Tuesday, 25 February 2014
HaqiqaT Main Ye Khamoshi.
HaqiqaT Main Ye Khamoshi..,,
Hamesha Chup Nhi Hoti,,,,
KabI Tum Ghor Se Sun'na..,,
Bohat Qissey Sunati Hai.....?
Jataane Mujh Se Hamdardi Maire Ghamkhvaar Baithe Hain,
Jataane Mujh Se Hamdardi Maire Ghamkhvaar Baithe Hain,
Mairi Takleef Se Bhi Khush Maire Sab Yaar Baithe Hain,
Hai Mera Zarf Ye Dekho Unhen Main Dost Kehta Hun,
Jo Meri Jaan Lene Ko Liye Talvaar Baithe Hain,
Mujhe Apnon Ne Thukraaya Karon Ghairon Se Kya Shikva,
Sabhi Roothe, Kai Mujh Se Alag Ghar Baar Baithe Hain,
Muhabbat K Taqaaze Bas Nibhaata Jaa Raha Hun Main,
Mujhe Parvaa Nahin Un Ki Liye Jo Khaar Baithe Hain,
Koi Bhi Is Jahaa'n Mein Aaj Tak Thehraa Nahin Yaaro,
Boht Aage Gaye, Baaqi Jo Hain Tayaar Baithe Hai,
Sitaaron Par Kamaden Daalne Ke The Kabhi Khavahaa'n,
Voh Saare He Javaa'n Ab Zindagi Se Haar Baithe Hain,
Dilon Mein Bughz Hai Baaqi Jabhi Sab Log Hai Chup Chup,
K Mujh Se Laa'Taalluq Se Hue Dildaar Baithe Hain,
'Khayal Itna Kabhi Koi Kisi Ko Kya Sataata Hai ?
Tujhe Atkhiliyaa'n Soojhi Hain Ham Be'Zaar Baithe Hain...!!!
Be-Basi hai... !! Udasi hai... !!
Be-Basi hai... !!
Udasi hai... !!
Aansu hain Aur Dard hai.... !!
Dekho sab kuch hai Merey Pass...!
Bas Ek WO hi nahin
Sunday, 23 February 2014
Shaheed Ka Aakhri Khaat..
Capt Junaid Khan Shaheed!
“Asslam-u-Alaikum Ami and Abu. I hope when you will receive this message I would not be alive. What so ever, do not shed tears for me. The done is done. Yes this was written in my fate. This is not because I was serving in Army that is why I died, but yes because of Army I am not dead. I have embraced Shahadat. Shahadat which every soldier wants. Tell every one that my last words were, ‘there will be very few parents in this whole world who sacrifice there only son in the name of God, for their nation, and You are among them. I will not say don’t worry, sure it is the tough time you have ever seen in your life but be patient and admit what is done.
The achievement of your life is that you had got a brave son who may be dead for the world but he has achieved a good reputation in his field and his name would be taken as a brave and meticulous soldier. I had spent less time with you. I am away since last seven years. I am happy that this thing will help you further to forget me, if not so, just think that I am on my job. I have got no further soothing words for you people. Ami I am really sorry that I could not get a girl for you (my wife), so that you could become a Mother-in-Law and fight with her….Oh just kidding. Oh! So sorry in these days you were in search for a beautiful girl for me. I think all the girls were lucky; why? Because they are safe now. You have got a very nice son as he had done no bad deeds in his complete life”.
Saturday, 22 February 2014
Kisi R0z Shaam K Waqt ...
Kisi
R0z Shaam
K Waqt ...
S0oraj K
Araam K Waqt ...
Mil Jaaye
Saath Tera ...
Haath Main
Le K Haath Tera ...
D0or Kahin
Tanhai Main ...
Dunya Se
Judaai Main ...
Apne Sang
ßithaa0n Tujhe ...
Dil Ka Kaal
Sunaa0n Tujhe ...
Teri Ezzat
Ehtraam Kar0n ...
Tere Haath0n
Ki Lakir0n Main ...
Talaash Apna
Naam Kar0n ...
Aa0 Ek
Eraada Karen ...
Phir Milne Ka
Waada Karen ...
Kisi R0z
"Shååm K Wåqt"...
S0oraj K Araam
K Waqt .
