Showing posts with label Y. Show all posts
Showing posts with label Y. Show all posts

Wednesday, 23 July 2014

Yeh Sheeshon Ke Sapnye Dhagoon Ke Rishtay




Yeh sheeshon ke sapnye dhagoon ke rishtay
Kisy hai khabar ke kahan toot jayen,

Muhabbat ke daryaa main tinky wafaa ke
Kisy hai khabar ke kahan doob jayen,

Lgaye hain hum ne bhi khusiyun ke pody
Magr kya barosha yahan barishon ka
Yeh mumkin ha pody kahin sukh jayen,

Jinhen Dil se chaha jinhen Dil se pooja
Nazar aa rahy hain whi ajnabi se,

Suno! Apna Dil Mazboot de ke Mazboot rehna. .
Kya kabr leny wale kahan bhool jayen!!!

Ye Mujhe Chain Kiun Nahi Padhta



Yeh Mujhe Chain Kiun Nahi Padhta,

Aik Hi Shakhs Tha JaHaan Mein Kiya.?

Thursday, 17 July 2014

Ya Zamany Ki Wafayain Maray Kaam Ki Nahi




Ya Zamany Ki Wafayain Maray Kaam Ki Nahi
Mujhy Us Ki Wafa Chahiay kisi Aam Ki Nahi,

Us Ke To Aik Muskurahat Bhe Aam The
Ya Tammam Muskurahatan Kisi Daam Ki Nahi,

Mujhy Gham Hai To Us Kay Chin Jany Ka Hai
Parwah Muh Per Lagay Ilzam Ki Nahi,

Mera Haath Dakh Kar Najoomi Ya Bola
Bohat Se Chahatan Hain Taray Liay BAqi LAkin,

Tearay Haath Main Koi Bhe Lakeer Us Kay Naam Ki Nahi..

Yeh Kesa Khauf Tha Rakht-e-Safar Bhi Bhool Gaye




Yeh kesa khauf tha rakht-e-safar bhi bhool gaye
Vo kaun log thay jo apnay ghar bhi bhool gaye,

Yeh kesi quvvat-e-parvaaz darr ne paida ki
Parinday urrtay huay apnay parr bhi bhool gaye,

Dukhon ne cheen lee aankhon ki saari beenaayee
Hum us ka sheher to kiya, rahguzar bhi bhool gaye,

Khayaal tha ke sunaayen ge haal-e-dil lekin
Hum us ke saamnay Arz-e-hunar bhi bhool gaye,

Juda huay to khula hai tumhaari basti mein
Hum aik dil he nahin, chashm-e-tarr bhi bhool gaye.