Showing posts with label Eid. Show all posts
Showing posts with label Eid. Show all posts

Wednesday, 30 July 2014

Eid k din bhi tanha hun.

Eid k din bhi tanha hun.
Main phir bhi ji raha hun.

Teri eid khushion bhari ho.
Rab se karta  yeh dua hun.

Ashkon ka sagar jo pee gaya.
Main ek aisa diya hun.

Mujhe es bat ka Gham hai.
Eid k din tum se juda hun

Tum se gila hai na shikayat
Apny muqadar sy khafa hun.

Stop Killing Gaza

Barri Anokhi EID Ki Kharedaari Hai Falasteen Mein..

Log Ro Ro Kar Kafan Khareed Rahe Hain Apnay Piyaaron K Liye...

Sunday, 13 July 2014

Phir Aa Rahi Eid Wo Daikho Chaand Eid Ka.

Phir Aa Rahi Eid Wo Daikho Chaand Eid Ka.
Roti In Aankhon Ko Intzar Hy Tairi Deed Ka.

Aao K Mil Kar Baantein Khushiyan Eid Ki.
Eid Hy Paigham Deed Ka.

Wohi Ujrra Aur Veeran Ghar Hy Mera.
Muntzar Hy Jo Tere Lotny Ki Naveed Ka.

Lout Aao Is Eid Py Gar Tum Jaana'N.
Mehak Uthy Phool Chaman-E-Khusheed Ka.

AjNabi Nahin Hum An-Jany Nahin.
By-Rukha Hy Kiun Andaz Tera Guffat-O-
Shuneed Ka.

Sun Kar Iltja ZafaR Ki Aa Bhi Jao.
Eid Hy Din Ahad-E-Wafa-O-Tehmeed Ka.



"""""""""""'''"""""""""'""""""""""""'""
For More Urdu Poetry,
Like My Facebook Page.

Urdu Poetry Joke on FaceBook

Saturday, 12 July 2014

Es Eid pe lot k aa jana?

Es Eid pe lot k aa jana?

kuch yadein TAZa
KARNI hain,
kuch lamhay mor k
Laanay hain,
kuch taaray torr k
Lanay hain,
Wo masti or wo
Madhoshi,
Wo bachpan mor k
Laana hai.

Es Eid pe loat k aa jana?
Ab dil ko dil ki dharkan
Se,
Phir Eid mubarak
Kehna hai,
Ab sath boht din
Rehna hai.
Es Eid pe lot k aa jana.

Tum Aao Gay Tu Hum Bhi Eid Manayn Gay,

Tum Aao Gay Tu Hum Bhi Eid Manayn Gay,
Apne Ghar Ki Dar-o-Deewar Sajayn Gay.

Bari Shiddat Se Hai Intizar Aap Ka,
Ghar Tum Na Aaye Tu Hum Rooth Jayn Gay.

Kitni Aziat Deti Hai Judai Teri,
Apna Zakhmi Jigar Tum Ko Dikhayn Gay.

Kia Hum Ko Bhi Yad Karte Thay Tum,
Tumhare Aagay Ye Sawal Uthayn Gay.

Jab Baahain Phaila Kar Tum Batalo Gay,
Tu Tumhare Gale Ka Haar Ban Jayn Gay.

Tum Jab Eid Milo Gay Hum Se jaana..!
Na Chorne Ko Tere Gale Se Lipat Jayn Gay.

Kash Eid Ki Ik Aisi Sham Ho,

Kash Eid Ki Ik Aisi Sham Ho,
Sath Mere Wo Gulfam Ho,

Bikhri Ho Us Ki Zulfein Mere Chahre Pe,
Guzar Jaye Sham Aur Raat Bhi Tamam Ho..

Ye Eid To Phir Se Lot Aai.

Ye Eid To Phir Se Lot  Aai.
Jo Bichry Kab Wo Lotain Ge..?

Wo Kese Hum Se Bichar Gaye,
Ye Baith Ke Hum Tum Sochain Ge..

Wo Jin Se Ghar Ki Ronaq Thi.
Wo Kese Hum Se Dor Howe..

Wo Chand Sa Jin Ka Chehra Tha,
Wo Ankhon Se Dor Howe..

Jab Yad Humain Wo Ayein Ge.
Hum Kese Aansu Rokain Ge..

Ye Eid To Phir Se Lot Aai
Jo Bichar Gaye kab Lotain Ge.........???

Phir Aa Rahi Eid Wo Daikho Chaand Eid Ka.

Phir Aa Rahi Eid Wo Daikho Chaand Eid Ka.
Roti In Aankhon Ko Intzar Hy Tairi Deed Ka.

Aao K Mil Kar Baantein Khushiyan Eid Ki.
Eid Hy Paigham Deed Ka.

Wohi Ujrra Aur Veeran Ghar Hy Mera.
Muntzar Hy Jo Tere Lotny Ki Naveed Ka.

Lout Aao Is Eid Py Gar Tum Jaana'N.
Mehak Uthy Phool Chaman-E-Khusheed Ka.

AjNabi Nahin Hum An-Jany Nahin.
By-Rukha Hy Kiun Andaz Tera Guffat-O-
Shuneed Ka.

Sun Kar Iltja ZafaR Ki Aa Bhi Jao.
Eid Hy Din Ahad-E-Wafa-O-Tehmeed Ka.