Wednesday, 14 May 2014

Umeed Bhi Kirdaar Pe Poori Nahin Utri



Umeed Bhi Kirdaar Pe Poori Nahin Utri 
Ye ShaB DiL e Beemaar Pe Poori Nahin Utri 

Kya Khof Ka Manzar Tha Tere Shehr Men KaL Raat 
Sachaai Bhi Akhbaar Pe Poori Nahin Utri 

TaSweer Men Ek RanG Abhi Rahaa Hai 
Sh0khi Abhi Rukh'Saar Pe Poori Nahin Utri 

Par US K Kahin JiSm Kahin Khud W0 Kahin Hai 
Chirriya Abhi Meenaar Pe Poori Nahin Utri 

Ek Tere Na Rahne Se Badal Jaata Hai Sab Kuch 
KaL Dhoop Bhi Deewaar Pe Poori Nahin Utri 

Main Duniya K Miyyaar Pe Poora Nahin Utra 
Duniya Mere Miyyaar Pe Poori Nahin Utri...

Koi Saaya Sa Dil-e-Beemar Par Hai,






Koi Saaya Sa Dil-e-Beemar Par Hai, 
Aankh Ka Darya Hai K Raftaar Par Hai, 

Chooriyan Toot Kr Bikhri Hein Sehen Mein, 
Or Kajal Bhi Aankhon Ka Rukhsar Par Hai, 

Ik Ye Rashk K Tum Jeet Gae Ho Ham Se, 
Or Ik Khushi Bhi Tum Se Haar Par Hai, 

Kis Ne Kaat Leen Kaanch Se Nabzen Apni, 
Ye Kis Ka Ishq Ham Se Bhi Raftaar Par Haii, 

WasaL Ki Raat Na Kahin Se Aa TapkY , 
Kawwa Subha Se Cheekhta Deewar Par Hai

Fasle Simat Gaye,



Fasle Simat Gaye, 
Dua Se Kaam Chal Gaya, 
Ashk Phir Nikal Pare, 
Phir Azaab Tal Gaya, 

Kise Yaqeen Aaye Ga, 
Kis Se Ja K Yeh Kahon, 
Ek Bujhe Chiragh Se, 
Mera Haath Jal Gaya, 

Abhi To Meri Aankh Main Neend Bhi Hai Khwab Bhi, 
Sochta Hoon Phir Kabhi To Agar Badal Gaya, 

Ek Udaas Raah Se, 
Nadi K Zard Pair Se, 
Tera Pochta Raha, 
Aur Chand Dhal Gaya, 

Tujhe Bhi Ek Shakhs Ka Faraib Raas Aa Gaya, 
Kisi K Jhoot Mot Se Rizwan Bhi Kuch Behel Gaya,,,!

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain



Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte 
hain 
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain 

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se 
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain 

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e-nazuk us ki 
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain 

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shaga 
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain 

Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain 
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain 

Suna hai raat use chand takta rehta hai 
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain 

Suna hai hashAr hain us ki ghazaal si aankhain 
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain 

Suna hai din ko usay titliyan satati hain 
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain 

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki 
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain 

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai 
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain

Labon Pe Us K Kabhi BaD-Dua Nahi Hoti ,,

Labon Pe Us K Kabhi BaD-Dua Nahi Hoti ,, 

Bus iK Maa Hai Jo Kabhi Khafa Nahi Hoti...! 

Happy Mother Day

Mujhe To Jo B Mila Faqat Zaat-e-Khuda Se Mila.

Mujhe To Jo B Mila Faqat Zaat-e-Khuda Se Mila. 
Aye MAA 
LekiN Khuda Se Jo Mila Faqat Teri Dua Se Mila... 
I love you MAA 
HAPPY MOTHERS DAY

After a long fly, sparrow came back in her nest.

After a long fly, sparrow came back in her nest. 

Children asked, mom! how big sky is? 

Sparrow spread her 
Wings over her children and replied. Go to sleep my child. 
It's smaller than my wings. 

It's true... 
Nothing in this world is bigger than shelter of Mother. 
So 
Take Care of ur "MOTHERS". 
Happy mother's day...