Showing posts with label H. Show all posts
Showing posts with label H. Show all posts

Sunday, 20 July 2014

Saturday, 19 July 2014

Har Din Sham Me Dhal Jata Hai




Har din sham me dhal jata hai
Har timtima dhup me jal jata hai,

Mere man! Is tarah na himmat har

Waqkt kaisa Bhi ho badal jata hai.....

Hum To Jal Gaye Us Ki Mohabbat Mein Moam Ki Tarah





Hum To Jal Gaye Us Ki Mohabbat Mein Moam Ki Tarah...!

Agar Phir Bhi Wo Humein Bewafa Kahey To Uski Wafa Ko Salam...!!!

Thursday, 17 July 2014

Hum Nazuk Nazuk Dil Walay




Hum nazuk nazuk dil walay
Bas aisay hi to hotay hain,

Kabhi hasty hain kabhi rotay hain

Kabhi dil main khuwab piroty hain,

Kabhi mehfil mehfil phirty hain

Kabhi zat main tanha hoty hain,

Kabhi chup ki mohr lagaty hain

Kabhi geet labon per laty hain,

Kabhi sab ka dil behlaty hain

Kabhi khud hi tanha hoty hain,

Kabhi shab bhar jagty rehty hain

Kabhi lambi taan k soty hain,

Ham nazuk nazuk dil walay

Bas aisay hi to hoty hain.

Wednesday, 16 July 2014

Hazaron Deep Jala Kar Jo Aap Bujh Jaey



Hazaron Deep Jala Kar Jo Aap Bujh Jaey,

Hum Uss Chiragh Ke Bhujne Ka Gham Nhi Karty.

Sad Urdu Shayari Ghazal Ham Nafas Ik Teri Aarzoo Aur Main

Sad Urdu Shayari Ghazal Ham Nafas Ik Teri Aarzu Aur Main



Ham nafas.. ik teri aarzu aur main,

Koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahin
Aaina hai mere rubaru aur main,

Jugnuon ki talab ka sila yeh mila
Teergi hai mere chaar su.. aur main,

Khwaab ki titliyan jab ureen aankh say
Reh gai khwahish-e-rang-o-bu.. aur main,

Raat bhar jaagtay hain sitaron talay
Tera lehja.. teri guftagu.. aur main,

Aankh main khwaab ki kirchiyan reh gayeen
Hath main qismaton ka lahu.. aur main,

Sochti hoon, kahan jaoon, kis say kahoon
Shehr dushman.. Faza bhi adu.. aur main,

Ik mere ishq ki tishnagi.. aur tu
Ik tere hijr ki aabju.. aur main,

Daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
Ro diye hain.. teri aarzu.. aur main,

Raig-e-sehra huwe hain tere ishq main
Mere aihsaas ki aabru.. aur main,

Mere saahir.. bichartay samay reh gayeen
Teri aankhain mere chaar su.. aur main,

Kaash aisa ho.. saahil kanaaray kabhi
Aur koi na ho.. sirf tu.. aur main,

Aks-e-janan kii khair ho rabba
Khawab aankhon samait toota hay...!!!