Monday, 21 April 2014

Kaheen Chaand Raahon Mein Kho Gaya Kaheen Chandni Bhatak Gai

Kaheen Chaand Raahon Mein Kho Gaya Kaheen Chandni Bhatak Gai 
Main Charagh Woh Bhi Bujha Howa Meri Raat Kaise Chamak Gai, 

Kabhi Ujlaa Ujlaa Saa Naam Hoon, Kabhi Khoya Khoya Kalaam Hoon 
Mujhe Subah Kirno Se Bhar Gai, Mujhe Shaam Phoolon Se Dhak Gai, 

Tujhe Bhool Jaane Ki Koshishain Kabhi Kamyaab Na Ho Sakeen 
Teri Yaad Shaakh-e-Gulaab Hai, Jo Hawaa Chali To Lachak Gai, 

Tere Haath Se Mere Hont Tak Wohi Intizaar Ki Piyaas Hai 
Mere Naam Ki Jo Sharaab Thi Kaheen Raaste Mein Chalak Gai, 

Kabhi Hum Mile Bhi To Kiya Mile Wohi Dooriyaan Wohi Faasle 
Na Kabhi Hamaare Qadam Barhe, Na Kabhi Tumhaari Jhijhak Gai, 

Meri Dastaan Ka Urooj Tha Teri Narm Palkon Ki Chaaon Mein 
Mere Saath Tha TUjhe Jaagna Teri Aankh Kaise Jhapak Gai.
Comments
0 Blogger Comments