Sunday, 27 April 2014

Umar Bhar Gardishon Mein Qadam Rahay

Umar Bhar Gardishon Mein Qadam Rahay 
Phir Bhi Na Aashnaai Manzil Hum Rahay 

Phir Taaza Ho, Rasm-e-Inkaar Magar 
Zer-e-Labb Ek Halka Sa Tabassum Rahay 

Phir Labon Pe Teray Naam Ka Naghma 
Thehre, Pesh-e-Nigaah Tasweer Mujassam Rahay 

Ek Zaraa Teri Yaad Ki Khushboo Mehik'ey 
Taa-Der Phir Qarya-e-Jaan Mein Matam Rahay 

Aankhein Hi Dariya Mizaaj Mili Hai Hum Ko 
Naseeb-e-Daaman Yahi Hai K Namm Rahay 

Umar Mohabbat Ki Is Se Kayi Kam Hai 
Saamnay Sooraj K Jitni Der Shabnam Rahay 

Aawaargi Kab Kis Ko Raas Aayi Shaheen 
Khayaal-e-Pareshan Se Kaho K Tham Rahay
Comments
0 Blogger Comments