Monday, 5 January 2015

Woh Boli Tum Bhi Zindagi Se Rooth Jao Ge

Woh Boli Tum Bhi Zindagi Se Rooth Jao Ge
Main Bola Han Shayed Maut Mujh Se Maan Jaye Gi

Woh Boli Tum To Khud Hi Khud Se Haar Jaate Ho
Main Bola Kya Karoon Kamzor Hoon Aur Be Sahara Hoon

Woh Boli Raat Se Kya Baat Karte Ho Akele Mein
Main Bola Dard Ki Kuch Kuch Mohabbat Ki Judai Ki

Woh Boli Kaun Aksar Yaad Aata Hai Udaasi Mein
Main Bola Kuch Puraane Raaste Bachpan Aur Ik Larki

Woh Boli Saans Per Bhi Dard Ke Korhay Baraste Hein
Main Bola Haan Lahoo Per Neel To Maine Bhi Dekhein Hain

Woh Mujh Se Poochti Hai Badalon Ko Kab Bulao Ge
Main Kehta Hoon Tumhein Jab Dhoop Ka Mausam Sataye Ga

Woh Boli Phone Bhi Aksar Bohat Angej Rakhte Ho
Main Bola Be Saropa Ghantiyon Se Khauf Aata Hai

Woh Boli Tum Bohat Kanjoos Ho Khat Bhi Nahi Likhte
Main Bola Khat Likhoon To Shairy Naraaz Hoti Hai

Woh Boli Tum Kabhi Milne Chale Aao Jo Mumkin Ho

Main Bola Yeh To Tum Ne Mere Dil Ki Baat Keh Di Hai

Woh Boli Aaj Mausam Mein Ajab Si Khushgawari Hai
Main Bola Haan Yeh Mausam Pyaar Se Milne Ka Mausam Hai 
Comments
0 Blogger Comments