Saturday 19 April 2014

Khizaan Naseeb Mein Rishta Magar Bahaar Se B

Khizaan Naseeb Mein Rishta Magar Bahaar Se B 
Mujhe To Gul Ki Tawaqu Hai Nok-e-Khaar Se B 

Muysir Hoon Main K Gina Jaon Ba-Waqaron Mein 
Unhen Ye Zid K Main Kharij Rahon Shumaar Se B 

Jahan B Jaon Aseer-e-Hayaat Rehta Hoon 
Ye Masla To Na Hal Ho Saka Faraar Se B 

Sahar Ki Kitni Duaen Khuda Se Maangi Hain 
Ab Iltemaas Karonga Jamaal-e-Yaar Se B 

Ajeeb Hashr-e-Muhabat Ka Saamna Hai K Wo 
Khafa Khafa Hai Magar Daikhta Hai Piyaar Se B 

Main Mar Bhi Jaon To Takhliq Se Na Baaz Aaon 
Banaen Ge Nit-Naye Khaakey Meray Ghubar Se B 

NADEEM Waqt Ka Marham Na Mery Kaam Aaya 
K Zakham-e-Dil Na Bhara Tool-e-Intzaar Se B
Comments
0 Blogger Comments