Showing posts with label AweSom GhaZals. Show all posts
Showing posts with label AweSom GhaZals. Show all posts

Wednesday, 16 July 2014

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadbeer Kon

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadbeer Kon
Dast-Basta Shehar Mein Khole Meri Zanjeer Kon

Mera Sar Haazir Hai Lekin Mera Munsif Dekh Le
Kar Raha Hai Mere Fard-e-Jurm Ki Tehreer Kon

Aaj Darwaazon Pe Dastak Jaani Pehchaani Si Hai
Aaj Mera Naam Leta Hai Meri Taazeer Kon

Neend Jab Khuwaabon Se Piyaari Ho To Aise Ahad Mein
Khuwaab Dekhe Kon Aur Khuwaabon Ko De Taabeer Kon

Ret Abhi Pichhle Makanon Ki Na Waapas Aayi Thi
Phir Lab-e-Saahil Gharaunda Kar Gaya Taameer Kon

Saare Rishte Hijraton Mein Saath Dete Hai To Phir
Shehar Se Jaate Huwe Hota Hai Daaman-Geer Kon

Meri Chaadar To Chhini Thi ShaaM Ki Tanhaai Ne
Be-Ridaai Ko Meri Phir De Gaya Tashaheer Kon

Dushmanon K Saath Mere Dost Bhi Aazad Hai
Dekhna Hai Kheenchta Hai Mujh Pe Pehla Teer Kon

Sunday, 13 July 2014

Muhabit ab tajarat ban gai hai .

Muhabit ab tajarat ban gai hai .
Tajarat ab muhabit ban gai hai..

kisi se khailna phir chhor dena..
Khilon0 ki terha dil t0r dena..

Haseen0 ki yeh adat ban gai hai..
Kabi tha naam iska bewafayi Magar aaj kal be-hayai ..
Sharifon ki yeh sharafat ban gai hai..

kisi mander ki morat thi kabi yeh...
Bohet he khobsoret thi kabhi yeh...
Magar..
Ab kya is ki soret ban gai hai...
MUHABIT ab tajarat '''
Tajarat ab muhabit ban gai hai..

"""""""""""'''"""""""""'""""""""""""'""
For More Urdu Poetry,
Like My Facebook Page.

Kisi Ka Kya BiGar jAta Agar ham Aik hO jatay.

Kisi Ka Kya BiGar jAta
Agar ham Aik hO jatay.
HameSha Ki tarah Sooraj Talooh MaShriq Se Hi
hota.
HameSha Ki Tarah Raaton Me Taaray Jag-
MaGatay.
Aur BahaarOn Me gul-o-Bulbul Mehaktay Aur
Cheh-Chahtay hAin.
Kisi Ka Kya BiGar jata
AGar ham Aik hO jAtay
Na Main PhiRta Yak-o-tanha.
Na tUm Gum-Sum Raha Karti.
Na Jeewan Me Kami Rehti.
Na AankhOn Me Nami Rehti.
Na mosam Roth'te ham Se.
Na Roz_0_Shab GiraaN hotay.
Guzrate Pal yun Hairat Se hamien Dekha Nahin
Karte.
AGar ham Aik ho jate
AGar hUm Aik hO jate tu.
Roohon Me Bassi hai jO Azal Ki Pyaas Na Rehti.
Khalish Se Zindgi Me Phir
Pas_e_Ehsaas Na Rehte.
kOi Hasrat Nahien Rehti
koi bhi Aass Na Rehti.
Udaasi Yaas Na Rehti
Kisi Ka Kya BiGar Jata
Agr Hum Ek Ho Jate.


"""""""""""'''"""""""""'""""""""""""'""
For More Urdu Poetry,
Like My Facebook Page.

Urdu Poetry Joke on FaceBook

Saturday, 24 May 2014

Wo jo roop zar.e.naqab tha.

Wo jo roop zar.e.naqab tha.
Usay dekhna mera khuwab tha.
Jo mila tha hijar ki shakal me.
Meri chahaton ka azab tha.

Ye sawal tha k mila karo.
Na mila karo ye jawab tha.
Jise dekh kar mai tarap utha.
Meri ankh mai wo hajab tha.

Mere pas thi meri tashangi Tere pas jam.e.sharab tha.
Tera pyar tha meri shairy.
Tera ishq meri kitab tha.

Tuesday, 20 May 2014

Suno! Ae Mom Ki Gurya,

Suno!
Ae Mom Ki Gurya,
Ab Is Dour K Andar,

Koi Majnu Nahi Banta,
Koi Ranjha Ni Banta,
Qadam Do-Char Chalne Se,
Safar Sanjha Ni Hota,

To In Bekar Sochon Pe,
Suno! Rone ka Dar Kesa?
Jisse Paya Ni Tum Ne..
Usse Khone Ka Dar Kesa?

