Showing posts with label Urdu Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Urdu Ghazals. Show all posts
Tuesday, 29 July 2014
Kuch Raat Ki Aankhain Bhegi Thi
Kuch Raat Ki Aankhain Bhegi Thi
Aur Chand Bhi Rootha Rootha Tha,
Khuch Yaadain Uski Baqi Thi
Aur Dil Bhi Toota Toota Tha,
Kis Moor Pe Bichrray Yaad Nahi
Honton Pe Koi Faryaad Nahi,
Us Waday Ki Bhi Khabar Nahi
Woh Sacha Tha Yah Jhota Tha,
Har Lamha Aahain Bhartay Hain
Na Jeetain Hain Na Marte Hain,
Bas Aik Duaa Yeh Krtay Hain
TUM Laot Ke Wapis Aajao.
Tumko Jaante Nahi Per Chahate Hain Hum
Tumko Jaante Nahi, Per Chahate Hain Hum
Din Bhar Khojte Nahi, Per Sochte Hain Hum,
Tumhare Dil Mein Rehte Nahi, Per Tumhare Hain Hum
Tumko Shayad Paayenge Nahi, Per Apnayen Ge Hum,
Jeevan Main Shayad Kabhi Mil Na Paao,Bas Bichar Jaao Ge Tum
Shayad Humare Na Ban Paao, Per Muskurao Ge Tum,
Raat Andheri Hogi, Phir-Bhi Jhilmilaoge Tum
Humein Aur Koi Nahi, Bas Yaad Aao Ge Tum...
Woh Darjan Bhar Maheenon Se
Woh Darjan Bhar Maheenon Se
Sada Mumtaz Lagta Hai,,
December" Kis Liye Aakhir?
Hamesha Khaas Lagta Hai,
Bohat sehmi Hui subhen
Udasi se Bhari shaamen,
Dopehren R0i Roi si
Woh Raaten Khoi Khoi si,
Thitrti srd hawawoun Ka
Woh Kam Roshan ujalon Ka,
Kabhi Guzre Hawalon Ka
Kabhi Mushkil swalon Ka,
Bichar Jaane Ki Mayusi
Milan Ki Aas Lagta Hai,
December Kis Liye Aakhir
Hamesha Khaas Lagta Hai....?
Monday, 21 July 2014
Mera Wajood Sirf Meri Mohabbat Se Hai
♥♥ Mera Wajood Sirf Meri
Mohabbat Se Hai ♥♥
♥♥ Mujhe Ghuroor Bohat Apni
Mohabbat Pe Hai ♥♥
♥♥ Ki Hai Tujh Se Mohabbat
Mene Bepanah ♥♥
♥♥ Or Meri Zindagi Ka Sukoon
Sirf Meri Mohabbat Se Hai ♥♥
♥♥ Mujhe Chahate Honge Or Bhi
Log Bohat ♥♥
♥♥ Magar Mujh Ko Mohabbat
Sirf Apni Mohabbat Se Hai ♥♥
Sunday, 20 July 2014
Kiya Mila Mohabbat Say
Kiya Mila Mohabbat say?
Khuwab ki Musafat say,
Wesal ki tamazat say
Roz-o-shab Riyazat say,
Kiya mila "MOHABBAT" say?
Ek Hijar ka Sehra...
Ek Sham Yadoo ki....
Ek Thka huwa AANSOO...
Kiya Mila "MOHABBAT" Say...???
Saturday, 19 July 2014
Tumhen Nend Aiy Gi Ab Na Mery Bin
Tumhen nend aiy gi ab na mery bin
Mujhe hai yaqeen esa ai ga ek din,
Khuli teri Zulfon mai soya raho ga
Tere hi khyalon mai khoya rahuga,
Kabe gur say meri ankho mai dekho
MERI JAAN TUMARA hi CHERA CHUPA hai
Mujhe rat din bss Mujhe chati hu.
Phir Taroon Bhari Ratain Hian
Phir Taroon Bhari Ratain Hian,
'''''''''Phir Khushbhu Ki Baratain Hain,
Phir Sham Ka Thanda Aanchal Hai,
''''''''''''''''''''''''''Or Ik Batakta Badal Hai,
Phir Sawan Toot K Barsa Hai,
'''''''''''''''''''''...Or Phir Dil Itna Tarsa Hai,
Phir Dunya K Jhamelon Main,
''''''''''''''''''''''Phir Zindagi K Mail-on Main,
Teri Yaad Ki Shehnai Hai,
''''''''''''''''''''''Bus Main Or Meri TaNhAi Hai...
Muhabbat Khamooshi Main Jal Rahe Hain
Muhabbat Khamooshi Main Jal Rahe Hain…
Tumhari Yaad Say Roshan Deye
Mayri Zaat K Adhooray Aangan Main
Omeed Ki Kirnein Bikhairay Hoey Hain
Tanhaiyoun Main Ye Khali-Pan
Mayray Wajood K Ander SaraaYat Ker Gaya Hai
Aey Mayray HamSafar…
Ye BayJaan Labb Tayray Naam Ka Wird Kertay
Wasal Ki Piyaas Leye Baithay Hain
Haathoun Main Bikhri Lakeeroun Ko
Dair Talak Takti Hoein BayNoor Aankhein
Jab Barasti Hain Tou Rohh BayTaaab Keye Dayti Hain…
Char So Phaili Hoi Taveel Faseeel
Mayri Aahoun Ko Bhi Dafann Keye Dayti Hain
Kaysa Zindaa’n Hai K Mar Mar K Jeye Jaatay Hain
Aey Mayri Zaat Main Khoey Hoey GumNaam Kheyal!
