal Kitni Majbooriyan Ham Palkon Pe Saja Lety Hain



Kitni Majbooriyan Ham Palkon Pe Saja Lety Hain
Hum Kahan Roty Hain Halaat Rula Dety Hain,

Yaad Rahty Hain Bury Waqat Ke Sathi Kis Ko
Subah Hoty Hi Sab Shama Bujha Dety Hain,

Sath Hoty Hain To Lagta Hai Sadiyoon Ka Sath Hai
Door Hoty Hain To Faqat Do Din Men Bhula Dety Hain...!!!

Sad Judai Urdu Ghazal Woh Kisi Aur Ka Hoga To Qayamat Hogi



Woh kisi aur ka hoga tu qayamat hogi
Phir na kisi ko kisi sey mohabbat hogi,

Usey deakhay koi mujhay acha nhe lagta
Is sey barh kar bhe koi mohabbat hogi,

Chand ko deakha tu yeh ehsas howa
Wo akela hai usey meri zarorat hogi,

Aey chand us ko kisi aur ka na honay dena
Warna zindagi bhar phir mujhay shikayat hogi...!!!

Friday, 13 June 2014

Heart Touching Poetry, Sad Images, Urdu Poetry, Urdu Picture Poetry,

Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle
Wo b charhte hue sooraj k poojari nikle,

Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle,

Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle,

Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle,

Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle,

Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle,

Apne Dushman se main be-waja khafa tha
Mere qatil to mere apne hawari nikle.

'Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen

'Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhen ,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhen,
Woh Hum Se Baat Nahi Karte , Tu Na Kare ,
Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhen,
Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhen,
Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhen,
Ma Na Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste ,
Magar Kabhi Kabar ,Neend ,Ura Deti Hain Aankhen,
Eesha Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat Humain,
Dard -O-Gham ,Sare Dil Ke , Chupa Deti Hain Aankhen'

Thursday, 12 June 2014

'Meri Mohabbet key dono Aalam,

'Meri Mohabbet key dono Aalam, tamaam Roshan tamaam Mohkam,

Main yaad karna bhi jaanta hoon, main yaad aana bhi jaanta hoon,


Nazar nazar mein hai kamrani, qadam qadam pe hai kamyabi,

Magar koi muskura k daikhey, to haar jaana bhi jaanta hoon,


Mujhey samander k paniyon mien kisi ki khaatir hi doobna hai,

Agarchay Lehr0n k darmiyan se Main paar jaana bhi jaanta hoon.'

Main Dharkanon Ki Kitaab Kholon Wo Baaqi Saare hisaab Rakhe,






Main Dharkanon Ki Kitaab Kholon Wo Baaqi Saare hisaab Rakhe,
Ye Us Ka Qissa Hai Dosto Main Ne Jis Ki Rah Pe Gulaab Rakhe,

Dimaagh Mera Pukaarta Tha Main Dil Ki Dharrkan Ko Sun Raha Tha,
Kisi Se Koi Gilla Nahi Main Ne Apne aage Saraab Rakhe,

Wo Ek Thokar Na Jaane Kitni Hi Kirchiyon Mein Chamak Rahi Hai,
Wo Ek Main Hoon Jis Ne Us K Behakte Qadmon Mein Khuwaab Rakhe,

Na Aise Saudey Karay Ga Koi Hum Aise Taajir Kaheen Mileen Gy,
Har Ek Sukh Us Ko De Diya Aur Khud Apne Ghar Azaab Rakhe,

Main Aur Meri Ajab Udaasi Taveel Muddat Se Is Tarah Hain,
Shareek-e-Gham Ek Doosre K Qareeb Bethey Sharaab Rakhe

Khuwaab Mein Soya Tha Main Kis Ne Jagaaya Mujh Ko

Khuwaab Mein Soya Tha Main Kis Ne Jagaaya Mujh Ko
Kis Ki Aawaaz Ne Andar Se Bulaaya Mujh Ko

Kon Hoon Main Ye Kis Ne Bataaya Mujh Ko
AaJ Tak Mujh Se Kisi Ne Na Milaaya Mujh Ko

Man K Kuch Aur Taqaazay Hain Mere Tan K Aur
Mujh Se Milne Nahi Deti Meri Qaaya Mujh Ko


Lafz Har Tol K Bolo Kaha Karty Thay Buzurg
Ye Saleeqa Magar Ab Tak Nahi Aaya Mujh Ko

Ab To Aakaash Hi Aakaash Hai Aur Meri Uraan 'SAAQI'
Wehm K Saayo'n Ne Go Laakh Daraaya Mujh Ko

Dharrkanay Muskuraati Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Dharrkanay Muskuraati Hain Ab Bhi Teri Aahat Par
Dard Bhool Jaate Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Shabnami Sitaaro'n Mein Phool Khilney Lagte Hain
Chaand Muskuraata Hai Ab Bhi Teri Aahat Par

Umar Katt Gayi Hai Magar Bachpana Nahi Jaata
Hum Diye Jalaate Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Ghantiyaa'n Si Bajti Hain Raqss Hone Lagta Hai
Dard Jagmgaatey Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Teri Yaad Aaye To Neend Jaati Rehti Hai
Khuwaab Toot Jaate Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Tuesday, 10 June 2014

'Ho mubarik tujhe shadi ki pehli yeh raat .

