Showing posts with label Roog. Show all posts
Showing posts with label Roog. Show all posts

Tuesday, 29 July 2014

Kuch Raat Ki Aankhain Bhegi Thi




Kuch Raat Ki Aankhain Bhegi Thi
Aur Chand Bhi Rootha Rootha Tha,

Khuch Yaadain Uski Baqi Thi
Aur Dil Bhi Toota Toota Tha,

Kis Moor Pe Bichrray Yaad Nahi
Honton Pe Koi Faryaad Nahi,

Us Waday Ki Bhi Khabar Nahi
Woh Sacha Tha Yah Jhota Tha,

Har Lamha Aahain Bhartay Hain
Na Jeetain Hain Na Marte Hain, 

Bas Aik Duaa Yeh Krtay Hain
TUM Laot Ke Wapis Aajao.

Woh Aansoo Jo Palkon Ki Zeenat Nahi Bante





Woh Aansu Jo Palkon Ki Zeenat Nahi Bante
Woh Chupke Se Dil Me Utar Jaayaa Karte Hain,

Kuchh Log Dukhon Ki Numaish Nahi Karte
Bas Khaamoshi Se Hi Bikhar Jayaa Karte Hain.

Yun Hi Rakhte Rahe Bachpan Sy DiL Saaf Hum Apna




Yun Hi Rakhte Rahe Bachpan Sy DiL SaaF Hum Apna.,

Pata Nahi Tha Ke Keemat To Chehre Ki Hoti Hai DiL Ki Nahi...

Kitna Lutf Deta Hai Us Jagah Tanha Beth Kay Rona



Kitna Lutf Deta Hai Us Jagah Tanha Beth Kay Rona,

Jahan Roz Wo Meri Sanson Se Bhi Zaida Kareeb Hota Tha...

Youn Kehne Ko To Hum Bare Khush Mizaaj Hain Lekin



Youn Kehne Ko To Hum Bare Khush Mizaaj Hain Lekin,

Rula Deti Hain Apnon Ki Pyaar Ki Hasrat Kabhi Kabhi.

Tuesday, 22 July 2014

Shayron IKi Yeh Mahfil Meri Duniya Hi Na Thi




Shayron ki ye mahfil meri duniya hi na thi
Tumne e mere yaar muje ye kya baana diya,

Na pyar tha jindgi me na ehsaas the koi

Tere ehsaason ne jaane kya jaadun kiya mujhpe,

Bewafaai se tere kabhi anjaan main na thi

Par khushiyon pe teri sada kurbaan thi main,

Waqt ek vo bhi tha jab shabdon ka ye manjar

Na bus ka tha mere,na judi thi main inse,

Bahoon me apni thaame tum laaye muje yaha par

Ghar ban gaya vo mera, Jo mahfil thi teri,

Sukun ke vo pal the, Jo teri yaadon me bitaati

Bus tujhiko hi main padhti, Tujhi ko sunaati,

Kya khub the vo din bhi pahle tere vo pyar ke afsaane

Khandala ki un waadiyon me main tujhko sunaati,

Aankhon se girte aansun, sahmi meri awaaj ko main tujse chipaati

Sunna mere ishq ko vo gujra taraana, soch apne armaan main khud me chipaati,

Tu to chala gaya apni ye yaadein deke mujhko

Paane ki laalsa thi bus ek parri ki jo tujko,

Aayi thi jab sang main tere is mahfil me

Baahon me thi main tere,band ankhon se tere dil me,

Ghut rhi ,dum todh rhi hu .. ab main teri is mahfil me

Wapas kaise jaau ,na dagar ka pata hai,

Har shaks yaha hai jhuta,mukhauta chada hai

Seene me jo apne gunaaho ko chipa raha hai,

Phir bhi na jaane kyu aaj bhi dil sirf tujhi ko manta hai

Khadi hu aaj bhi vahi par,na raasta hai koi,

Kal jab mera ek aansun tha girta, tadap me uski tera dil bhi dukhta

Aaj jab ye aansun tere hi diye hai, to kyu inka tujko ahsaas nhi hai,

Dil to tera aaj bhi mujse anjaan nhi hai

Phir kyu aaj tu khaamosh hai e yaara,

Maana main teri vo chaahat na thi lekin

Tu jaane mere us pal ki pahchaan to tu hi hai,

Baahein bhi ab meri dam todhne lagi hai

Saasnein bhi ab meri thamne si lagi hai,

Goud ko tune meri apne phoolon se hai khilaaya

Muhj pagli ko hi tune hai apnaa banaaya,

Nanhe nanhe kadmon se kaha use leke jaau

Kaise ab e ishq main use Apna baanaon,

Janmdaata hai tu to teri is mahfil ka

Tu gyaani hai dharm ka,insaan jo sabse uncha.

