Saturday 19 April 2014

Main Zeir-e-Khaak Hon Ab Tak Magar Fikr-e-Namu Mein Hon

Main Zeir-e-Khaak Hon Ab Tak Magar Fikr-e-Namu Mein Hon 

Shajar Ka Khuwab Hon, Barg-o-Samar ki Aarzu Mein Hon 

Taaqub Kar Raha Hon Main Kisi Na-Deeda Manzil Ka 

Ye Kesi Justju Mein, Ye Kis ki Justju Mein Hon? 

Mujhe Maloom Hai Mujh ko Samandar Tak Pohnchna Hai 

Abhi Hai Ibteda Meri, Abhi Main Aabju Mein Hon 

Ye Mumkin Hai Wo Pehle C Hararat Ab Na Baqi Ho 

Magar Zinda Yaqenan Main Abhi Apny Lahu Mein Hon 

Abhi To Aansu'on Se Dho Raha Hon Main Gunahon ko 

Namazon Tak Nahi Pohncha, Abhi Tak Main Wazu Mein Hon 

Ye Lagta Hai Bahut Maqbol Hota Ja Raha Hon Main 

Suna Hai Aaj Kal Ehal-e-Sukhan ki Guftgu Mein Hon
Comments
0 Blogger Comments