'Ho mubarik tujhe shadi ki pehli yeh raat
.
dua karo k hum b bhool jain teri har baat
.
be panah hai tum se hum ko pyar
.
woh kehta tha yeh bar bar
AqEeL
ujarh gaya woh meri zindagi
.
woh krte krte yehi bat
.
dil nahin lgta ab kahin mera
.
be qabu ho gaye hain mere jazbaat
.
jb se gaye ho tum ab to din b lagte hain raat
.
tum ne chora mera hath
.
moun main hi reh gai meri har baat
.
kyun thama tha mera hath
.
jb chor ke chalay hi jana tha mera sath
.
jate jate woh bs itna hi keh gaya
.
shayd hamari qismat main hi nhe hamara sath
.
suno jaana dua kro k hum b bhool jain teri har baat
.
ja sanam mubarik ho tujhe teri shadi ki pehli yeh raat'

Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi

Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi
Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein

Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye
Parchaayion Pe Rung GIraata Raha Hun Mein

Apna Misaalya Mujhe Ab Tak Na Mil Saka
Zarron Ko Aaftaab Banaata Raha Hun Mein

Kia Mil Gaya Zameer Hunar Baich Kar ?
Itna Ke Sirf Kaam Chalaata Raha Hun Mein

Kal Dophair Ajeeb Si Ek Be-Dili Rahee
Bas Titliaan Jalaa Ke Bujhaata Raha Hun Mein'

Aur Kitnay Diye Jalao Ge ? Ghar Ko Tum Ne Mazaar Kar Daala

'Khaak Dil Ka Diyaar Kar Daala
Phir Se Seena Fugaar Kar Daala

Aur Kitnay Diye Jalao Ge ?
Ghar Ko Tum Ne Mazaar Kar Daala

Phir Hawaaon Se Dosti Karli
Phir Se Dil Daagdaar Kar Daala

Ye Mohabbat Thi Khaas Shay Jis Ka
Tum Ne Kaarobaar Kar Daala

Phir Se Dil Haath Se Gaya Dekho
Phir Mohabbat Ka Waar Kar Daala ???

Wo Jo Basti Basaa Ke Bhool Gaya
Hum Ne Tou Os Se Pyaar Kar Daala

Dil Ko Pehluu Mein Le Le Ke Phirta Hai
Keh Raha Tha Nisaar Kar Daala

Tum Ne Furqat Ke Saaray Lamhon Ko
Zindagi Mein Shumaar Kar Daala

Jo Hawaon Pe Pair Rakhtay Thay
Khaak Ne Khaaksaar Kar Daala

Hum Ne Khusbuu Ki Justuju Mein Batool
Kiun Muqaddar Ko Daar Kar Daala ?

Ab Na Aaya Tou Phir Balaa Se Batool
Hum Ne Tou Intezaar Kar Daala……..!

Sunday, 18 May 2014

Wohi sochain wohi batain wohi andaz ab b hai..

Wohi sochain wohi batain wohi andaz ab b hai..
Boht be-chain lagte ho koi to raaz ab b hai..

Main kese uski yadon or wadon se nigah phairon..
Wo mujh se dor rehne wala mera hamraz ab b hai..

Ye tum ho jo is taaluq par pareshan ho.
Magar is be-lous rishtay pe muje to naaz ab b hai...

Saturday, 10 May 2014

Ay Mere Dais k Logo Shikayat Q nahi kArty

Ay Mere Dais k Logo Shikayat Q nahi kArty 
Tum Itny Zulm Seh kar b Baghawat Q nahi karty 

Ye Jageeron k Maalik or Lutairy Q Chunay tUm ny 
Tumhry par Tum hi Jaisy Hokumat Q nahi karty 

Ye Bhook Aflas Tangdasti Tumhara hi Muqadar Q 
Muqadar ko Badalnay ki Jisaarat Q nahi karty 

Jis Dais me Hajj karny par Rishwat 
Roza rkhny Par Mehngai 

aise zaalimon sy Azadi hasil Q nahi karty 
Bilawal kahay 
Mai Ibn e Shaheed 

Gilani kahay 
Mai aulad e Ghos e Azam 
Kya Shahdat or Wilayet k Ghar me Lutairay paida hotay hyn? 

Ay Meray Dais k Logo 
Jab Rah Numa hi Rahzan ban Jaye to aysi Shahadat aysi Wilayet Sy 
Baghawat Q nahi karty...

Thursday, 8 May 2014

Yeh Qafas Hi Mujh Ko Azeez Hai Yahan Jee To Loon Ga Qaraar Se,

Yeh Qafas Hi Mujh Ko Azeez Hai Yahan Jee To Loon Ga Qaraar Se, 
Mujhe Ab Chaman Main Na Le Chalo Main Dara Huwa Hun Bahaar Se. 

Ghum-E-Aashiqi Se Bhi Sakht Tha Gham-E-Zindagi Ka MaaRka, 
Jo Shikast Khaai To Ro Diya, Main Lipat Ke Daaman-E-Yaar Se. 

Main Kis Ka Karun Gila, 
Hai Mera Naseeb Hi BeWafa, 
Wohi Mujhse Karte Hain Dushmani Jinhen Dekhta Hun Main Pyar Se...

Monday, 5 May 2014

Jis ko Likhte Thay Kabi Jaan Say Peyare Jesa,

Jis ko Likhte Thay Kabi Jaan Say Peyare Jesa, 
Door Wo Aisa Hua Hai K Sitare Jesa, 

Es Kahani Main Kahin Tum To Nahin Ho Lekin, 
Hai Kahani Main Koi Or Tumhare Jesa. 

Jahan Milna Tha Wahan Tum Say Bicharna Para Hai, 
Ishq B Tum Ne Kiya Hum Say Guzare Jesa. 

Zakhm B Deta Hai Marham B Wohi Banta Hai, 
Wo Kinara B Nahin Karta Kinare Jesa, 

Zindagi Itni Khasare Main Rahi Hai Meri, 
Ab Mujy Nafah B Lagta Hai khasare Jesa, 

Tum Kehte Thay K Acha Hai Zamana Hum Say, 
Ye Btao K Mila hai Koi Humare Jesa..!!