Sunday, 30 March 2014

Dard Se Beniaz Hone De


Dard Se Beniaz Hone De 

Ay Shab-E-HIJAR Kuch To Sone De, 

Rukhsat Ay Habs-E-Sham-E-Zabat-E-Junoon,

Rone Walon Ko Khul K Rone De, 

Aaj Ik Sar Khuroo Se Milna Hai, 

Aaj Aankhein Lahoo Se Dhone De, 

Kash Koi Hamein Bhi Ashak Apne, 

Sans K Tar Mein Prone De, 

Fasal-E-Yakh Bastagi Mein Jeena Hai, 

Paniyon Mein Sharar Bone De, 

Kuch To Soch Apne Hall Par MOHSIN, 

Khud Ko Youn Raigan Na Hone De.

Main Ek Bewafa Se Wafa Karta Raha,


Main Ek Bewafa Se Wafa Karta Raha,

Wo Ghairon Se Mil Kar Mujhe Tabha Karta Raha,

Main Ne Jis K Liye Apno Ko Chora,

Wo Kisi Aur Se Wada-E-Wafa Karta Raha,

Main Ne Jis K Liye Jeene Ki Duain Mangi,

Wo Mere Marne Ki Dua Karta Raha.

Teri Mohabbat Se Inkar Nahi


Teri Mohabbat Se Inkar Nahi 

Is Dil Mein Tere Siwa Koi Dildar Nahi, 

Barson Raha Jis Ki Jistjoo Mein, 

Ab Karna Mujhe Aur Intzar Nahi, 

Ban Kar Aao Meri Ab To Dulhan, 

Guzrta Tanha Ab K Muasam-E-Bahaar Nahi, 

Kali Ghata Si Zulf Bikher Do Bister Par,

Umer Bhar Sath Dena Din Do Char Nahi, 

Honton Se Mila Kar Hont Pila Do Jaam-E-Shabab, 

May Kade Ki Sharab Mein Aisa Khumar Nahi, 

Sula Do Apni Makhmli Bhahon Mein, 

In Se Barh Kar Aur Koi Gale Ka Haar Nahi, 

Khelon Tere Ang Ang Se Kuch Youn Main, 

Ho Jaein Hum Aik Rahein Hum Aghyar Nahi,

UMAR Ko Thi Kab Se Teri Talash, 

RAAHI Ko Ab Kisi Ka Raha Intzar Nahi..........!

Muasam-E-Bahar Hai Mgar Too Mere Sath Nahi,


Muasam-E-Bahar Hai Mgar Too Mere Sath Nahi, 

Badal Bijli Ka Sath Hai Mgar Too Pas Nahi, 

Ashk Baras Rahe Aankh Se Rim Jhim Rim Jhim, 

Ashk Poonch Ly Jo Aisa Koi Hath Nahi, 

Dil Ro Raha Is Muasam-E-Bahar Mein, 

Chhupa Ly In Motiyon Ko Aisi Barsat Nahi, 

Kale Badal Chhaye Hein Teri Zulf K Jese,

Aawara Zulf Hata Le Jo Karta Himat Hath Nahi, 

Tim Tim Tapk K Gire Bondein Chehre Pe, 

Kali Ghata Si Zulfon Ki Barsat Nahi, 

Ro Lo In Barishon Mein RAAHI, 

Rahe Ab K Dil Mein Koi Aas Nahi.

Aisi lagi udaas sar-E-shaam ZINDGI


Aisi lagi udaas sar-E-shaam 
ZINDGI 

Jaise kisi ki aankh ka ilzam 
"ZINDGI" 

Apny jahan mein dekha teray baad kuch nahi, 

Hum ne laga di aaj tery naam 
"ZINDGI" 

Jis k bina ye saans mujhe DooBti lagi, 

Ja k ussy bhi DhoonD kisi shaam 
"ZINDGI" 

Ye piyaar dard na ban saky jis k nashy mein, 

Mujhko pila de aaj wohi jaam 
"ZINDGI" 

Ab doston k haath mery haath main nahi, 

Girny laga hon aaj mujhe thaam 
"ZINDGI"

Zaalim Tha Wo Aur Zulm Ki Aadat Bhi Bohut Thi


Zaalim Tha Wo Aur Zulm Ki Aadat Bhi Bohut Thi
Majboor The Hum Uss se Mohabbat Bhi Bohut Thi

