Ghaarat Garon k Paas hai Kiya Apne Paas Kiya
Thaani hai Sidq Dil se to Khauf-o-Hiraas Kiya
Lehja Hi Talkh Ho to Zubaan ki Mithaas Kiya?
Aankhen Barhana Hon To Badan Par Libaas Kiya?
Kaason Mein Le K Shaad Hain Jo Zindagi Ki Bheek
Un Dast Basta Logon Ka Hosh-o-Hawaas Kiya?
Haathon Mein Haath Dijay Dohaayi Na Dijiye
Tanzeem-e-Aman Se Hain Abhi Na-Shanaas Kiya?
Buz-Dil Hain Aap Warna Samandar Khangaaltay
Moti Bhi Chal k Aata Hai Saahil k Paas Kiya?
Sabza Nahi, Hain Fahem-o-Ferasat ki Chaadaren
Kal Bhi Yahi Zameen Thi Ugti Thi Ghaas Kiya?
Hai Taaliyon ki Goonj Mein Tauqeer-e-Harf Gum
Irshad Karne Waale Karen Iltemaas Kiya
Shohrat Nazar Mein Ho To Balaghat Se Kiya Gharaz
Sarqay Ka Gham Nahi To Gham-e-Iltebaas Kiya
Ab To Chaman Mein Kaanton ko Aaye to Aaye Reham
Barg-e-Khizaan Raseeda ko Phoolon se Aas Kiya
Dariya Se Abr Ban K Sab Urrh Jaayen Nekiyaan
Hai Sarfaraz Ye Bhi Qareen-e-Qayaas Kiya?