Showing posts with label Anso PoeTry. Show all posts
Showing posts with label Anso PoeTry. Show all posts

Saturday, 19 April 2014

Jo Na Badla Tha Kabhi Us Ko Badaltay Daikha

Jo Na Badla Tha Kabhi Us Ko Badaltay Daikha 
Gham Mujhe De K Ussay Haath Bhi Maltay Daikha 

Aaj Tak Mil Na Saki Shauq-o-Talab Ki Manzil 
Kab Se Duniya Ko Isi Raah Pe Chaltay Daikha 

Barrh K Ik Aur Zamaanay Ne Laga Di Thokar 
Jab Kisi Dard K Maaray Ko Sanbhaltay Daikha 

Aik Ik Mauj Pe Saahil Ko Rahi Us Ki Talaash 
Jis Ko Toofaan Ki Aaghosh Mein Paltay Daikha 

Jab Hansi Aayi Muqaddar Se Meray Hoonton Pe 
Aansuon Ko Bhi Usi Waqt Nikaltay Daikha 

Ru-Ba-Roo Un K Haya Wo Mera Josh-e-Girya 
Ik Samandar Tha Jo Aankho'n Se Ubaltay Daikha

Pani ki lehron pe hurf-e-bayan likhna chor do,

Pani ki lehron pe hurf-e-bayan likhna chor do, 
Sahil pe rait k kachy makaan banana chor do, 

Chaho to besabab chaho humain warna, 
Meri mano to chahat k asbab banana chor do, 

Zamana naam hay mushkilon or nafraton ka, 
Mere liye zamana ya mujhy zamany k liye chor do, 

Hosla to bohut deti hai mohabbat bhi nafrat bhi 
Mujhay panay ki koshish to karo chahay hasil kar k chor do...

Thursday, 17 April 2014

Dekho Kitna Kamal Us Ne Kia,


Dekho Kitna Kamal Us Ne Kia,

Mujh Se Mera Sawal Us Ne Kia,

Log Us K Liye Tarapte Rahe,

Kab Kisi Ka Khayal Us Ne Kia,

Jee Raha Hon Na Mout Aati Hai,

Aur Apna Ye Haal Us Ne Kia,

Totalay Thay Zaban K Jo Aashiq,

Un Ko Apna Bilal Us Ne Kia,

Hum Bulakte Rahe Wo Chor Gia,

Ye Sitam Ka Kamal Us Ne Kia,

Baad Marne K Roz Aane Ka,

Silsila Phir Bahaal Us Ne Kia,

Be Nawai Hai Us Ka Deen KASHIF,

Hum Ko Jo Be Sawal Us Ne Kia..

Sunday, 23 March 2014

wo bhi kya din thay k pal mein kr diya krtay thay hum

wo bhi kya din thay k pal mein kr diya krtay thay hum

umer bhar ki chahton ko hr aik harjaai k naam

 

wo bhi kiya mosam thay jin ki nikhaton k zaiqay

likh diya krtay thay khaal-o-khad ki ra'anaai k naam

 

wo bhi kiya subhain thein jin ki muskurahat ka fasoon

waqf tha ehl-e-wafa ki bazm aaraai k naam

 

wo bhi kiya shamain thein jin ki shohratain mansoob thein

besabab khhultay huay baalon ki ruswaai k naam

 

ab k wo rut hy k hr tazaa qayamat ka azaab

apnay dil mein jaagtay zakhmon ki gehraai k naam

 

ab k apnay aansuon k sub shiksta aainay

kuchh zmanay k liye kuchh apni tnhaai k naam...