Monday, 19 May 2014

Kitab-E-dil main jo nafrat ka bab rakhta tha,

Kitab-E-dil main jo nafrat ka bab rakhta tha,
Wo chahaton ka mokamal hisab rakhta tha,

Faraib daita raha dil lagi k pardon main,
Wo shakhs chahray pa kitnay niqab rakhta tha,

Us k hathon main pathar dikhai datay hain,
Jo apnay hathon main har dam gulab rakhta tha,

Wo shakhs jo bhatakta dikhai daita hai,
Rah-e-wafa main qadam kamiyab rakhta tha,

Kahan talash karon main us ko,
Jo apni bat main apna jawab rakhta tha...

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey,

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey,
Kisi ko sairaab kare woh kise pyasa rakhey

Umer bhar kaun nibata hai taluk itna
Ae meri jan ke dushman tujhe allah rakhe,

Humko acha nahin lagta koi humnam tera,
Koi tujhsa ho tu phir nam be tujhsa rakhey.

Dil b pagal hai us shaks se wabasta hai,
Jo kise aur ka na hone de na apna rakhey.

Guzri hai kal hum pe wo raat ajeeb si

Guzri hai kal hum pe wo raat ajeeb si
Karti rahi wo hum se baat ajeeb si

Mili bhi to kuch aisa samajh sake na hum
Lagti hai uski aaj tak mulaqat ajeeb si

Aur bhi hain dunya me phir mera intekhab kyon
Shikayat usko thi mere sath ajeeb si

Har chehre se dhoka khaana ye muqaddar tha apna
Mili bhi to hum ko ye hayaat ajeeb si

Ab saari umar "Rizwan" tanha hi jeena hoga
Bicharte waqt wo kar gayi ye baat ajeeb si..

Dil Dharakne pe Bhi Paabandi Laga Di Jaye,

Dil Dharakne pe Bhi Paabandi Laga Di Jaye,
Lash Ehsaas Ki, Sooli Pe Charrha Di Jaye,

Zehen Ki Jaama Talashi Ka Bna Kr Qanoon
Sochne Walon Ko Mouqe Pe Saza Di Jaye,

Aarzu Jo Kary, Deewano Men Kardo Shamil,
Khwab Jo Dekhay Usay Jail Dikha Di Jaye,

Roz Khud Sozion Se Uthti Hai,
Ham Par Ungli,
Khud Kushi Jo Karay,
Gardan Hi Urra Di Jaye,

Raah Batlaanay,
Madad Karne Ki Aadat Na Pare,
Rasta Poochnay Pe Qaid Barha Di Jaye,

LoG Kushbuon K Taaqub Men Nikal Partay Hen,
Phool Par DekhtaY Hi Goli Chala Di Jaye,

Saans LenY K Bhi Aoqaat Muqrar Kar K
Habs Dar Habs Ko Dozakh Ki Hawa Di Jaye,,

Koocha-e-yaar Bhi Sunsaan Nazar aata hai.

Koocha-e-yaar Bhi Sunsaan Nazar aata hai.
DIL mera aaj Pareshaan Nazar aata hai.

Ay Gham-e-Jaan-e-Jahan Door chala ja Mujh se,
Tujhe bass Mera Girebaan nazar aata hai.

Tujh se pehle tu mera ghar meri dunya Thi Mgar,
Ab Mujhe ghar Mera Veeraan Nazar aata Hai.

Ay dam-e-zindagi ab Tere kis pal pe bharosa kar Loon?
To bhi Kuch Waqt ka Mehmaan Nazar aata Hai.

Aaj Kal Log Mujhe Dekh k Kehte Hain.
Jaan tu hai Magar Be- jaan Nazar ata Hai.

Sunday, 18 May 2014

TuMHeN KIs Ny KaHa THa...?

DopEhar k GarM SuraJ ki TaraF DekhO,
Or Itni DeR Tak DekhO,
k BinAyi PiGhaL jayE,

TuMHeN KIs Ny KAhA ThA...?

AsMan Sy ToOt'Ti AnDhi uLajhTi BijLiyOn Sy
DosTi kaR Lo,
Or ItNi DosTi kaR Lo
k GhaR Ka GhAr He jaL jayE,

TuMhEN KIs Ny KaHa THa...?

Ik AnjaAnY SafaR mEin,
Ik AjnaBi k HamRaH DoOr tak jaO,
Or ItNi DoOr tAk jaO,
k Wo RasTa BadaL jayE,

TuMhEN KiS Ny KAHa ThA..??
PoEt:mOhSiN NaQvi'

Dharkany Muskurati Hain Ab Bhi Teri Ahat Par.

Dharkany Muskurati Hain Ab Bhi Teri Ahat Par.
Dard Bh00l Jate Hain Ab Bhi Teri Ahat Par.

