Showing posts with label bewafa. Show all posts
Showing posts with label bewafa. Show all posts

Sunday, 1 March 2015

Thursday, 26 February 2015

Ek jazba Khaak Huwa Dil Ki Gehrayion Mein Kahin..


Ek jazba Khaak Huwa Dil Ki Gehrayion Mein Kahin..
Taajub Hai Mout Par Uski K0i R0ya Tak Nahi..

Saahil Se T0 Chalay They Saath Me HamSafar
Ban Kar..
Sagar Ne D0oboya
Hum hi K0 Unhain
T0 Bhigoya Tak Nahii..

Aankhon Mein Zinda Khuwab They Ya Khuwb Me Zinda Aankhen..
T0otnay Ke Baad hi jana Ke Unhoo Ne T0 Sanjoya Tak Nahi..

Nadani Me jin Ki Kahatir Sab Luttanay Niklay They Hum..
Dekho Hamaray Na Rehnay Par Bhi Unka KuCh Kh0ya Tak Nahi. 

Ishq dono pe yun guzar jaaye


Ishq dono pe yun guzar jaaye 

Main bikhar jaaun vo sanwar jaaye 

Wednesday, 4 February 2015

Tumhari Yaad E Judai Ka Bojh Ab Uthaya Nahi Jata



Tumhari Yaad E Judai Ka Bojh Ab Uthaya Nahi Jata 

Suno Thori Khushi Thori Hansi Mere Naam Kar Jao 

Bara Dushman Bana Phirta Hai Jo Bachon Se Larta Hai Bara Dushman Bana Phirta Hai Jo Bachon Se Larta Hai



Pata Kiya Puchta Hai Wo Kitaabon Mai Milunga Main
Kiye Maan Se Hain Jo Main Ne Ke Waadon Mei Milunga Main
Main Aaney Wala Kal Hoon Wo Mujhe Kiyun Aaj Maare Ga
Ye Uska Wehm Hoga Ke Wo Aesey Khwaab Maare Ga
Tumhara Khoon Hoon Na Is Leye Acha Lara Hoon Main
Bata Aaya Mai Dushman Ko Ke Us Se Tou Bara Hoon Main

Mai Aisi Qoum Se Hoon Jis Ke Wo Bachon Se Darta Hai
Bara Dushman Bana Phirta Hai Jo Bachon Se Larta Hai

Wo Jab Aate Huwe Mujh Ko Galey Tum Ne Lagaya Tha
Aman ALLAH Kaha Mujh Ko, Mera Beta Bulaya Tha
Khuda Ke Amn Ki Raah Mei Kahan Se Agaya Tha Wo
Jahan Tum Choomti Thi Maan, Wahan Tak Agaya Tha Wo

Mai Aisi Qoum Se Hoon Jis Ke Wo Bachon Se Darta Hai
Bara Dushman Bana Phirta Hai Jo Bachon Se Larta Hai

Mujhe Jana Para Hai Par Mera Bhai Karey Ga Ab
Mai Jitna Na Parha Wo Sub Mera Bhai Parhey Ga Ab
Abhi Baba Bhi Baaqi Han Kahan Tak Ja Sako Ge Tum
Abhi Wada Raha Tum Se Yahan Na Aa Sako Ge Tum

Bara Dushman Bana Phirta Hai Jo Bachon Se Larta Hai



Bara Dushman Bana Phirta Hai Jo Bachon Se Larta Hai

Thursday, 29 January 2015

apna Gham leke kahin aur na jaya jaaye.


apna Gham leke kahin aur na jaya jaaye.
ghar men bikhri hoi chizon ko sajaya jaaye.


jin chiragon ko havaaon ka koi Khauf nahin.
un chiragon ko havaaon se bachaya jaaye.


baag men jaane ke aadaab huwa karte hain..
kisi titli ko na phoolon se uraaya jaaye.


Khudkushi karne ki himmat nahin hoti sab me.
aur kuch din yun hi auron ko sataaya jaaye.


ghar se masjid hai bahut dor chalo yun kar len.
kisi rote huwe bache ko hansaya jaaye.

Monday, 12 January 2015

Thursday, 8 January 2015

Seekha tha dil se uski zaat mein rehna..

Seekha tha dil se uski zaat mein rehna..

Sikha diya us ki zaat ne okat mein rehna.. 

Wednesday, 7 January 2015

Seekha tha dil se uski zaat mein rehna..

.

Seekha tha dil se uski zaat mein rehna..

Sikha diya us ki zaat ne okat mein rehna.. 

