Monday, 12 January 2015

Koi To Aayee

Koi To Aayee
Chamakti AankhoN Se Mujhko Dekhey
Zara Sa Chehkey Zara Sa Behkey

Meri Taraf Kuch Gulaab Phainkey
Lapak K Mujhko Galey Lagaey
Koi To Aayee

Jo Meri Hasrat Mein Mubtila Ho
Jo Meri Dharkan Ka Silsila Ho
Jo Mere Lehjey Mein Bolta Ho
Tumhi Ho Mere Mujhay Bataey
Koi To Ayee

Hon Jiski Ankhein Sharaab Jaisi
Hon Jiski Batein Gulaab Jaisi
Ho Jiski Soorat Kitaaab Jaisi
Nazar Milaon To Muskuraey
Koi To Ayeee

Ho Jiska Paikar Bahaar Jaisa
Ho Jiska Takna Qaraar Jaisa
Ho Jiska Ghussa Bhi Pyaar Jaisa
Kabhi Hansa Dy Kabhi Rulaey
Koi To Ayeee

Hon Jiskey Honton Pe Meri Batein
Jo Din Ko Bhi Kehta Jaey Ratein
Hon Ishq Waali Hi Jiski Zaatein
Jo Mere Chehrey Mein Khud Ko Paey
Koi To Ayeee

Jo Teergi Mein Ujala Kar Day
Jo Mujhko APna Hawala Kar Day
Maza Jo Saara Dobala Kar Day
Andhairi Raton Mein Jagmagaey
Koi To Ayee

Hon Jiski Zulfein Ghata Ki Soorat
Ho Saadgi Ki Haseen Moorat
Jo Dil Mein Rakhey Na Kuch Kadoorat
Bura Lagey Kuch To Rooth Jaey
Koi To Aaye

Jo Mere Dil Mein Raha Kary Bus
Jo Mujhse Be Had Wafa Kary Bus
Tumhi Ho Mere Kaha Karay Bus
Jo Meri Ghazlon Ko Gungunaey
Koi To Ayeee.. 
Comments
0 Blogger Comments