Showing posts with label Chaahat Poetry. Show all posts
Showing posts with label Chaahat Poetry. Show all posts

Tuesday, 29 July 2014

Kuch Raat Ki Aankhain Bhegi Thi




Kuch Raat Ki Aankhain Bhegi Thi
Aur Chand Bhi Rootha Rootha Tha,

Khuch Yaadain Uski Baqi Thi
Aur Dil Bhi Toota Toota Tha,

Kis Moor Pe Bichrray Yaad Nahi
Honton Pe Koi Faryaad Nahi,

Us Waday Ki Bhi Khabar Nahi
Woh Sacha Tha Yah Jhota Tha,

Har Lamha Aahain Bhartay Hain
Na Jeetain Hain Na Marte Hain, 

Bas Aik Duaa Yeh Krtay Hain
TUM Laot Ke Wapis Aajao.

Tumko Jaante Nahi Per Chahate Hain Hum




Tumko Jaante Nahi, Per Chahate Hain Hum
Din Bhar Khojte Nahi, Per Sochte Hain Hum,

Tumhare Dil Mein Rehte Nahi, Per Tumhare Hain Hum
Tumko Shayad Paayenge Nahi, Per Apnayen Ge Hum,

Jeevan Main Shayad Kabhi Mil Na Paao,Bas Bichar Jaao Ge Tum
Shayad Humare Na Ban Paao, Per Muskurao Ge Tum,

Raat Andheri Hogi, Phir-Bhi Jhilmilaoge Tum
Humein Aur Koi Nahi, Bas Yaad Aao Ge Tum...

Woh Aansoo Jo Palkon Ki Zeenat Nahi Bante





Woh Aansu Jo Palkon Ki Zeenat Nahi Bante
Woh Chupke Se Dil Me Utar Jaayaa Karte Hain,

Kuchh Log Dukhon Ki Numaish Nahi Karte
Bas Khaamoshi Se Hi Bikhar Jayaa Karte Hain.

Yun Hi Rakhte Rahe Bachpan Sy DiL Saaf Hum Apna




Yun Hi Rakhte Rahe Bachpan Sy DiL SaaF Hum Apna.,

Pata Nahi Tha Ke Keemat To Chehre Ki Hoti Hai DiL Ki Nahi...

Kitna Lutf Deta Hai Us Jagah Tanha Beth Kay Rona



Kitna Lutf Deta Hai Us Jagah Tanha Beth Kay Rona,

Jahan Roz Wo Meri Sanson Se Bhi Zaida Kareeb Hota Tha...

Jinke Talash Me Kadam Khud Nikal Gye




Jinke talash me kadam khud nikal gye
Jinki yadon me ye arman pighal gye,

Dhundti thi jinko is jahan me
Palkain band ki to wo Dil me hi Mil gye..

Wednesday, 23 July 2014

Yeh Sheeshon Ke Sapnye Dhagoon Ke Rishtay




Yeh sheeshon ke sapnye dhagoon ke rishtay
Kisy hai khabar ke kahan toot jayen,

Muhabbat ke daryaa main tinky wafaa ke
Kisy hai khabar ke kahan doob jayen,

Lgaye hain hum ne bhi khusiyun ke pody
Magr kya barosha yahan barishon ka
Yeh mumkin ha pody kahin sukh jayen,

Jinhen Dil se chaha jinhen Dil se pooja
Nazar aa rahy hain whi ajnabi se,

Suno! Apna Dil Mazboot de ke Mazboot rehna. .
Kya kabr leny wale kahan bhool jayen!!!

Tumhari Aankh Ka Aansoo Hamari Aankh Se Nikle




Tumhari Aankh Ka Aansoo Hamari Aankh Se Nikle,

Shikayat Ab Bhi Hai Tum Ko Mohabbat Hum Nhi Karte...!!

Teri Surat Ko Dekh Kar Meri Jaan





Teri Surat Ko Dekh Kar Meri Jaan,

Khud Ba-Khud DiL Main Piyar Uth-ta Hai..!!

Khilonoon Ki Jagah DiL Toottay Hain



Khilonoon Ki Jagah DiL Toottay Hain,

Ke Guriya Ab Bari Honay Lagi Hai..!!

Ye Mujhe Chain Kiun Nahi Padhta



Yeh Mujhe Chain Kiun Nahi Padhta,

Aik Hi Shakhs Tha JaHaan Mein Kiya.?

Tuesday, 22 July 2014

Saal Dar Saal Lamha Dar Lamha Bewafaai Jaari Rakhyega



Saal Dar Saal Lamha Dar Lamha Bewafaai Jaari Rakhyega,

Kuch Taqleefeain Ta Umrr Dil-e-Aziz Hoti Hain.

Teri Tanhaaiyon Main Tha Jo Jar Pal Tera Saaya




Teri tanhaaiyon main thi jo har pal tera saaya
Toote huye us ishq ko jisne tha sambhaala,

Girne ke pahle aansu, jo faila leti apna daaman
Bikharne pe tujko samet leti vo khudme,

Tamanna jo teri sadaiv puri karti
Tare bhi vo asmaan se tod laa jo sakti,

Us ek teri chahat ko pura main kar du
Har ek koshish maine dil se apne kar di,

Par hathon ki likhi lakeer hi vo na thi
Teri raahon pe uski koi manjil hi na thi,

Har khwahish ko tere main purn hu karti
Tu kya jaane tere dil ke hi ek kone me hu basti,

Na aahat hogi tujko ,na ahsaas mera
Na sandesh mera ,ek khamoshi sada hogi,

Teri khushiyon me shamil na hogi kabhi main
Par girega in rahon me jab jab tu akela,

Ek andekha anjaana anchal mera teri chaaya karega
Dekhna sar utha ke us chand pe tu apne,

Usme ek muskaata chehra dikhega
Chal padhan phir se tu muskuraa ke,

Hanste gaate gujarenge phir pal ye suhaane
Ek meri bus icha ye purn karna,

khud ko na kabhi yun akela tu karna
Khud ko na kabhi tu akela yun karna..