Saturday 19 April 2014

Meray Ashaar Mein Jo Karb ki Manzar-Nigaari Hai

Meray Ashaar Mein Jo Karb ki Manzar-Nigaari Hai 
Usi ka Aks hai jo Zindagi Ab Tak Guzaari Hai 

Na Janey In Dinon Kiya Ho Gaya Aankhon ki Basti Ko? 
Kabhi Neendon Se Khaali Hai, Kabhi Khuwaabon Se Aari Hai 

Pata Jab Tha k Naa-Hamwaar Hai Halaat ka Dariya 
To Phir Kiya Soch Kar Umeed ki Kashti Utaari Hai? 

Kabhi Mein Maat Khata Hon, Kabhi Dil Haar Jaata Hai 
Hamarey Darmiyan Ye Kashmkash Muddat Se Jaari Hai 

Ye Keh Kar Urr Gai Katty Hue Ik Pairr Se Chirriya 
Teri Mamnoon Hon Lekin Mujhe Bhi Jaan Piyaari Hai 

Na Janey Mein Maazi K Kin Lamhon Ka Mujrim Hon? 
Musalsal Jo Meray Ehsaas Par Ye Sang-Saari Hai
Comments
0 Blogger Comments