Saturday 19 April 2014

Kaheen To Ho Koi Manzar Jo Motbar Thehrey

Kaheen To Ho Koi Manzar Jo Motbar Thehrey 
Bhatak Chuki Hai Bahut, Ab To Ye Nazar Thehrey 

Jo Sarf Ho Gaya Deewar-o-Dar Sajaane Mein 
Ussay Kaho k Kisi Din To Apne Ghar Thehrey 

Ye Khaar-o-Khas Hain Abhi Nam Libaas Aurrhey Huwe 
Agar Jalaana Hai In Ko To Phir Sharar Thehrey 

Mein Jin ko Manzilein Samjha Wo Marhale Nikle 
Mein Thak Chuka Hoon Bahut, Ab To Ye Safar Thehrey 

Zara Zawaal ko Is ki Khabar To Pohncha Doon 
Kaho Ghuroor Se Kuch Dam Urooj Par Thehrey 

Dayaar Ghair Mein Hote To Q Gila Karte 
Hum Apney Shehar Ki Galiyon Mein Dar-Ba-Dar Thehrey 

Shajar ko Yaad Kahaan Shakal Un Parindon ki 
Jo Kuch Palon k Liye us ki Shaakh Par Thehrey 

Hamaari Gard ko Daawat mili hai Sehra Se 
Chalo kisi ki Nazar meiN to Motbar Thehrey 

To Mein Bhi Kahoon Dil Se Kuch Sanbhal Jaaye 
Agar Hadood Mein Apni ye Chashm-e-Tar Thehreya
Comments
0 Blogger Comments