Sunday, 27 April 2014

Bhoole Na Kisi Haal Mein Aadaab-e-Nazar Hum

Bhoole Na Kisi Haal Mein Aadaab-e-Nazar Hum 
Murr Kar Na Tujhe Dekh Sake Waqt-e-Safar Hum 

Ay Hussn! Kisi Ne Tujhe Itnaa To Na Chaaha 
Barbaad Huwa Tere Liye Kon, Magar Hum 

Jeene ka Hamein Khud Na Mila Waqt To Kiya Hai 
Logon ko Sikhlaate Rahe Jeene Ka Hunar Hum 

Ab Tere Taalluq Se Hamein Yaad Hai Itna 
Aik Raat ko Mehmaan Rahe Thay Tere Ghar Hum 

Duniya Ki Kisi Chhaanv Se Dhundla Nahi Sakta 
Aankhon Mein Liye Phirte Hain jo Khuwaab-e-Sehar Hum 

Wo Kon Si Aahat Thi Jo Khuwaabon Mein Dar Aayi 
Kiya Jaaniye Kiyon Chaunk Parre Pichle Pehar Hum
Comments
0 Blogger Comments