Showing posts with label pictures poetry. Show all posts
Showing posts with label pictures poetry. Show all posts

Saturday, 12 July 2014

Phir Aa Rahi Eid Wo Daikho Chaand Eid Ka.

Phir Aa Rahi Eid Wo Daikho Chaand Eid Ka.
Roti In Aankhon Ko Intzar Hy Tairi Deed Ka.

Aao K Mil Kar Baantein Khushiyan Eid Ki.
Eid Hy Paigham Deed Ka.

Wohi Ujrra Aur Veeran Ghar Hy Mera.
Muntzar Hy Jo Tere Lotny Ki Naveed Ka.

Lout Aao Is Eid Py Gar Tum Jaana'N.
Mehak Uthy Phool Chaman-E-Khusheed Ka.

AjNabi Nahin Hum An-Jany Nahin.
By-Rukha Hy Kiun Andaz Tera Guffat-O-
Shuneed Ka.

Sun Kar Iltja ZafaR Ki Aa Bhi Jao.
Eid Hy Din Ahad-E-Wafa-O-Tehmeed Ka.

Kaash Ye Eid Mujhy, Tum Sy Jor Dy,

Mere Maathy Ki Bindiya,
Hoti Tere Naam Ki,
Mere Kaan Ki Baaliyan,
Tujh Sy Waabsita Hoti,
Ye Naak Me Pahni Hy Jo Nathli,
Jurr Jaye Ye Bhi Tujh Sy,
Meri Kalaai Ka Ye Kangan,
Khanky Tera Naam Ly Kar,

Kaash Is Eid Py,
Mera Sajna Sanwrna,
Mansoob Ho Tum Sy,
Mere Pairon Ki Payal Me,
Sur Ho Shamil Teri Chahat Ka,
Kash Ye Eid Ho Tere Naam Ki,
Kaash Ye Eid Mujhy,
Tum Sy Jor Dy,
Kaash Ye Eid Tujhy,
Mujh Sy Jorr Dy.

Wednesday, 28 May 2014

Gull-O-Gulzaar Gawahi Dain Gay.

Gull-O-Gulzaar Gawahi Dain Gay.
Teri Galiyan Tere Bazaar Gawahi DaiN Gay.

Kitne TarPe Hain Teri MuhabbaT Me Hum.
Mere Ghar K Dar-o-Deewar Gawahi Dain Gay.

Mere JazbOn Meri Sochon Pe Musallat Hai To.
Meri Nazmain Mere Ashaar Gawahi Dain Gay.

Dunya Me Sirf Tum Se MohaBBat Ki Hai.
Es Pe So Baar Mere Yaar Gawahi Dain Gay.

TumHein Paany Ki Jahaan Me ne Duayein Maangi.
Wo MasJiDain Wo Darbaar Gawahi Dain Gay.

Sunday, 25 May 2014

Ye jo sargashta se phirte hain kitabon wale

Ye jo sargashta se phirte hain kitabon wale
In se mat mil k inhe rog hain khwabon wale

Ab mah-o-saal ki mohlat nahi milne wali
Aa chuke ab to shab-o-roz azabon wale

Ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban bolte hain
Ab kahan log wo mohabat k nisabon wale

Jo dilon par hi kabhi naqab zani karte the
Ab gheron tak chale aaye wo naqabon wale

Zinda rehne ki tamanna ho to ho jate hain
Fakhtaon k b kirdar yahan aqabon wale

Na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina
Ab k mosam hi nahi aaye gulabon wale

Yun to lagta he k qismat ka sikndar he wo
Magar andaz hain sab khana kharabon wale...

Kuch Khushi K Saye Me, Or Kuch Ghamon K Sath Sath,

Kuch Khushi K Saye Me,
Or Kuch Ghamon K Sath Sath,
Zindagi kat hi rahi Ha,
Uljhanon K Sath Sath,

Kis Tarha Khaya Hai dhOka,
Kya Bataon Me TumhE,
Apnon K Mashwary Thy,
Sazishon K Sath Sath,

Kis Tarha Rakhy Huwey Hain,
Chaand Suraj Aik Jagah,
Nafraten Bhi Pal Rahi Hain,
Chahaton K Sath Sath,

Is Dafa Saawan Main,
Teri Yaad K Badal Rahy,
Is Dafa Main KhOob Roya,
Barishon K Sath Sath,

Wo JinhEin Main Apna Kehta Tha,
Barray Hi Maan Sy,
Suf-Ba-Suf Wo Bhi Khary Thy,
Dushmanon K Sath Sath,

Kaash Phir Sy Loat Aaein,
Phir Wohi Bachpan K Din,
Hans Bhi Dety Thy Jahan Hm Ansoun K Sath Sath...

Use Kahna

Use Kahna
Kitab-E-Mazi kabi Jo kholo Tu Batana..!!

Kya Yaad krny k Wady Sirf Mere Hi Thay...

Wo HumSafar Tha

Sunday, 18 May 2014

Qissa-e-hijar agar tujh ko sunany lag jayen,

Qissa-e-hijar agar tujh ko sunany lag jayen,
Jaan-e-jaan umar nahin is mein zamany lag jayen.

Main ny is khouf sy gham tujh sy chupaye apny,
Mery Aansu teri Aankhon sy na Aany lag jayen.

Kaash aisa ho kabhi main kuch na kahoon tujh sy,
Meri Aankhein mery ehwaal batany lag jayen.

Rat-jagy khilny lagy phir sy meri neendon mein,
Rog mujh ko na kahin phir sy purany lag jayen.

Aisy Aalam mein tujhy bhoolna mumkin hai k jab,
Saary mousam hi teri yaad dilany lag jayen.

Ay dil-e-ishaq zada tujh sy shikayet kesi,
Jab mery khawab hi khud mujh ko jalany lag jayen.

Haan mujhy naaz hai Aashufta sari py apni,
Raah dekhoon ga bhaly tujh ko zamany lag jayen

Kabi Ulfat Bhara Lehja, Kabi Utra Hoa Chehra,

Kabi Ulfat Bhara Lehja, Kabi Utra Hoa Chehra, 
Samajh Mein kuch Nahi Aata, Bata Mera Gunah kia Hay? 

Meri Uljhan Mita To Day, Mujhay Itna Bata To Day, 
Main Mujrim Hon, Ya Mehram Hon, Saza Kia Hay, Jazaa Kia Hay? 

Meri Sansain To Chalti Hain, Teri Yaadon Say Aey Humdum, 
Nahi Fursat k Ye Sochoon, Fanaa kiya Hy, Baqaa Kia Hay? 

Mera Ye Dil, Meri Dharkan, Meri Saansain, Ye Sab, 
Mohsin 
Ye Sab kuch Naam Teray Hain Bata Peechay Bacha Kia Hay..