Shabnami Sitar0n Me Phol Khilne Lagte Hain.
Chaand Muskurata Hai
Ab Bhi Teri Ahat Par.

Umar Kat Gayi Hai Magar Bachpana Nahi Jata.
Hum Diye Jalate Hain
Ab Bhi Teri Ahat Par.

Ghantiyan C Bajti Hain
Raqs H0ne Lagta Hai.
Dard Jagmgate Hain
Ab Bhi Teri Aahat Par.

Teri Yaad Aye tu Neend Jaati Rehti Hai.
Khwab Toot Jaate Hain Ab Bhi Teri Ahat Par.

Main tere wasl ki sorat sy ashna nahi hon:



Main tere wasl ki sorat sy ashna nahi hon: 
Kya aik arsa hoa khwaab dakhta nahi hon: 

Tou manzilon ky liye mere sath chal para hai: 
magar main aik masafir hon rasta nahi hon: 

Bass aik khami hai jis ky sabab akela hon: 
Jo ja raha ho kabi us ko rokta nahi hon: 

Tera khyal phiraata hai dasht dasht muje: 
Tera pata main kisi sy bhi pochta nahi hon: 

Yonhi ye aks tera mujh main aa gaya Qaisar: 
Tou mujh ko dakh ly choo kar main aiyna nahi hon.

Friday, 16 May 2014

Mosam-e-Gul mein agar Shaakh sy Tooty hoty,



Mosam-e-Gul mein agar Shaakh sy Tooty hoty, 
Kuch Shagoofy b Us Shaakh sy Phootay hoty. 

Dil bara Sakht tha har Sang-o-Balla jhel gaya, 
Warna hum 
Shiddat-e-Ehsaas sy Tooty hoty. 

Tum ko jana tha to pehly hi Juda ho jaty, 
Is tarah Roz k marny sy to Chhooty hotay. 

Hount Chup Chaap sahi Aankh hi kuch keh jati, 
Roothnay walay Saleeqay sy to roothy hoty. 

Hum ny Hans Hans k Bharam Ehl-e-Wafa rakha he, 
Hum b ro detay agar ishiq mein Jhootay hoty..

Wednesday, 14 May 2014

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain



Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte 
hain 
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain 

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se 
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain 

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e-nazuk us ki 
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain 

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shaga 
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain 

Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain 
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain 

Suna hai raat use chand takta rehta hai 
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain 

Suna hai hashAr hain us ki ghazaal si aankhain 
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain 

Suna hai din ko usay titliyan satati hain 
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain 

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki 
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain 

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai 
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain

Adab Ki Hadd Me Hoon,

Adab Ki Hadd Me Hoon, Be-Adab Nahi Hota 
Tumhara Tazkara Ab Roz-O-Shab Nahi Hota 

Kabhi Kabhi Chalak Parthi Hein Yunhi Ankhein 
Udaas Honey Ka Koi Sabab Nahi Hota 

Me Waldein Ko Yeh Baat Kese Samjhaaon?? 
Muhabatoon Me Hasab Nasab Nahi Hota 

Kai Ameeron Ki Mehromiyaan Na Poch K Bas 
Ghareeb Hone Ka Ehsaas, Ab Nahi Hota 

Wahan K Log Baray DilFaraib Hotay Hain 
Mera Behakna Bhi Kuch Ajab Nahi Hota

Tujh Ko Mera Halka Sa Ehsaas To Hai


Tujh Ko Mera Halka 
Sa Ehsaas To Hai 
Be-dard Sahi Tu 
Mera Humraaz To Hai 

Tu Aye Na Aye 
Mere Pas Lekin 
Shiddat Se Mujhe 
Tera Intazar To Hai 

Abi Nahi To Kya Hua 
Mil Hi Jayen ge Kabi 
Mere Dil Mai Tujh Se 
Milne Ki Aas To Hai 

Pyar Ki Gawahi 
Meri Aankhon Se Na Maang 
A dost 
Barasti Nahi Aankhein Magar Dil Udaas to Hai

Raat K is pehar me, phir koi sùhani yaad aai..



Raat K is pehar me, phir koi sùhani yaad aai.. 

Kuch apna zamana yaad aaya, 
Kuch uski kahani yaad aai.. 

Iqraar kia tha us ne bhi, 
K mujhe tum se Mohabbat he.. 

Lo bethe bithae aaj hamen, 
Wo baat purani yaad aai.. 

Hum bhool chuke the k kisi ne hamen, 
Dunya me akela chor dia.. 

Jab ghor kia to ik soorat, 
Jani pehchani yaad aai.. 

Kuch paon K chalay, 
Kuch aansoo, 
Kuch sapne or 
Kuch tanhai. 

Us bichre hue hamrahi ki, 
Har ik nishaani yaad aaì..