Kuch Kaho Na K Ho Iss Dil Ko Koi Sahaara
Kuch Suno Na K Kai Daastaa’n Adhooori Hain…
Per Yahaan Koi Nahi Jis Say Kahoun, Jis Ki Sunoun
Bas Mayri Zaaat Hai, Muhabbat Hai Aur… Khamooshi Hai… !!!
Meri Aarzu Hey Tujko Miley Humsafer Koi Esa
Meri Aarzu Hey Tujko Miley Humsafer Koi Esa
Terey Faasley Sametey Tujey Dhoop Sey Bachaye,
Ye Udasiyon Ki Shamein Jo Guzer Sakein Na Tanha
Terey Paas Aa K Bethey Tujey Rotey Mein Hansaye,
Kabi Bhool Ker B Tujko Jo Koi Yaad Aana Chahey
Tujey Itna Piyar Dey K Tujey Yaad Kuch Na Aaye...
Friday, 18 July 2014
Sham Ke Saye Ko Soraj Ko Chupany Niklay
Sham k saye ko soraj ko chupany niklay
Hum deya ly ke andharon ko jalany niklay
Dil sa kiya kiya na teray ghum k khazany niklay
Hum na lamhoun ko khureeda to zamany niklay
Our to kon tha jo juram e baghawat karta
Aik hum he thay jo ya rasam nibany niklay
Shair main dashat main sahra main b tujko paya
Ay ghum yar teray kitnay thikany niklay
Chand nikla to ham logo sa lipat kar roye
Ghum ke anso thay jo khushon k bahany niklay.....
Wednesday, 16 July 2014
Na Khat Likhon Na Kalam Tujhse Rahy نہ خط لکھوں نہ قلم تُجھ سے رہے
نہ خط لکھوں نہ قلم تُجھ سے رہے
خاموشیوں کا یہی انتقام تجھ سے رہے
رہے بَس اتنا شناسائی کا بھرم باقی
اشارہ تن ہی دُعا و سلام تجھ سے رہے
نہ عہد تَرکِ تعلق نہ قربتیں پَہیم
بس اِک ربط مسلسل مادام تجھ سے رہے
یہی رہے تیرا نشتر تیرا طریقے علاج
اِسی طرح غَمِ دل کو دوام تجھ سے رہے
نظر میں عکس فِشاں ہو تیرے جمال کی دھوپ
دیارِ جان میں صدا رنگ شام تجھ سے رہے
اب سے بڑھ کے مجھے چاہیے بھی کیا آخر
دیارِ فن میں اگر میرا نام تجھ سے رہے
Sad Urdu Shayari Ghazal Ham Nafas Ik Teri Aarzoo Aur Main
Ham nafas.. ik teri aarzu aur main,
Koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahin
Koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahin
Aaina hai mere rubaru aur main,
Jugnuon ki talab ka sila yeh mila
Jugnuon ki talab ka sila yeh mila
Teergi hai mere chaar su.. aur main,
Khwaab ki titliyan jab ureen aankh say
Khwaab ki titliyan jab ureen aankh say
Reh gai khwahish-e-rang-o-bu.. aur main,
Raat bhar jaagtay hain sitaron talay
Raat bhar jaagtay hain sitaron talay
Tera lehja.. teri guftagu.. aur main,
Aankh main khwaab ki kirchiyan reh gayeen
Aankh main khwaab ki kirchiyan reh gayeen
Hath main qismaton ka lahu.. aur main,
Sochti hoon, kahan jaoon, kis say kahoon
Sochti hoon, kahan jaoon, kis say kahoon
Shehr dushman.. Faza bhi adu.. aur main,
Ik mere ishq ki tishnagi.. aur tu
Ik mere ishq ki tishnagi.. aur tu
Ik tere hijr ki aabju.. aur main,
Daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
Daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
Ro diye hain.. teri aarzu.. aur main,
Raig-e-sehra huwe hain tere ishq main
Raig-e-sehra huwe hain tere ishq main
Mere aihsaas ki aabru.. aur main,
Mere saahir.. bichartay samay reh gayeen
Mere saahir.. bichartay samay reh gayeen
Teri aankhain mere chaar su.. aur main,
Kaash aisa ho.. saahil kanaaray kabhi
Kaash aisa ho.. saahil kanaaray kabhi
Aur koi na ho.. sirf tu.. aur main,
Aks-e-janan kii khair ho rabba
Aks-e-janan kii khair ho rabba
Khawab aankhon samait toota hay...!!!
Tuesday, 15 July 2014
Sad Judai Urdu Ghazal Woh Kisi Aur Ka Hoga To Qayamat Hogi
Woh kisi aur ka hoga tu qayamat hogi
Phir na kisi ko kisi sey mohabbat hogi,
Usey deakhay koi mujhay acha nhe lagta
Is sey barh kar bhe koi mohabbat hogi,
Chand ko deakha tu yeh ehsas howa
Wo akela hai usey meri zarorat hogi,
Aey chand us ko kisi aur ka na honay dena
Warna zindagi bhar phir mujhay shikayat hogi...!!!
Subscribe to:
Posts (Atom)