Monday, 24 March 2014

Kaati Hai Gham Ki Raat Bare Ehtraam Se


Kaati Hai Gham Ki Raat Bare Ehtraam Se,
Aksar Bujha Liya Hai Charaghon Ko Shaam Se,

Roshan Hai Apni Bazm Aur Isse Ehtemaam Se,
Kuch Dil Bhi Jal Rahe Hai Chiragho'n Ke Naam Se,

Muddat Hui Hai Khoon-E-Tamanna Kiye Magar,
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dil ke JaaM Se,

Subh-E-Bahar Humko Bulati Rahi Magar,
HuM Khelte Rahe Kisi Damakti Shaam Se,

Har Saans Par Hai Maut Ka Pehra Laga Hua,
Ahista Aye Hayat ! Guzar Is MuqaaM Se,

Kati Tamaam umr Faraib-E-Bahaar Mein,
Kante Samait-te Rahe Phoolon Ke Naam Se,

Ye Aur Baat Hai Ke HuM Na Sun Sake,
Awaz Usne Di Hai Hamein Har MuqaaM Se...!!
Comments
0 Blogger Comments