Uss Buth Ke Sitam Seh Ke Dikha Hi Diya Humne
Go Apni Tabiyat Mein Baghaawat Bhi Bohut Thi

Waaqif Hi Na Tha Ramz-e-mohabbat Se Wo Warna
Dil Ke Liye Thodi Si Inayat Bhi Bohut Thi

Yun Hi Nahi Mashoor-e-zamana Mera Qatil
Us Shakhs Ko Is Fun Mein Maharat Bhi Bohut Thi

Phir sy har boond mein teri yaad ki lazzat ley kar,


Phir sy har boond mein teri yaad ki lazzat ley kar,

Baarishein aag laganay ka hunar laayi hein…

Mujhe Bhi Yaad kar Lena


Mujhe bhi yaad kr lena
kisi sahat kisi lamhe
kisi din ya kisi shaab me
ya hafte me mahine me
tumhain fursat nahi...... Socho Mujhe..
lekin koi tehwar aaye to
kisi ko tum galay se jab lagao to

Mujhe Bhi Yaad kar Lena

Youn Tere Husun Ki Tasveer Ghazal Mein Aaye,


Youn Tere Husun Ki Tasveer Ghazal Mein Aaye,
Jaise Balqees Sulaiman K Mehel Mein Aaye,

Jabar Se Aik Howa Zaiqa-e-Hijar-O-Wisal,
Ab Kahan Se Wo Maza Sabar K Phal Mein Aaye,

Hamsafar Thi Jahan Farhad K Taishe Ki Sada,
Wo Maqamat Bhi Kuch Sair-o-Jabal Mein Aaye,

Ye Bhi Aaraish-e-Hasti Ka Taqaza Tha K Hum,
Halqa-e-Fikr Se Maidan-e-Amal Mein Aaye,

Har Qadam Dast-o-Greban Hai Yahan Khair Se Shar,
Hum Bhi Kis Marka-e-Jang-o-Jadal Mein Aaye,

Zindagi Jin K Tasawur Se Jila Pati Thi,
Haye Kia Log Thay Jo Dam-e-Ajjal Mein Aaye..

Zaalim Tha Wo Aur Zulm Ki Aadat Bhi Bohut Thi


Zaalim Tha Wo Aur Zulm Ki Aadat Bhi Bohut Thi
Majboor The Hum Uss se Mohabbat Bhi Bohut Thi

Uss Buth Ke Sitam Seh Ke Dikha Hi Diya Humne
Go Apni Tabiyat Mein Baghaawat Bhi Bohut Thi

Waaqif Hi Na Tha Ramz-e-mohabbat Se Wo Warna
Dil Ke Liye Thodi Si Inayat Bhi Bohut Thi

Yun Hi Nahi Mashoor-e-zamana Mera Qatil
Us Shakhs Ko Is Fun Mein Maharat Bhi Bohut Thi

Saturday, 29 March 2014

Kahin Tu Likhe ga Wo Dil Ki Sabhi Chupi Baatein...


Kahin Tu Likhe ga Wo Dil Ki Sabhi Chupi Baatein... 

Kahin Tu Mujh Ko Wo Phir Meri Jaan Likhe ga...

Ye teek hai nahi marta koi judai mein


Ye theek hai nahi marta koi judai mein

Khuda kisi ko kisi say magar juda na kray

Cheray Ka Nisf Hissa Zair-e-Naqab Kar Ky,


Cheray Ka Nisf Hissa Zair-e-Naqab Kar Ky, 

Kartay Hain Husan Walay Deedaar Me Milaawat.

Tum ISHQ Ki Kashti Mein Qadam Soch K Rakhna..


Tum ISHQ Ki Kashti Mein Qadam Soch K Rakhna..

Dariya-E- MahoBBat K Kinaare nahi Hote..!

Doston se bichar kr ye haqeeqat khuli


Doston se bichar kr ye haqeeqat khuli 

 Faraz 

Dunia HASEEN  hai Magar Doston k saath 

Wahi mehfooz rakhy ga mery ghar ko balaa'on sy..


Wahi mehfooz rakhy ga mery ghar ko balaa'on sy..

jo barish main shajar sy ghonsla girny nahin daita..