Monday 5 January 2015

Goya na tha wo chaand to halay ne baat ki

Goya na tha wo chaand to halay ne baat ki
Wo chup raha to kaan k balay ne baat ki

Us ki taraf se deeda e num ne kiya kalaam
Meri taraf se paaon k chhalay ne baat ki

be ikhtiyaar ho k milaya jo us ne haath
Aisa laga k rooi k galay ne baat ki

Tanhai k safar mein khaamoshi se raat bhar
Saqi ne mekaday ne piyalay ne baat ki

Kangan khanak utha kabhi choorri chank uthi
TU ne nahi to teray havaly ne baat ki

Jab bhi sukhan kiya to Saba ne sukhan kiya
Jab baat ki to din k ujalay ne baat ki 
Comments
0 Blogger Comments