Ruk Gei Zindagi Bas Usi Morr Par


Ruk Gei Zindagi Bas Usi Morr Par
Tere Bin Youn hi Mosam Guzarte Rehe

Dil K Aangan Men Roti Rehi Hasraten
Aankh Zinda Rehi Khuwab Marte rehe

Jab Talak tu Meri Simt Chalta Raha
Puch kr Mujh Se Suraj Nikalta Raha

Tere Lehje ki Khushboo Me Bheege Hue
Chand Tare Mere Ghar Utarte Rehe

Aankh Me Chahton K Samundar Liye
Kitni Jaldi tu Mujh se Juda ho Geya.

Jane Wale,Tujhe Keya Khabr Hay k Ham.
Lamha Lamha
Tere Baad Marte Rehe.

Tuesday, 6 January 2015

Sheikh 2 shopkeeper:

 Sheikh 2 shopkeeper: Bhai sahb 1 rupia ka Easy Load kardo 
Shopkeeper: 1 rupey ke load se kesi ko call karni hai ya msg 

Sheikh: Karna tu kuch bhi nahi 
Bus aisy hi paisy urany ki adat hai 

Hum khaali hath hi aaye thay


Har fard yahan par 
Taajir hay 
Har waqt Tijaarat hoti hay 
Tum ap hi apne Daam kaho 
Chhup k nahi Sar e aam kaho 

Kya lo ge Apni yari ka 
Kya lo ge tum Dildaari ka 
Ghum khuwar bano ge kitnay me 
Tum pyar karo ge kitnay me 

Sab jazbay mere Naam karo 
Hum naam Tum apna daam kaho 
Par daam chukaanay ki khatir 
Hum apna daftar kholein to 

Hum apni jaib tatolain to 
Bas pyar milay ga thora sa 
Aazaar milay ga thora sa 
Ye sikkay Yahan kab chaltay hain 
Kya udhaar milay ga thora sa 

Ye dunya Be aitbari ki 
Ye arz hay Har beyopari ki 
Chal chor tamanna 
Jazbon ki 
Hum khaali hath hi aaye thay 
Hum khali hath hi jayen gy.. 

Monday, 5 January 2015

Main Bola Aa Tujhe Apne Dil Mein Le Ke Chalta Hoon

Woh Boli Kuch Likhoon To Ungliyon Se Khoon Rasta Hai 
Main Bola Main To Aise Mein Bhi Apne Dil Se Likhta Hoon 

Woh Kehti Hai Tumhein Takhti Pe Apne Harf Likh Doon To 
Main Kehta Hoon Teri Baatein Mere Baste Mein Aa Jayein 

Woh Kehti Hai Balayein Jab Bhi Mera Naam Leti Hain 
Main Kehta Hoon Tujhe Meri Duayein Thaam Leti Hain 

Woh Mujh Se Poochti Hai Mujh Se Baatein Kyun Nahi Karte 
Main Kehta Hoon Abhi To Dekhne Ki Manzilon Per Hoon 

Mohabbat Mein Safar Kitna Zaroori Hai Woh Kehti Hai 
Main Kehta Hoon Mohabbat Mein Kahin Thehra Nahi Jaata 

Woh Mujh Se Poochti Hai Aashiyane Jal Gaye Honge 
Main Kehta Hoon Ke Shayed Itefaqan Bach gay hongay 

Woh Mujh Se Poochti Hai Aaj Phir Goli CHali Ho Gi 
Main Kehta Hoon Ke Han Kuch Mayatein Ayi Hain Basti Mein 

Woh Kehti Hai Khamoshi Farsh Per Saye Banati Hai 
Mein Kehta Hoon Udaasi Weham Banti Ja Rahi Ho Gi 

Woh Boli Aa Tujhe Main Dasht Ke Mani Batati Hoon 

Main Bola Aa Tujhe Apne Dil Mein Le Ke Chalta Hoon 

Woh Boli Tum Bhi Zindagi Se Rooth Jao Ge

Woh Boli Tum Bhi Zindagi Se Rooth Jao Ge
Main Bola Han Shayed Maut Mujh Se Maan Jaye Gi

Woh Boli Tum To Khud Hi Khud Se Haar Jaate Ho
Main Bola Kya Karoon Kamzor Hoon Aur Be Sahara Hoon

Woh Boli Raat Se Kya Baat Karte Ho Akele Mein
Main Bola Dard Ki Kuch Kuch Mohabbat Ki Judai Ki

Woh Boli Kaun Aksar Yaad Aata Hai Udaasi Mein
Main Bola Kuch Puraane Raaste Bachpan Aur Ik Larki

Woh Boli Saans Per Bhi Dard Ke Korhay Baraste Hein
Main Bola Haan Lahoo Per Neel To Maine Bhi Dekhein Hain

Woh Mujh Se Poochti Hai Badalon Ko Kab Bulao Ge
Main Kehta Hoon Tumhein Jab Dhoop Ka Mausam Sataye Ga

Woh Boli Phone Bhi Aksar Bohat Angej Rakhte Ho
Main Bola Be Saropa Ghantiyon Se Khauf Aata Hai

Woh Boli Tum Bohat Kanjoos Ho Khat Bhi Nahi Likhte
Main Bola Khat Likhoon To Shairy Naraaz Hoti Hai

Woh Boli Tum Kabhi Milne Chale Aao Jo Mumkin Ho

Main Bola Yeh To Tum Ne Mere Dil Ki Baat Keh Di Hai

Woh Boli Aaj Mausam Mein Ajab Si Khushgawari Hai
Main Bola Haan Yeh Mausam Pyaar Se Milne Ka Mausam Hai 

Jahan se chali thi waheen pe kharri hoon..



