Showing posts with label Bewafa Shayari. Show all posts
Showing posts with label Bewafa Shayari. Show all posts

Thursday, 11 December 2014

Bewafa Hindi Shayari Barish SMS

Jaanay Kyoun L0g Huma!n Aazmaatay Hein,
Khucch P@l Saath Rehney Kay Baad D00r Chaley Jatey Ha!n,
S@ch H! Kehtay Ha!n Log,
Ke Sag@r Kay M!lney Kay Baad L0g,

Baar!sh K0 Bh00l Jatey Ha!n...

Thursday, 8 May 2014

Ashk Aankh Phir Mein Ataak Raha Hai,.

Ashk Aankh Phir Mein Ataak Raha Hai,. 
Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai,. 

Mein Us K Khayaal Se Gurizaan,. 
Wo Meri Sada Jhatak Raha Hai,. 

Tehreer Usi Ki Hai Magar Dil,. 
Khaat Parhte Howe Ataak Raha Hai, 

Hain Phon Pe Kis K Sath Batain,. 
Aur Zihan Kahaan Bhatak Raha Hai,. 

Sadiyon Se Safar Mein Hai Samandar,. 
Sahil pe Thakan Tapak Raha Hai,. 

Ek Chand Saleeb-E-Shakh-E-Gul Par, 
Bali Ki Tarah Latak Raha Hai

Mujhe manzoor hai apni wafa k haar bhi janaan

Mujhe manzoor hai apni wafa k haar bhi janaan 
Tera aankhon se ojhal pun teri mehkaar bhi janaan 

Seraat-e-hijar pe chalna muqadar hi mera thehra 
Milan k ab nazar aate nehi asaar bhi janaan 

Barra khamoshyon ka shor hai atraaf mein mere 
Bohat hoti hai un se ab meri takraar bhi janaan 

Kuch likhta hon agar main deeda-o-dil se tumharay naam 
Ajab lagte hain zakhmi se meray ashaar bhi janaan 

Chura laaya hon khushboo main tumharay lums k Kuch to 
Khilay rehtay hain her jaanib gul-o-gulzaar bhi janaan 

Tuwater se hi aatay hain teray paighaam hawaon mein 
Magar dil ko to chahiye ab thora aitebaar bhi janaan 

Mohabbat se nahi inkaar mujh ko ab talak lekin 
Tarasta hoon main sun'nay ko teri pukaar bhi janaan 

Humaray ghar k deewaron mein Kuch khaami to baaqi thi 
Hawaaon se kab girti hai koi deewar bhi janaan 

Zikar karta hai tera khud se jab bhi aaj kal shaukat 
Gulon k saath rote hain ab to khaar bhi janaan

Saturday, 3 May 2014

TanHai K Sehra Main, Yun ChoR KAY Chal Dena !

TanHai K Sehra Main, 
Yun ChoR KAY Chal Dena ! 
Choti C ShikaYat Par, 
Monh Mor K Chal Dena 
Ye Kesi MOHABBT Hai ? 

Ye Kesi RaFaQat Hai ? 

Gar Pas-e-WAFA RaKH Kar,Tum Maan Barha De Te ! 

Be'Laus Rafaqat Par, 
Emaan Barha Dete ! 

Main FakhAr Se Phir Kehta ! 
Tum 
Jaan-e-RaFaQat 
Ho ! 
Tum 
Baab-e-MOHABBT Ho ! 
TehrEEr-E-SadaQat Ho ! 
Ye Sub Hai 
Mgar Tab Bhi ! 
Hai Mujh Ko YaQEEN Ab Bhi ! 

Jo Kuch Bhi KaHa Main Ne ! 
ShikWa Hai , 
Shikayat Hai,Lekin Ye HaqEEqat Hai ! 

Bus Tum Se MOHABBT Thi ! 
Aur , , , 
Tum Se MOHABBAT Hai .

Sunday, 27 April 2014

Wafa K Zikar Mein Ghalib Mujhy Guman Hua,

Wafa K Zikar Mein Ghalib Mujhy Guman Hua, 
Wo Dard Ishq, Wafaoon Ko Kho Chuka Ho Ga, 

Jo Mere Sath Mohabat Mein Hadd-E-Junun Tak Tha, 
Wo Khud Ko Waqt K Pani Se Dho Chuka Ho Ga, 

Meri Awaaz Ko Jo Saaz Kaha Karta Tha, 
Meri Aahon Ko Yaad Kar K So Chuka Ho Ga, 

Wo Mera Pyar, Mera 
Chain-O-Qaraar, 
Jafa Ki Hadd Mein Zamany Ka Ho Chuka Ho Ga, 

Tum Us Ki Raah Na Daikho Wo Ghair Tha "SAQI" 
Bhula Do Us Ko Wo Ghairon Ka Ho Chuka Ho Ga...!

Saturday, 19 April 2014

Jo Sach Poocho Mere Yaaro Guzaara Karne Wala Hoon

Jo Sach Poocho Mere Yaaro Guzaara Karne Wala Hoon 
Main To TU TU Aur Mein Mein Ko Hamaara Karne Wala Hoon 

Teri In Hairti Aankhon Mein Jo Reh Reh K Chamakta Hai 
Main Us Paani K Qatray Ko Sitaara Karne Wala Hoon 

Tujhe Aqli Dalaael Se Main Saabit Kar Nahi Paaya 
So Ab Dil Se Wohi Koshish Dobaara Karne Wala Hoon 

Mujhe Soz-o-Gedaaz-e-Ishq Ki Tafseel Likhni Hai 
Main Ab Shauq-e-Tammana Ko Sahaara Karne Wala Hoon 

Haqeeqat K Safar Mein Jo Hamesha Saath Rehti Hai 
Main Us Hairat Ki Hairat Ka Nazaara Karne Wala Hoon 

Khayaal-e-Yaar Ki Chaadar Safar Aasaan Karti Hai 
Main Us Baabat Musafir Ko Ishaara Karne Wala Hoon 

Sabab Nakaam Rehnay Ka Munaafa Hi Munaafa Hai 
So Apni Jeet Ki Khaatir Khasaara Karne Wala Hoon 

Mujhe Khalid Shaoor-o-Aagahi Se Khauf Aata Hai 
Main Us Wehshat K Dariya Se Kinaara Karne Wala Hoon

Ujaaloon se bachaa kar khud ko zinda reh bhi sakta hai,

Ujaaloon se bachaa kar khud ko zinda reh bhi sakta hai, 
Charaghoon k talley shab bhar andheira reh bhi sakta hai, 

Guzar jis ka saraabon par raha ho dasht-e-imkaan mein, 
Yaqeenan abar k mausam mein piyaasa reh bhi sakta hai, 

Dar-o-deewaar mein tabdeel ghar to kar liya Tu ne, 
Ab is wehshat-kadey mein kiya akela reh bhi sakta hai ? 

kabhi mera safar dekho to shaayad ho yaqeen tum ko, 
K ho kar jazab ik sehraa mein dariya reh bhi sakta hai, 

Hamaarey tajrubey laazim nahi hai eik jaise hon, 
Jo mera reh nahi paaya, wo tera reh bhi sakta hai, 

Tu ho jaa muntaqil sehraa se ik dariya k saahil par, 
Nami ko jazab kar le ga to yakjaa reh bhi sakta hai, 

Agar bhar bhi de sooraj mera ghar shuaaoo'n se, 
Kisi posheedaa goshey mein andheira reh bhi sakta hai,,