Showing posts with label Tanha. Show all posts
Showing posts with label Tanha. Show all posts
Tuesday, 29 July 2014
Kitna Lutf Deta Hai Us Jagah Tanha Beth Kay Rona
Kitna Lutf Deta Hai Us Jagah Tanha Beth Kay Rona,
Jahan Roz Wo Meri Sanson Se Bhi Zaida Kareeb Hota Tha...
Monday, 28 July 2014
Ek Muskurahat Dekh Kar Mere Chehre Par Usey Sukoon Mil Jata Hai
Ek Muskurahat Dekh Kar Mere Chehre Par Usey Sukoon Mil Jata Hai,
Woh Kya Jaane Kitna Dard Us Muskurahat Me Qaid Hota Hai.
Main Phool Chunti Rahi Aur Mujhe Khabar Bhi Na Huhi
Main Phool Chunti Rahi Aur Mujhe Khabar Bhi Na Huhi,
Woh Shakhs Aa Ke Mere Shehar Se Chala Bhi Gaya..!!
Wednesday, 23 July 2014
Tumhari Aankh Ka Aansoo Hamari Aankh Se Nikle
Tumhari Aankh Ka Aansoo Hamari Aankh Se Nikle,
Shikayat Ab Bhi Hai Tum Ko Mohabbat Hum Nhi Karte...!!
Tuesday, 22 July 2014
Shayron IKi Yeh Mahfil Meri Duniya Hi Na Thi
Shayron ki ye mahfil meri duniya hi na thi
Tumne e mere yaar muje ye kya baana diya,
Na pyar tha jindgi me na ehsaas the koi
Tere ehsaason ne jaane kya jaadun kiya mujhpe,
Bewafaai se tere kabhi anjaan main na thi
Par khushiyon pe teri sada kurbaan thi main,
Waqt ek vo bhi tha jab shabdon ka ye manjar
Na bus ka tha mere,na judi thi main inse,
Bahoon me apni thaame tum laaye muje yaha par
Ghar ban gaya vo mera, Jo mahfil thi teri,
Sukun ke vo pal the, Jo teri yaadon me bitaati
Bus tujhiko hi main padhti, Tujhi ko sunaati,
Kya khub the vo din bhi pahle tere vo pyar ke afsaane
Khandala ki un waadiyon me main tujhko sunaati,
Aankhon se girte aansun, sahmi meri awaaj ko main tujse chipaati
Sunna mere ishq ko vo gujra taraana, soch apne armaan main khud me chipaati,
Tu to chala gaya apni ye yaadein deke mujhko
Paane ki laalsa thi bus ek parri ki jo tujko,
Aayi thi jab sang main tere is mahfil me
Baahon me thi main tere,band ankhon se tere dil me,
Ghut rhi ,dum todh rhi hu .. ab main teri is mahfil me
Wapas kaise jaau ,na dagar ka pata hai,
Har shaks yaha hai jhuta,mukhauta chada hai
Seene me jo apne gunaaho ko chipa raha hai,
Phir bhi na jaane kyu aaj bhi dil sirf tujhi ko manta hai
Khadi hu aaj bhi vahi par,na raasta hai koi,
Kal jab mera ek aansun tha girta, tadap me uski tera dil bhi dukhta
Aaj jab ye aansun tere hi diye hai, to kyu inka tujko ahsaas nhi hai,
Dil to tera aaj bhi mujse anjaan nhi hai
Phir kyu aaj tu khaamosh hai e yaara,
Maana main teri vo chaahat na thi lekin
Tu jaane mere us pal ki pahchaan to tu hi hai,
Baahein bhi ab meri dam todhne lagi hai
Saasnein bhi ab meri thamne si lagi hai,
Goud ko tune meri apne phoolon se hai khilaaya
Muhj pagli ko hi tune hai apnaa banaaya,
Nanhe nanhe kadmon se kaha use leke jaau
Kaise ab e ishq main use Apna baanaon,
Janmdaata hai tu to teri is mahfil ka
Tu gyaani hai dharm ka,insaan jo sabse uncha.
Teri Tanhaaiyon Main Tha Jo Jar Pal Tera Saaya
Teri tanhaaiyon main thi jo har pal tera saaya
Toote huye us ishq ko jisne tha sambhaala,
Girne ke pahle aansu, jo faila leti apna daaman
Bikharne pe tujko samet leti vo khudme,
Tamanna jo teri sadaiv puri karti
Tare bhi vo asmaan se tod laa jo sakti,
Us ek teri chahat ko pura main kar du
Har ek koshish maine dil se apne kar di,
Par hathon ki likhi lakeer hi vo na thi
Teri raahon pe uski koi manjil hi na thi,
Har khwahish ko tere main purn hu karti
Tu kya jaane tere dil ke hi ek kone me hu basti,
Na aahat hogi tujko ,na ahsaas mera
Na sandesh mera ,ek khamoshi sada hogi,
Teri khushiyon me shamil na hogi kabhi main
Par girega in rahon me jab jab tu akela,
Ek andekha anjaana anchal mera teri chaaya karega
Dekhna sar utha ke us chand pe tu apne,
Usme ek muskaata chehra dikhega
Chal padhan phir se tu muskuraa ke,
Hanste gaate gujarenge phir pal ye suhaane
Ek meri bus icha ye purn karna,
khud ko na kabhi yun akela tu karna
Khud ko na kabhi tu akela yun karna..
Monday, 21 July 2014
Mil Kar Juda Na Honge Chaha Sada Se Usne
Mil kr juda na honge chaha sada se usne
Bola phir is ghum se na jee sakunga main,
Ek akhiri mulakat na baat phir ki usne
Ek aas me bhi kab tak aese jeeye ab hum.
Subscribe to:
Posts (Atom)