Jahan se chali thi waheen pe kharri hoon..
Mein teri mohabbat ki aesi gharri hoon..

Tere hath mein thi mohabbat ki gurriya..
Jahan pe rakha tha waheen pe parri hoon..

Tujhe bhool janey ka socha tha lekin..
Barri dair tak aaj khud se larri hoon..

Tere sang barish mein chhatri ke neechey..
Mujhe yoon laga jese mein bhi jharri hoon..

Teri zaat se mein bhi mansoob ho kar..
Atoot ang hoon zindagi ki karri hoon..

Mera bachpana pan hai mohabbat mein shamil..
Mohabbat mein qadd se zeyada barri hoon..

Husn k baagh se lafzon ko uthaney lag jayeen..



Husn k baagh se lafzon ko uthaney lag jayeen..
Hum ghazal likh k tere naam laganey lag jayeen..

Aik lamhey ko agar tera tabassum daikhen..
Hosh walon k sabhi hosh thikaney lag jayeen..

Gar bayaan karne lagon dil se khad o khaal tere..
Sirf aankhon pe kayi aik zamaney lag jayeen..

Ye ibaadat hai ibaadat hai ibaadat hai k hum..
Dil ki aawaz mein aawaz milanay lag jayeen..

TU agar aik jhalak apni dikha de un ko..
Sab mussavir teri tasveer bananay lag jayeen.

Dil ki takhti pe agar naam tumhaara likhon..
Titliyaan urr k tere naam pe aaney lag jayeen..

Ain mumkin hai jinhen mujh se adaavat hai..
Waqt aane pe mera saath nibhanay lag jayeen..

Hum nazuk nazuk dil waley..





Hum nazuk nazuk dil waley..
Kabhi hastey hain kabhi rotey hain..

Kabhi dil mein khwab parotey hain..
Kabhi mehfil mehfil phirtey hain..

Kabhi zaat mein gum ho jatey hain..
Kabhi chup ki mohar sajatey hain..

Kabhi geet labon par atey hain..
Kabhi sab ka dil behlatey hain..

Kabhi khud tanha ho jate hain..
Kabhi shab bhar jagtey rehtey hain..

Kabhi lambi taan k sotey hain..
Hum nazuk nazuk dil waley Bas..
apney aap mein rehtey hain..

HaM Ko KhuShI MilLi BhI To kahaN RaKheN Ge..




HaM Ko KhuShI MilLi BhI To kahaN RaKheN Ge..

AaNkhoN MaIN HaSraTeN HaIN
AoR DilL MaIN KiSI Ka GhaM..

Goya na tha wo chaand to halay ne baat ki

Goya na tha wo chaand to halay ne baat ki
Wo chup raha to kaan k balay ne baat ki

Us ki taraf se deeda e num ne kiya kalaam
Meri taraf se paaon k chhalay ne baat ki

be ikhtiyaar ho k milaya jo us ne haath
Aisa laga k rooi k galay ne baat ki

Tanhai k safar mein khaamoshi se raat bhar
Saqi ne mekaday ne piyalay ne baat ki

Kangan khanak utha kabhi choorri chank uthi
TU ne nahi to teray havaly ne baat ki

Jab bhi sukhan kiya to Saba ne sukhan kiya
Jab baat ki to din k ujalay ne baat ki 

Ye Hijar K Haathon mai Lakeeron Ki Tarah Hay

Ye Hijar K Haathon mai Lakeeron Ki Tarah Hay
Acha Hai Mera Dil Bhi Aseeron Ki Tarah HAy

Ik Mai Hon Hawaon Ki Sadaaon Ka Musafir
Ik Wo Hai Khayalon Pe Zanjeeron Ki Tarah Hay

Har Shakhs Hai Nafrat k Taqaazon Ka Pujaari
Muddat se Mohabbat Bhi Faqeeron Ki Tarah Hay

Wo Dil mai Basa Hay Ye Ajab Hai Ke Mera Ghar
Ujrre Hue Be rabt Jazeeron ki Tarah Hay

Dekhi Hay Wafaa Hum Ne Galiyon main Shikasta
Wesay to Tera Shehar
Ameeron Ki Tarah Hay.