Showing posts with label SMS Ghazals. Show all posts
Showing posts with label SMS Ghazals. Show all posts

Tuesday, 15 July 2014

Love Romantic Hindi Ghazal Mujhe Acha Sa Lagta Hai


Mujhe Acha Sa Lagta Hai
Tumhi Ko Dekhte Rehna

Tumhi Ko Chahte Rehna
Tumhi Ko Sochte Rehna

Tumhi Ko Sunte Rehna
Bohot Gehre Khyaalo Me

Jawabo Me Sawalo Me
Mohabbat Ke Hawalo Me

Tumhara Naam Aa Jana
Mujhe Acha Sa Lagta Hai

Tumhare Sang Sang Chalna
Wafa Ke Aag Me Jalna

Tumhe Naraz Kar Dena
Kabhi Khud Bhi Ruth Jana

Tumhari Berukhi Pe Bhi
Tumhari Aarzoo Karna

Khud Apne Dil Dhadkan Se
Tumhari Guftugu Karna

Mujhe Acha Sa Lagta Hai...!!!

Love Hindi Romantic Ghazal Tumhare Aane Ki Ek Aahat Si Hoti Hai


Tumhare Aane Ki Ek Aahat Si Hoti Hai
Na Jane Kyun Dil Me Halchal Si Hoti Hai,

Tumhe Dekhne Ko Jee To Chahta Hai Mager
Tumhari Ankhon Me Aksar Ek Shararat Si Hoti Hai,

Tum Jo Muskura K Mujhe Ek Nazar Dekho
Aisa Lagta Hai Jaise Saari Duniya Mere Pass Hi Hai,

Tum Chalo Sath Mere Umer Bhar K Liye
Tumhen Dekh Kar Aksar Yeh Khuwahish Si Hoti Hai,

Mere Hathon Ki Lakeeron Me Ho Shamil Naam Tumhara
Takdeer Se Aksar Yeh Guzarish Si Hoti Hai...!!!