Showing posts with label Gham Poetry. Show all posts
Showing posts with label Gham Poetry. Show all posts

Tuesday, 29 July 2014

Kuch Raat Ki Aankhain Bhegi Thi




Kuch Raat Ki Aankhain Bhegi Thi
Aur Chand Bhi Rootha Rootha Tha,

Khuch Yaadain Uski Baqi Thi
Aur Dil Bhi Toota Toota Tha,

Kis Moor Pe Bichrray Yaad Nahi
Honton Pe Koi Faryaad Nahi,

Us Waday Ki Bhi Khabar Nahi
Woh Sacha Tha Yah Jhota Tha,

Har Lamha Aahain Bhartay Hain
Na Jeetain Hain Na Marte Hain, 

Bas Aik Duaa Yeh Krtay Hain
TUM Laot Ke Wapis Aajao.

Yun Hi Rakhte Rahe Bachpan Sy DiL Saaf Hum Apna




Yun Hi Rakhte Rahe Bachpan Sy DiL SaaF Hum Apna.,

Pata Nahi Tha Ke Keemat To Chehre Ki Hoti Hai DiL Ki Nahi...

Bohat Purani Dusmani Hai Naseeb Ki Meri Zaat Se



Bohat Purani Dusmani Hai Naseeb Ki Meri Zaat Se,

Main Jis Ko Jitna Chahti Hun Naseeb Usko Utna Door Ley Jata Hai...

Neendoon Ki Baghawat Se Yeh Nuqsaan Huaa Hai



Neendoon Ki Baghawat Se Yeh Nuqsaan Huaa Hai,

Ik Shakhs Key Khawaboon Ko Tarasti Rahien Ankhain...

Thursday, 24 July 2014

Manzilen Ajeeb Thi Ke Raste Ajeeb Thy




Manzilen ajeeb thi ke raste ajeeb thy
Aaj itna hum door hain jitna hum qareeb thy,

Duayein Maangi phir bhi Tumko na pa sake

Hum kisi aur ki khwaish thy
Aur 
Tum kisi aur ke naseeb thy....

Aya Na Ek Baar AyaDat Ko Woh Maseeha



Aya Na Ek Baar AyaDat Ko Woh Maseeha,

Sou Baar Hum Faraib Se Bimaar Ho Gaye..!

Saher Lutte Lutte Hai Hain Sitaray Udaas Udaas



Saher Lutte Lutte Hai Hain Sitaray Udaas Udaas,

Shaid Mere Naseeb Ke Din Raat Kat Gaye...

Shikaayet To Nahi Hai Lekin Itna Poochti Hoon Mein




Shikaayet To Nahi Hai Lekin Itna
Poochti Hoon Mein,

Wo Aakhir Kya Kare Jo Har Tarah

Majboor Ho Jaye??

Wohi Ranjishein Wohi Hasratein Na Hi Dard-E-Dil Main Kami Hui



Wohi Ranjishein,  Wohi Hasratein, Na Hi Dard-E-Dil Main Kami Hui,

Ha Ajeeb Si Meri Zindagi, Na Guzar Ski, Na Khatam Hui.....

Hamare Aansu Bhi Usey Na Khareed Sake



Hamare Aansu Bhi Usey Na Khareed Sake,

Logon Ki Muskrahaton Ne Usey Apna Bana Liya..!!

Kyaa Surmaa Bhari Aankhoon Se Aansuu




Kyaa Surmaa-Bharii
AaNkhoN Se AaNsuu
NahiiN Behtey??

Kyaa Mehandii Lage

HaathoN Se Maatam
NahiiN Hotaa??

Wednesday, 23 July 2014

Tumhari Aankh Ka Aansoo Hamari Aankh Se Nikle




Tumhari Aankh Ka Aansoo Hamari Aankh Se Nikle,

Shikayat Ab Bhi Hai Tum Ko Mohabbat Hum Nhi Karte...!!

Kahan Woh ShoKhiyaan Pehle Si Ab Kuch Bhi Nahi BaaQi



Kahan Woh ShoKhiyaan Pehle Si Ab Kuch Bhi Nahi BaaQi,

Chaley Aaye Ho Tum Kiya Khojne Be-Jaan Aankhon Main…

Khamoshi Ne Uski Sab Bayaan Kar Diya




khamoshi ne uski sab bayaa.n kar diya
Gunahon me uske muje fana kar diya


Likhi sunhari takdeer mere KHUDA ne

Usne ek lamhe me sab tabaah kar Diya..

Jab Pyar Hi Usko Nahi Tha Mujse




Jab pyar hi usko nahi tha mujse
Phir kyu ye jimmedari de gaya vo mujko,

Ek ishare pe kurbaan thi main sada se

Jhute us dikhawe ki main mohtaj to na thi kabhi..

Badalti Nahi Qismat Hathon Ki Lakirein Mitane Se




Badalti nahi qismat hathon ki lakirein mitane se
yaadein nahi mitti kisi k bhool jane se,

kiye faida jo kisi ke khatir duniya se rooth jae

yahan kisi ko fark nai parta kisi ke toot jane se...

Monday, 21 July 2014

Teri Khushiyon Se Tujko Sada Hai Milaana




Teri khushiyon se tujko sada hai milaana
Isliye ghum apne mujhe sahte jaana,

Tere chehere ki rangat se khamosh ab main

Tere hi liye ,tera gunaah hai chipana,

To kya gar man tera bhatkta hi rahta

Sachi ek rah pe tujhe hai chalaana,

Tuje to bus sirf ek naya chehra hi bhaata

Chune ki chah bus dil me liye jo chalta,

Na bandhan, na bojh mere rishte ka tuje dungi

Tu kamzor dil, tere bus me nhi muje paana.