Zakhm_e_Mohbt Ko Mere Dil Se MitA Do YaarO
Zakhm_e_Mohbt Ko Mere Dil Se MitA Do YaarO
Koi Insaf Us Se Mujh Ko Dila Do YaarO
Main Nahi Raha Us Ki Zindagi Mein Ab
Koi Baat Ja Ker Use Ye Bata Do YaarO
Ek Baar Main Us Se Milna Chahta Hon
Jaty Jaty Mujhe Us Se Mila Do YaarO
Mujhe Yaqeen Hai Wo Ayega Mujhe Dekhne
Mere Chehre Se Zara Kafan Ko Hata Do YaarO,,
Facebook k baad pakistan ka dusra bara social network.
Facebook k baad pakistan ka dusra bara social network.
Jahan aap rozana hazaron naye logon se mil sakte hain, Aur dosti bhi kr skte hain
.
.
.
.
CNG Ki Line ;-)
Precious words
"Precious words"
Preshan h0ne se "kal" ki
"mushkilat" d0or nahi h0tin,,
Balke is se "Aaj" ka "sak0on" chala jata hai...!!
Friday, 21 February 2014
Teri yaadein Mulakaatein.
Teri yaadein Mulakaatein.
Teri yaadein Mulakaatein.
Main kaise bhoolon Chahat ki wo barsaatein.
Toohi mera dil hai Toohi meri jaan.
Kabhi to paas mere aao.
Kabhi to nazrein mujhse milao.
Kabhi to dil se dil ko milao O Jaana.
Meri jaan Palkein yon na jhukaana.
Meri jaan Mujhse door na jaana.
Meri jaan mujhko bhool na jaana.
O Jaana.
Mujhe lauta de Wo mera pyaar.
Main tera hi Deewana hoon.
Teri baatein Kabhi main bhool na paon..
Toohi Mera dil hai Toohi meri jaan.
yaara Kyun khafa ho mujhse.
O yaara kyun juda ho mujhse.
O yaara mera pyaar hai tujhse.
O Jaana.
Tere bin Dillagi hai adhoori.
Tere bin Aashiqi hai adhoori.
Mujhe milna hai tujhse zaroori O Jaana.
Mujhe lauta de wo Mera pyaar.
Mujhe lauta de wo Mera pyaar.
Kuch b to nahi wesa
Kuch b to nahi wesa
Jesa tujhy socha tha
Jitna tujhe chaha tha
Socha tha tere lab pr
Kuch herf duaoon k
Kuch phool wafaoon k
Mehkain gy meri khatir
Kuch b to nahi wesa
Jesa tujhe socha tha
Mehsoos ye hota hai
Dukh jhaily thy jo ab tak
Be-naam musafat me
Likhny ki muhabbat me
Parhny ki zaroorat me
Be-sud riyazat thi
Be-faiz ibadat thi
Jo khwab b thy dekhe
In jaagti ankhon ne
Sab khaam khayali thi
Phr b tujhe paany ki
Dil k kisi gooshy me
Khwahish to machali thi
Lekin tujhe pa kr b
or khud ko ganwa kr b
Is habs k mosam ki khirki se hawa aai
Na phool se khushbo ki koi b sadaa aai
Ab neend hai ankhon me
Na dil me wo pehli si taza sukhan-aarai
Na lafaz mere nikly
Na herf-o-mani ki danish mere kaam aai
Nadeeda rafaqat me
Jitni b aziyat thi
Sab mere hi naam aai
Kuch b to nahi wesa
Jesa tujhe socha tha
Jesa tujhe chaha tha.
Thursday, 20 February 2014
“ABI GHAR NA JANA”
“ABI GHAR NA JANA”
Ye Bikhri Si Zulfein,
Ye Phela Sa Kajal,
Ye Bechain Aankhein,
Ye Simta Sa Aanchal,
Tere Haal Se Log Pehchan Lein Ge,
Tujhe Dekh Ker Sab Mujhe Jan Lein Ge,
Ye Behke Qadam
Larkhrati Jawani
Ye Betaab Dil Or Muhabbat Diwani
Shafak Jaise Galon Pe Ubhri Hui Hei
Mry Honton Ki Ik Mehekti Nishani
Tere Jism Se Urrti Mri Ye Khushbo
Suna De Gi Her Ik Ko Sari Kahani
Na Ban Jaye Apna Milan Ik Fasana
Suno Jan-e-Jana
“ABI GHAR NA JANA”
Ye Bikhri Si Zulfein,
Ye Phela Sa Kajal,
Ye Bechain Aankhein,
Ye Simta Sa Aanchal,
Tere Haal Se Log Pehchan Lein Ge,
Tujhe Dekh Ker Sab Mujhe Jan Lein Ge,
Ye Behke Qadam
Larkhrati Jawani
Ye Betaab Dil Or Muhabbat Diwani
Shafak Jaise Galon Pe Ubhri Hui Hei
Mry Honton Ki Ik Mehekti Nishani
Tere Jism Se Urrti Mri Ye Khushbo
Suna De Gi Her Ik Ko Sari Kahani
Na Ban Jaye Apna Milan Ik Fasana
Suno Jan-e-Jana
“ABI GHAR NA JANA”
Wednesday, 19 February 2014
Woh Ayen Ge To Ayen Ge Junoon_e_Shouq Ubhaarne
Woh Ayen Ge To Ayen Ge Junoon_e_Shouq Ubhaarne
Woh Jayen Ge To Jayen Ge Tabahiya'n Kiye Huay_
Mai Un Ki Bhi Nigah Se Chupa K Un Ko Dekh Loo'n_
Un Se Bhi Hai Aaj Rashk Bad'gumaa'n Kiye Huay_
"TuM Ye Mat Smjhna K HuM Tmhare Baghair Ji Nhi Sakte
"TuM Ye Mat Smjhna K HuM Tmhare Baghair Ji Nhi Sakte,
Bus!
