Showing posts with label G. Show all posts
Showing posts with label G. Show all posts

Wednesday, 23 July 2014

Gurur-E-Ishq Tu Apni Muhabbat Pe Karna




Gurur-E-Ishq Tu Apni Muhabbat Pe Karna
Tere Ansh Ki Neev Pe Khadi Hai Imaarat Yeh Teri,

Hilne Na Degi Tufan Me Bhi Tujko
Tere Sindur Se Saji Jab Tak Mang Meri...

Monday, 21 July 2014

Guzaare Un Lamhon Pe Chadar Ek Dosti Ki Audha Kar




Guzaare un lamhon pe chadar ek dosti ki audha kar
Bin pyar ke sang mere pariwar apna basa kar,

Barson ke mere sath ko pal bhar me bhula kar

Gaya hai muje nazron me meri aur gunahagaar banakar.

Ghum Hua Is Kadar Wajood Apna Mita Gaya



Ghum Hua Is Kadar Wajood Apna Mita Gaya,

Takdeer Ne Bhi Usko Kya Se Kya Bana Diya....

Tuesday, 15 July 2014

Garmi e Hasrat e Nakaam Say Jal Jatay Hain




Garmi-E-Hasrat-E-Nakaam Say Jal Jatay Hain
Hum Charaaghon Ki Tarha Shaam Say Jal Jaatey Hain,

Bach Nikaltey Hain Agar Aatish-e-Sayyad Say Hum
Sholaa-e-Aatish-e-Gulfaam Say Jal Jaatey Hain,

Khud_Numaai To Nahi Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Say Jal Jaatey Hain,

Shamma Jis Aag Mein Jalti Hai Numaish Kay Liye
Hum Usi Aag Mein Gum_Naam Say Jal Jaatey Hain,

Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Meray Naam Kay Saath
Jaaney Kiyon Log Meray Naam Say Jal Jaatey Hain,

Rabt-e-Baaham Pay Humein Kiya Na Kahein Gay Dushman
Aashnaa Jab Teray Paighaam Say Jal Jaatey Hain.....