Teri Tanhaaiyon Main Tha Jo Jar Pal Tera Saaya




Teri tanhaaiyon main thi jo har pal tera saaya
Toote huye us ishq ko jisne tha sambhaala,

Girne ke pahle aansu, jo faila leti apna daaman
Bikharne pe tujko samet leti vo khudme,

Tamanna jo teri sadaiv puri karti
Tare bhi vo asmaan se tod laa jo sakti,

Us ek teri chahat ko pura main kar du
Har ek koshish maine dil se apne kar di,

Par hathon ki likhi lakeer hi vo na thi
Teri raahon pe uski koi manjil hi na thi,

Har khwahish ko tere main purn hu karti
Tu kya jaane tere dil ke hi ek kone me hu basti,

Na aahat hogi tujko ,na ahsaas mera
Na sandesh mera ,ek khamoshi sada hogi,

Teri khushiyon me shamil na hogi kabhi main
Par girega in rahon me jab jab tu akela,

Ek andekha anjaana anchal mera teri chaaya karega
Dekhna sar utha ke us chand pe tu apne,

Usme ek muskaata chehra dikhega
Chal padhan phir se tu muskuraa ke,

Hanste gaate gujarenge phir pal ye suhaane
Ek meri bus icha ye purn karna,

khud ko na kabhi yun akela tu karna
Khud ko na kabhi tu akela yun karna..

Monday, 21 July 2014

Dil Ka Aalam Hai Ek Darya Sa



Dil Ka Aalam Hai Ek Darya Sa,

Do Kinaroon Me Dard Behta Hai..

Aansu Nahi Thamtey Hain Aankhon Main Abhi Tak




Aansu nahi thamtey hain aankhon main abhi tak
Jaatey huey rota woh mujhe chhor gaya tha,

Armaano ki Duniya k anmol sey sapney

pal main woh mere saamney sab torr gaya tha,

Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi

Besabab Duniya sey meri rukh morr gaya tha,

Dinn ki tanhayi ka gham, raaton ki udasi humraah

Saarey ghamon sey rishta mera jorr gaya tha....

Humne Dil Hi Tod Dala Dharkanon Ke Khof Se




Humne Dil hi Tod dala Dharkanon ke Khof se
Basti Mita di Barishon ke Khof se,

Kon Kehta hai Hmain ras aa Gyi Zindgi

Hum to Yun hi Hans Rahe Hain Aansuon ke Khof se..

Sunday, 20 July 2014

Ulfaat Ka Jab Kisi Nay Lieya Naam Roo Paray




Ulfaat Ka Jab Kisi Nay Lieya Naam Roo Paray
Apni Wafa Ka Sooch K Anjaam Roo Paray,

Har Shaam Yeh Sawaal Mohabbat Say Kia Mila

Har Shaam Yeh Jawaab K Har Shaam Roo Paray,

Raah-E-Wafa Main Hum Ko Khushi Ki Talaash Thi

Do Gaam Hi Chalay Thay K Har Gaam Roo Paray,

Roona Naseeb Main Hai Tu Auroon Say Kia Gila

Apnay Hi Sar Lieya Koi Ilzaam Roo Paray...

Jitne Toofan Uthaoge Mein Seh Sakti Hoon




Jitne Toofan Uthaoge Mein Seh Sakti Hoon,

Tez Aandhi Mein Lachakne Ki Ada Hai Mujh Mein.

Taajub Hai Teri Gehri Muhabbat Pe




Taajub Hai Teri

Gehri Muhabbat Pe...


==”CHANDA”==


Wo Teri Rooh Me Basa Hai


Or Tu Us Ke


Vehm-O-Guman Me Bhi Nahi…

Kashti-E-Jaan To Bhanwar Mein Hy Kaee Barson Sy



Kashti-E-Jaan To Bhanwar Mein Hy Kaee Barson Sy,

Ay KHUDA Ab To Bibo Dy, Ya Kinara La Dy......

Ussi Aik Pal Ki Talash Hai Jissey Log Kehtey Hain Zindagi




Ussi Aik Pal ki Talash Hai, Jissey Log Kehtey Hain Zindagi,

Teri Reh Guzer Main Guzer Gai Meri Umer Bhar Ki Musaftain.