TuM Pas Na Ho To Saans Ruk Jati Hai,
TuM Ye Mat Smjhna K TuM Se Mujhe MoHoBBaT Hai,
Bus!
TuM Saath Na Ho To Kuch Accha Nhi Lagta,
TuM Ye Mat Smjhna K Koi Rishta Hai TuM Se,
Bus!
Tumhen Dukh Ho to Aankh Num Ho Jati Hai,
TuM Ye Mat Smjhna K TuM Meri Jaan Ho,
Bus!
TuM D!LL Ki Dharkan Ho Or Kuch B Nhi,
TuM Ye Mat Smjhna K Main Bhool Gaya Tumhen,
Bas!
Saans Ruk Jaye Gi Or Kuch B Nhi.
Kehte Hain K Hum Se Khata'kaar Bohat Hain
Kehte Hain K Hum Se Khata'kaar Bohat Hain_
Ek Rasm_e_Wafa Thi So Wafa'daar Bohat Hain_
Raaho'n Mai Koi Aabla Paa Ab Nahi Milta_
Raste Mai Magr Qafila_e_Salaar Bohat Hain_
Ek Khawab Ka Ehsan Bhi Uthaye Nahi Uth'ta_
Kia Kehiye K Asooda_e_Azaar Bohat Hain_
Har Jazba_e_Be'baad K Ehkaam Hazaro'n_
Har Lamha Be'khawab K Asaar Bohat Hain_
Palko'n Tak Aa Pohnche Na Honto'n Ki Tamazat_
Ab Tak To Aaina Bar'daar Bohat Hain_
Ji Behalta Hi Nahi Saans Ki Jhankaaro'n Se_
Ji Behalta Hi Nahi Saans Ki Jhankaaro'n Se_
Phorr Lun Sar Na Kahin Jisam Ki Divaaro'n Se_
Apne Rasste Huay Zakhmo'n Pe Chhirak Leta Hun_
Raakh Jharrti Hai Jo Ehsaas K Angaaro'n Se_
Geet Gaaun To Lapak Jate Hain Shole Dil Mai_
Saaz Chherrun To Nikalta Hai Dhuwaa'n Taaro'n Se_
Yun To Karte Hain Sabhi Ishq Ki Rasme'n Puri_
Doodh Ki Nehar Nikale Koi Kohsaaro'n Se_
Zinda Lashen Bhi Dukho'n Mai Saji Hain Shayed_
Boo_e_Khoo'n Aati Hai Khulte Huay Bazaaro'n Mai_
Kia Mere Aks Mai Chhup Jayen Ge Un K Chehre_?
Itna Puche Koi In Aaina Bardaro'n Se_
Piyar Har Chand Chhalakta Hai In Aankho'n Se Magr_
Zakham Bharte Hain Kabhi Talwaro'n Se_
Ab koi chand mera hy na sitara mohsin
Ab koi chand mera hy na sitara mohsin
ab kahan jaoun ga mai dard ka mara mohsin
mujh ko tufan my rehny ki bahhut adat hai,
mujh ko lay jao na sahil pe khudara mohsin,
dard ki rah my tum roz chalo gy kub tak?
ab b kar sakty ho tum ham sy kinara mohsin,
aag lag ati ha apnoun k diloun my jis say,
karty q ho wohi baat dobara mohsin,
raat andhery my mery ghar ko jalaya kiss ny,
mujh ko yh kaam bhi lagta hy tumhara mohsin...
Tuesday, 18 February 2014
Subscribe to:
Posts (Atom)