Kuch Is Tarah Likhun Nazm,
Bayan Mein Ho Tera Tazkara,
Ho Zikr Tere Shabab Ka,
Us Chaudveen Ke Chand Ka,
Jise Palkon Pe Tumne Saja Liya,
Rukh-E-Yaar Par Wo Jamal Tha,
Ke Jaise Eid Ka Hilaal Tha,
Aankhein Thi Wo Madbhari,
Ke Jaise Koi Kanwal Khila,
Haan Sanwar Gayi Kismat Meri,
Jo NaQaab Tumne Utha Liya,
Honthon Pe Tabassum Liye,
Baithi Ho Kyon Dil Thaam Ke,
Kise Dekhti Ho Jhaank Kar,
Wo Kaun Hai Mera Humshakal,
Jise Dil Mein Tumne Basa Liya,
Kahin Mujhse Na Log Puchh Le,
Aankhon Mein Tujhe Na Dhund Lein,
Dar Hai Ke Badan Se Mere
Khushboo Na Teri Soongh Le,
Kahin Ho Jaye Na Ruswaiyan,
Tere Lams Ka Jo Nishaan Tha,
Wo Labon Se Apne Mita Liya,
Raaton Ko Jaag Jaag Kar
Yaadon Mein Apni Jhaank Kar,
Likhi Hai Maine Ye Nazm,
Jo Pade Yahan Nazar-E-Karam,
Ye Arz Hai Tujhse Sanam,
Mujhse Kyon Ye Berukhi?
Tera Dard Maine Hansi Khushi,
Hai Ragon Mein Apni Racha Liya...'