Ye jo sargashta se phirte hain kitabon wale
In se mat mil k inhe rog hain khwabon wale
Ab mah-o-saal ki mohlat nahi milne wali
Aa chuke ab to shab-o-roz azabon wale
Ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban bolte hain
Ab kahan log wo mohabat k nisabon wale
Jo dilon par hi kabhi naqab zani karte the
Ab gheron tak chale aaye wo naqabon wale
Zinda rehne ki tamanna ho to ho jate hain
Fakhtaon k b kirdar yahan aqabon wale
Na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina
Ab k mosam hi nahi aaye gulabon wale
Yun to lagta he k qismat ka sikndar he wo
Magar andaz hain sab khana kharabon wale...