Thursday, 8 May 2014

HUNAR-MANDI TO PATHAR MEIN BHI GAUHAR DHOONDH LETI HAI 

HAMAARI PIYAAS SEHRA MEIN SAMANDAR DHOONDH LETI HAI 

MOHABBAT JAB SHAHENSHAHON K MAHLON SE NIKALTI HAI 

KOI DARWESH YA KOI QALANDAR DHOONDH LETI HAI 

GULAABON KO TA'AARUF KI ZAROORAT HI NAHI HOTI 

HAMAARI FIKAR KHUD LAFZON KA PAIKAR DHOONDH LETI HAI 

AGAR-CHE ISHQ KA FAN HO TO KUCH BHI AIN-MUMKIN HAI 

MOHABBAT DASHT MEIN RANGEEN MANZAR DHOONDH LETI HAI 

NIGAAHON MEIN TALAB K SAATH JO TAASEER AA JAAYE 

CHARAAGHON MEIN ZIYA-e-MAAH-o-AKHTAR DHOONDH LETI HAI 

HUWA HOON MOTABAR JAB SE TIRI BAZM-e-MOHABBAT MEIN 

JAHAAN JAATA HOON WEERAANI MIRA GHAR DHOONDH LETI HAI 

ZEHAANAT KO JO MIL JAAYE RAH-NUMAAI TO 

BULANDI PAR PAHONCHNE K LIYE PAR DHOONDH LETI HAI
Comments
0 Blogger Comments