
Hum Hi Wafa Shikan The Chalo Hum Hi Bewafaa,
Tum To Wafaa Shnaas The Tum Kiun Badal Gaey??
Kahan Talaash Kroge- um Mujh Jesa Shakhs,
Jo Tumhare Sitam Bhi Sahe Aur Tumse Piyar Bhi Kare.
Aankhain Zulfain Jhumke Chehra Kangan Bindyaa,
Haaey DIL Haar Gaey Hum Tujhe Be Naqaab Dekh Kar..
Hasb-e-Zrorat Hum Le Lety Hain,
Teri Yaad Ko ISHQ-E-DAWA Samajh Kar.
Woh Ek Baat Bohat Talkh Kahi Thi Usne,
Baat To Yaad Nahi! Yaad Hai Lehja Uskaa...
Dil Ka Aalam Hai Ek Darya Sa,
Do Kinaroon Me Dard Behta Hai..
Main Tanha Tha Main Tanha Hun,
Tum Aao To Kiya Na Aao To Kya..
Rah-e-Muhabbat Me Ajab Sa Huaa Hai Haal Aana,
Na Zakham Nazar Aata Hai Na Dard Saha Jata Hai....
Mujhse Mat Pooch Mery Mehboob Ki Saadge Ka Andaz
Nazrain Bhai Mujhpe Thin Aur Parda Bhi Mujhse Tha.
Mera Tauajub Ajab Nahi HaiWoh Pehly Saa Ab Nahi Hai,
WAFA Ka Kiya Gila Karoon Main Uss SyWoh Mera Kab Tha Jo Abb Nahi Hai.
Ehsas Nahi Tha Keh Tanha Hun Aaj Kal,
Tune Sawal Chera Keh Acha Nahi Kiya.
Hazaron Deep Jala Kar Jo Aap Bujh Jaey,
Hum Uss Chiragh Ke Bhujne Ka Gham Nhi Karty.
Mera Akss Mujhse Ulahj Para To Girah Khuli,
Kabhi Main Bhi Chera Shnas Tha, So Nahi Raha.
Pehly Kbhi Dunya Say Muhabbat Nhi Mangy,
Ya Qahat Tery Hijar Kay Doran Pada Ha
Laonga Kahan Se Judai Ka Hosla,
Kun Is Qadar Mery Qareeb Agay Ho Tum.
Meri Khushi Meri Zindge Mukammal Ho Jaey,
Jo "TU" Mile Meri Bandgee Mukammal Ho Jaey...!!!