Showing posts with label Romantic Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Romantic Ghazals. Show all posts

Wednesday, 16 July 2014

Romantic Urdu Ghazal Shayari Mosam Mosam Lagtey Ho Jo Pal Pal Rang Badltey Ho


Mosam Mosam Lagtey Ho
Jo Pal Pal Rang Badltey Ho,

Tum Sawan Sawan Lagtey Ho
Jo Sadiyon Baad Barstey Ho,

Tum Sapna Sapna Lagtey Ho
Jo Mujh Ko Kam Kam Dikhtey Ho,

Tum Pal Pal Mujh Sey Larrtey Ho
Phir Bhi Achey Lagtey Ho,

Baat Tu Hay Sharmili si
Par Kehny Ko Dil Chahta Hay,

Lo Aaj Tumhein Yeh Keh Dala
Tum Apny Apny Lagty Ho...!!!

Sahil Urdu Ghazal Chal Chlte Hain Us Paar Sanam


Chal Chlte Hain Us Paar Sanam

Jaha Lehron Ki Khmoshi Ho,
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho

Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho,
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho

Chal Chlte Hain Us Paar Sanam,

Ik Nai Aas Lganay Ko,
Ik Dil Ki Aag Bujhane Ko

Ik Doje Me Kho Jane Ko,
Ik Pal Ke Naam Ho jane Ko

Chal Chlte Hain Us Paar Sanam

Jahan Aasan Sari Rahain Hon,
Jahan Ek Doje Ki Bahain Hon

Jahan Lab Pe Sard Si Aahain Ho,
Jahan Pyar Ki Kuch Pnahain Ho

Chal Chlte Hain Us Paar Sanam...!!!

Tuesday, 15 July 2014

Love Romantic Hindi Ghazal Mujhe Acha Sa Lagta Hai


Mujhe Acha Sa Lagta Hai
Tumhi Ko Dekhte Rehna

Tumhi Ko Chahte Rehna
Tumhi Ko Sochte Rehna

Tumhi Ko Sunte Rehna
Bohot Gehre Khyaalo Me

Jawabo Me Sawalo Me
Mohabbat Ke Hawalo Me

Tumhara Naam Aa Jana
Mujhe Acha Sa Lagta Hai

Tumhare Sang Sang Chalna
Wafa Ke Aag Me Jalna

Tumhe Naraz Kar Dena
Kabhi Khud Bhi Ruth Jana

Tumhari Berukhi Pe Bhi
Tumhari Aarzoo Karna

Khud Apne Dil Dhadkan Se
Tumhari Guftugu Karna

Mujhe Acha Sa Lagta Hai...!!!

Love Hindi Romantic Ghazal Tumhare Aane Ki Ek Aahat Si Hoti Hai


Tumhare Aane Ki Ek Aahat Si Hoti Hai
Na Jane Kyun Dil Me Halchal Si Hoti Hai,

Tumhe Dekhne Ko Jee To Chahta Hai Mager
Tumhari Ankhon Me Aksar Ek Shararat Si Hoti Hai,

Tum Jo Muskura K Mujhe Ek Nazar Dekho
Aisa Lagta Hai Jaise Saari Duniya Mere Pass Hi Hai,

Tum Chalo Sath Mere Umer Bhar K Liye
Tumhen Dekh Kar Aksar Yeh Khuwahish Si Hoti Hai,

Mere Hathon Ki Lakeeron Me Ho Shamil Naam Tumhara
Takdeer Se Aksar Yeh Guzarish Si Hoti Hai...!!!

Urdu Izhar Romantic Shayari Ghazal Nigah-e-Ishq Nay Jab Poocha Unke Dil Se


Nigah-e-ishq nay, jab poocha unke dil se
Kya tum bhi mujhe, itna hi chahtay ho,

To unkay chehray ki rangat
Ik sawaal kay kai jawaab ban gai,

Unkay jhukay nain, kai afsaane bayaan kar gaye
Unkay laraztay honth, mohabbat ki kahani ban gaya,

Muskurahat unki, beshumaar diyae, jalaa gayee
Aur Nazre Chuarna unka, Ranza ki kahaani sunaa gaya...!!!