Thursday 20 March 2014

Tha Jo Aankhon Ka Kajal

Tha Jo Aankhon Ka Kajal Wohi Aansuon Ka Sabab Ho Gaya

Tukre Tukre Hua Aaina Dil Lagana Ghazab Ho Gaya

 

Shakhsiyat Ka Ajab Farq Tha Lafz Bhi Mere Baune Huwe

Main Jo Boli Wo Bekaar Tha,, Wo Jo Bola Adab Ho Gaya

 

Main Usey Zindagi Sonp Kar, Us Ke Aangan Ki Baandi Rahi

Mujh Ko Do Rotiyan De Ke Wo, Ye Samjhta Hai RAB Ho Gaya

 

Raasta Rokti Reh Gayi,, Main Usey Tokti Reh Gayi

Aur Safar Se Wo Lota Bhi Kab,, Jab Ye Dil Be'Talab Ho Gaya.

1 comment: